- Baghair Mehnat kiye, Kamayi karna? • Lottery yah Price bonds nikalna aur committee daalna? • Savings, Black marketing aur Hoarding? • Tossing, Lucky Draw, Betting, Interest aur Gambling? Question : Aaj kal umrah ke tickets lottery ke zariye diye jaate hain, jiski initial fee bhi hoti hain aur isi tarah Qurandazi (lucky draw) ke zariye bhi diya jaata hai tou kiya baghair mehnat kijye is tarah hasil hone wale ina'amat, Juwa (Gambling) nahi hai? Committee karna, savings karna aur hoarding yeh Haram hai? Answer: Pehli baat yeh sab se bara misconception hai jo public me famous hai ke "Jis maal ko aap baghair mehnat ke kama lena, Haram hai", Islam me aisa kuch bhi nahi hai, agar koi kehta hai aisa hai tou is ka matlab yahi hai ke sab ke sab Haram kamayi kar-rahe hain. Logical Example: Let suppose, aapki shadi hoti hai aur aaj ki gold ki price 1 lac hai aur 10 years baad uski price aur increase ho jati hain (2 or 3 lacs) tou aap us ko sold out karenge tou aapko phir 1 or 2 l...