Posts

Showing posts from March, 2021

Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

15th Shabaan-ul-Mo'azam ki raat se related kuch be-buniyaad aur ghalat aqaid aur batain:

  15th Shabaan-ul-Mo'azam ki raat se related kuch be-buniyaad aur ghalat aqaid aur batain: • Is raat murdon (dead bodies) ki roohain apni families se milne ke liye aati hain. Kiya unho-ne nahi dekha ke unse pehle hum kitni qaumo ko is tarah halak kar chuke hain ke woh unke pas loat kar nahi aate (Surah Yaaseen# 31) • Is raat me Allah tala asmaan e duniya me aate aur apne bando par khusoosi (specially) taur par mutawaj’ja (attentive) hote hain. Rasool Muhammad ne farmaya, har raat jab aakhri tihayi (last third) raat baqi reh jaati hai tou hamara Rab tabarak o ta’la asmaan e duniya par nazool farmata hai (jaise uske shaan ke laiq) aur pouchta, hai koi jo mujh se duwa kare, main uski duwa qabool karun, koi hai j mujh se maange, main usay ata karun aur koi hai jo mujh se maghfirat talab kare tou main usay bakhsh dun. (Mishkat-ul-Masabeeh# 1223) Is raat me Insan ke mazboot f aisle yani rizq, maut, umar ka waqt  dia jata hai.  Yeh saare ma'mlaat Shab-e-Qadar  me kiye jate...

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

  SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR. Introduction : 15th Shabaan ki raat jis ko aam taur se public me Shab-e-Barat kaha jata hai, jis ki meaning Mubarak wali raat yah bakhshish wali raat se famous hai, jab ke Shab-e-Barat ka Islam me koi bhi concept hi nahi hai. Halanke Jumle Shab-e-Barat me lafz Barat (بَرآءت) ki meaning bhi public ko misconcept hai, iski actual meaning hai “chutkara/ la-ta'taluq (disassociation)/bezaari” jaise Eid-ul-Fitr yani Fitra dene wali Eid, jaise Eid-ul-A'dha yani Zibha karne wali Eid theek waise hi Shab-e-Barat yani Bezaari yah La-Ta'luqi yah Chutkara paane wali raat. Meanings ke hawale se daleel,   بَرَآءَۃٌ  مِّنَ اللّٰہِ وَ رَسُوۡلِہٖۤ Allah aur uske Rasool ki taraf se Bezaari ka ailaan hai. (Surah Tawba# 01) Behar-haal, public me Shab-e-Barat se related 5 ahadees aur kuch misconceptions famous hain, jo sanad ke aitibar se ZAEEF aur MANGHARAT ahadees hain. HADEES# 01: Hazrat Ayesha (r.a) bayan karti hain, maine aik raat Rasool Muhammadﷺ ko (bist...

Jisne Dawat Qubul Karne Se Inkar Kiya

 Jisne Dawat Qubul Karne Se Inkar Kiya Valima ka woh khana bad tareen khana hai jis mein sirf maldaro ko is ki taraf dawat di jaye aur mohtajon ko nah khilaya jaye aur jis ne valima ki dawat qubool karne se inkaar kya us ne ALLAH aur us ke RASUL ki nafarmani ki۔  Narrated Abu Huraira: The worst food is that of a wedding banquet to which only the rich are invited while the poor are not invited. And he who refuses an invitation (to a banquet) disobeys ALLAH and His Apostle Bukhari 5177 , Sahih

ALLAH Bas Shirk Hi Ko Mauf Nahi Karta

  ALLAH Bas Shirk Hi Ko Mauf Nahi Karta ALLAH bas shirk hi ko maaf nahi karta, iske masiwa dusre jis qadar gunah hain woh jis ke liye chahta hai maaf kar deta hai. ALLAH ke sath jis ne kisi aur ko shareek tharaya us ne to bahut hi badha jhoot tasneef kiya aur badhe sakht gunah ki baat ki . Indeed, ALLAH does not forgive association with Him, but He forgives what is less than that for whom He wills. And he who associates others with ALLAH has certainly fabricated a tremendous sin.  Surah Nissa 48

Jisne Koi Gunah Karke Uska Ilzam Dusre Par Laga Diya

 Jisne Koi Gunah Karke Uska Ilzam Dusre Par Laga Diya Phir jis ne koi khata ya gunah kar ke uska ilzaam kisi be gunah par thop diya us ne to badhe bohtan aur khule gunah ka bhar samet liya. But whoever earns an offense or a sin and then blames it on an innocent [person] has taken upon himself a slander and manifest sin.  Surah Nissa 112