15th Shabaan-ul-Mo'azam ki raat se related kuch be-buniyaad aur ghalat aqaid aur batain:
- Get link
- X
- Other Apps
15th Shabaan-ul-Mo'azam ki raat se related kuch be-buniyaad aur ghalat aqaid aur batain:
• Is raat murdon (dead bodies) ki roohain apni families se milne ke liye aati hain.
Kiya unho-ne nahi dekha ke unse pehle hum kitni qaumo ko is tarah halak kar chuke hain ke woh unke pas loat kar nahi aate (Surah Yaaseen# 31)
• Is raat me Allah tala asmaan e duniya me aate aur apne bando par khusoosi (specially) taur par mutawaj’ja (attentive) hote hain.
Rasool Muhammad ne farmaya, har raat jab aakhri tihayi (last third) raat baqi reh jaati hai tou hamara Rab tabarak o ta’la asmaan e duniya par nazool farmata hai (jaise uske shaan ke laiq) aur pouchta, hai koi jo mujh se duwa kare, main uski duwa qabool karun, koi hai j mujh se maange, main usay ata karun aur koi hai jo mujh se maghfirat talab kare tou main usay bakhsh dun. (Mishkat-ul-Masabeeh# 1223)
Is raat me Insan ke mazboot faisle yani rizq, maut, umar ka waqt dia jata hai. Yeh saare ma'mlaat Shab-e-Qadar me kiye jate hain. (Details ke liye is post ka Part One read karain) Link: Is raat me Qur'an nazil huwa.
1. Ramzan ka mahina woh hai jis me Qur'an nazil kiya gaya. (Surah Al-Baqarah# 185)
2. Be-shak hum ne is (Qur'an) ko Shab-e-Qadar me nazil kiya hai. (Surah Al-Qadar# 01)
Is raat ki khas namazain hain aur raat bhar jaagna hai. Is mutaliq koi Qur'anic ayaat yah Sahih Ahadees me kuch bhi Rasool Muhammad yah Sahaba ikram (razi allahuma ajmaeen) ka koi amal nahi milta.
• Is raat khaas kr qabaristan (graveyard) jaana chahye. Nahi aisa kuch bhi nahi, kisi bhi sahih ahadees se sabit nahi, aap kabhi bhi jaa sakte hain aur unke liye duwa e maghfirat kar sakte hain (even ghar me baith kar hi)
• Is raat me sab se muafi maang-na aur is tarah ke messages bejh-na.
Nahi aisa kuch bhi nahi, kisi bhi sahih ahadees se sabit nahi. Deen me koi bhi cheez is tarah particularized (makhsoos) nahi hai.
Farmaan-e-Rasool Muhammadﷺ, Jis ne hamare deen me az-khud koi aisi cheez nikaali jo us me nahi thi tou woh rad hai. (Sahih Bukhari# 2697) #biddat #biddati #innovation
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment