Posts

Showing posts from January, 2022

Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Kin Logo Ki Gawahi Jayaz Nahi

Kin Logo Ki Gawahi Jayaz Nahi RASULULLAH ﷺ ne farmaya khayanat Karne Wale mard or khayanat karne wali aurat zani Mard or zani aurat ki Apne Bhai Se qina rakhne wale shaks ki gawahi jayaz Nahi. The Messenger of ALLAH ﷺ said: The testimony of a deceitful man or woman, of an adulterer and adulteress, and of one who harbours rancour against his brother is not allowable.  Abu Dawood 3601,Sahih
Ek Buri Aurat Hazaro Mardo Ko Gumraah Kar Sakti Hai. Lekin Ek Nek Aurat Ko Hazaro Mard Bhi Gumraah Nahi Kar Sakte

Char Chizo Se ALLAH Ki Panah Talab Karo

  Char Chizo Se ALLAH Ki Panah Talab Karo RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jab tum mein se koi aakhir tash_hud se farigh ho jaye to chaar chizo se ALLAH TA'ALA ki panah talab kare : jahannum ke azaab se, qabar ke azaab se zindagi aur mout ki azmaish se aur maseeh Dajjal ke shar se . The Messenger of ALLAH ( ‌ﷺ ‌ ) said: When any one of you completes the last tashahhud. he should seek refuge with ALLAH from four (trials). I.e. from the torment of Hell, from the torment of grave, from the trial of life and death, and from the mischief of Masih at-Dajjal (Antichrist). Muslim 1326, Sahih

Aurat Ki Izzat Karo

 Aurat chahe jaisi bhi ho uski izzat karo ye wo safed kapda hai jispe paani ka bhi daagh lag jata hai agar usne tumhare sath bura bhi kiya hai to ALLAH par chodh do lekin uski izzat bhare bazaar main mat uchaalo Beshak wo ALLAH ki Rehmat hai ❤️

ALLAH Ki Qasam Padosiyo Ko Takleef Pahuchane Wala Momin Nahi

  ALLAH Ki Qasam Padosiyo Ko Takleef Pahuchane Wala Momin Nahi RASULULLAH ﷺ ne farmaaya: ALLAH ki qasam woh shakhs momin nahi! ALLAH ki qasam woh shakhs momin nahi! ALLAH ki qasam woh shakhs momin nahi! kisi ne puchha: Aye ALLAH ke Rasool! Kaun shakhs momin nahin? RASULULLAH ﷺ ne farmaaya: Woh shakhs jis ki takleef wa sharaarat se us ka padosi mahfooz na ho. Narrated Abu Shuraih: The Prophet said, By Allah, he does not believe! By Allah, he does not believe! By Allah, he does not believe! It was said, Who is that, O Allah's Apostle? He said, That person whose neighbor does not feel safe from his evil.  Bukhari 6016 , Sahih

Arfa Ki Raat Sabse Afzal Padhne Wala Kalima

  Arfa Ki Raat Sabse Afzal Padhne Wala Kalima RASULULLAH ﷺ ne farmaya sabse afzal kalma jo maine aur Anbiya Alahih Salam ne Arfa ki raat kaha wo ye hain إِلَه إِلَا الله وَحْدَه، لَا شَرِيْكَ لَه، لَه الْمَلَك وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير RASULULLAH ﷺ said The best Supplication which I and Prophets before me have said on the night of Arafah is  La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir Silsila Tus Sahiha 2762 , Sahih