Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Qarz Se Panah Chahne Ki Dua

 Qarz Se Panah Chahne Ki Dua


Hazrat Aisha R.A farmaati hain ke RASULULLAH ﷺ   namaz mein yeh dua padhte thay : Aye ALLAH ! mein qabar ke azaab se teri panah chahta ho aur maseeh Dajjal ke fitnah o azmaish se teri panah chahta hon aur zindagi aur mout ke fitne se teri panah chahta hon aur aye ALLAH ! mein gunah aur qarzzz ( ya gunaaho ke boojh ) se teri panah chahta ho.' ' kisi kehnay wale ne aap se kaha : aap karzz se kis qadr ziyada panah talabb karte hain! aap ne farmaya :' ' jab koi aadmi maqrooz ho jata hai, phir baat karta hai to jhoot boltaa hai aur wada karta hai to wada khalaqi karta hai.' '


Aishah told him that the Messenger of Allah (ﷺ) used to say the following supplication in his prayer:  ( O Allah, I seek refuge with You from the torment of the grave, and I seek refuge in You from the tribulation of the Al-Masihid-Dajjal, and I seek refuge with You from the trials of life and death. O Allah, I seek refuge in You from sin and debt.) Someone said to him:  How often you seek refuge from debt!  He said:  If a man gets into debt, when he speaks lies, and when he makes a promise, he betrays it. 


اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ الْمَأْثَمِ وَالْمَغْرَمِ


Allahumma inni audhu bika min 'adhab ilqabri wa 'audhu bika min fitnatil- masihid- dajjal , wa 'audhu bika min fitnatil- mahya walmamati, Allahumma inni 'audhu bika min al-ma'sami wal-maghram


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare