Roze Mein Bhul Kar Kuch Kha Liya Ho
حَدَّثَنَا عَبْدَانُ ، أَخْبَرَنَا يَزِيدُ بْنُ زُرَيْعٍ ، حَدَّثَنَا هِشَامٌ ، حَدَّثَنَا ابْنُ سِيرِينَ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : إِذَا نَسِيَ فَأَكَلَ وَشَرِبَ ، فَلْيُتِمَّ صَوْمَهُ ، فَإِنَّمَا أَطْعَمَهُ اللَّهُ وَسَقَاهُ.
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जब कोई भूल गया और कुछ खा पी लिया तो उसे चाहीए कि अपना रोज़ा पूरा करे, क्योंकि उस को अल्लाह ने खिलाया और पिलाया है।
Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: jab koi bhool gaya aur kuch kha pi liya to usay chahiye ke apna roza poora kare, kyun ke us ko Allah ne khilaya aur pilaya hai.
نبی کریم ﷺ نے فرمایا: جب کوئی بھول گیا اور کچھ کھا پی لیا تو اسے چاہئے کہ اپنا روزہ پورا کرے۔ کیونکہ اس کو اللہ نے کھلایا اور پلایا۔
The Prophet ﷺ said: If somebody eats or drinks forgetfully then he should complete his fast, for what he has eaten or drunk, has been given to him by Allah.
Wazahat: Jamhoor aimma ka is baat par ittefaq hai ke agar koi shakhs rozay ki haalat mein bhool kar kha pi le to us par naa qaza wajib hai aur naa kaffara balkay woh apna roza poora kare, woh is khaye piye ko Allah ki taraf se mehmani shumaar kare ke us ne apne bande ko bhula kar khila pila diya lekin agar khatay peetay waqt roza yaad aaya to jo kha pi chuka woh maaf haan ab khanay ka ya pani ka ek qatra bhi halaq mein naa jane de balkay ab jo kuch mun mein hai usay foran bahar nikaal de.
Sahih Bukhari: jild 3, Kitab As Saum 30, hadith no. 1933
Comments
Post a Comment