Posts

Showing posts from October, 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jo Shaks Aaftaab K Tulu Wa Guroob Se Pehle Namaz Padhe

  Jo Shaks Aaftaab K Tulu Wa Guroob Se Pehle Namaz Padhe Hazrat Umara bin Rawiba Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k RASULULLAH ﷺ ne farmaya “Jo shaks aaftaab k tulu wa guroob se pehle (fajar aur asar ki) namaz padhega wo shaks hargiz aagh mein dakhil nahi hoga”.  SAHIH MUSLIM 634

Kya Rabi_Ul_Awwal Hadees Se Sabit Hai.

  Kya Rabi_Ul_Awwal Hadees Se Sabit Hai. Hazrat Abu Saeed Khudri R.A se riwayat hai ke Hazrat muawiya R.A ne farmaya : RASULULLAH ﷺ –apne sahaba ke ek halqay par tashreef laaye aur farmaya :' ' kaise bethe ho ?' ' unhone kaha ke hum bethe ALLAH TA'ALA se duaae kar rahe hain aur uski tareef kar rahe hain ke us ne Hume apne deen ki taraf rahnumai farmai aur aap ko bhej kar hum par ehsaan azeem farmaya. aap ne farmaya :' ' kya ALLAH ki qasam! tum sirf isi liye bethe ho ?' ' unhone kaha : ji haan. ALLAH ki qasam! hum sirf isi liye bethe hain. aap ne farmaya :' ' mein ne tum se kisi shak o ilzaam wagera ki bina par qasam nahi li balke baat yeh hai ke jibraeel A.S mere paas aaye aur mujhe bataya ke ALLAH TA'ALA tumhari wajah se farishton ke samne fakhr farma raha hai ( ke yeh meri makhlooq hai ).' '  Sunan Nisai 5428 , Sahih PS: Kuch Log is hadees se Rabi_Ul_Awwal Sabit karna chahte hai or keh rahe hai ye sahaba ka tarika Lekin jab Is H...

Tumhe tumhare amalo ka jwab dena hoga

Tumhe tumhare amalo ka jwab dena hoga woh kuch log thay, jo guzar chuke. un ki kamaai un ke liye thi aur tumhari kamaai tumahray liye. tum se un ke aamaal ke mutaliq sawal nahi ho ga Surah Baqara 141

ALLAH ke yaha tum se yeh nahi poocha jaye ga ke tumahray baap dada kya karte thay, balkay yeh poocha jaye ga ke tum khud kya karte rahe

ALLAH ke yaha tum se yeh nahi poocha jaye ga ke tumahray baap dada kya karte thay, balkay yeh poocha jaye ga ke tum khud kya karte rahe woh kuch log the, jo guzar gaye. jo kuch unhone kamaya. woh un ke liye hai aur jo kuch tum kamaoge, woh tumahray liye hai. tum se yeh nah poocha jaye ga ke woh kya karte the Tafseer Yani agarchay tum un ki aulaad sahi, magar haqeeqat mein tumhe un se koi wasta nahi. un ka naam lene ka tumhe kya haq hai jabkay tum un ke tareeqay se phir gaye. ALLAH ke yaha tum se yeh nahi poocha jaye ga ke tumahray baap dada kya karte thay, balkay yeh poocha jaye ga ke tum khud kya karte rahay . aur yeh jo farmaya ke *”jo kuch unhon ne kamaya, woh un ke liye hai aur jo kuch tum kamao ge, woh tumahray liye hai,*“ yeh quran ka khaas andaz bayan hai. hum jis cheez ko feal ya amal kehte hain, quran apni zabaan mein usse kasab kamaai kehta hai. hamara har amal apna ek acha ya bura nateeja rakhta hai, jo khuda ki khushnodi ya naraaz ki soorat mein zahir ho ga. wohi n...