Kya Rabi_Ul_Awwal Hadees Se Sabit Hai.
- Get link
- X
- Other Apps
Kya Rabi_Ul_Awwal Hadees Se Sabit Hai.
Hazrat Abu Saeed Khudri R.A se riwayat hai ke Hazrat muawiya R.A ne farmaya : RASULULLAH ﷺ –apne sahaba ke ek halqay par tashreef laaye aur farmaya :' ' kaise bethe ho ?' ' unhone kaha ke hum bethe ALLAH TA'ALA se duaae kar rahe hain aur uski tareef kar rahe hain ke us ne Hume apne deen ki taraf rahnumai farmai aur aap ko bhej kar hum par ehsaan azeem farmaya. aap ne farmaya :' ' kya ALLAH ki qasam! tum sirf isi liye bethe ho ?' ' unhone kaha : ji haan. ALLAH ki qasam! hum sirf isi liye bethe hain. aap ne farmaya :' ' mein ne tum se kisi shak o ilzaam wagera ki bina par qasam nahi li balke baat yeh hai ke jibraeel A.S mere paas aaye aur mujhe bataya ke ALLAH TA'ALA tumhari wajah se farishton ke samne fakhr farma raha hai ( ke yeh meri makhlooq hai ).' '
Sunan Nisai 5428 , Sahih
PS: Kuch Log is hadees se Rabi_Ul_Awwal Sabit karna chahte hai or keh rahe hai ye sahaba ka tarika Lekin jab Is Hadees ko padenge to naa is hadees se Rabi_ul_awwal sabit hoti hai naa or kuch or Imam Bukhari ne is hadees ka Baab me bhi Rabi_ul_awwal ka zikr nahi kiya to fir ye kis tarah sabit hui.
#Rabiulawwal #miladunnabi #eidmiladunnabi
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment