ALLAH ke yaha tum se yeh nahi poocha jaye ga ke tumahray baap dada kya karte thay, balkay yeh poocha jaye ga ke tum khud kya karte rahe
woh kuch log the, jo guzar gaye. jo kuch unhone kamaya. woh un ke liye hai aur jo kuch tum kamaoge, woh tumahray liye hai. tum se yeh nah poocha jaye ga ke woh kya karte the
Tafseer
Yani agarchay tum un ki aulaad sahi, magar haqeeqat mein tumhe un se koi wasta nahi. un ka naam lene ka tumhe kya haq hai jabkay tum un ke tareeqay se phir gaye. ALLAH ke yaha tum se yeh nahi poocha jaye ga ke tumahray baap dada kya karte thay, balkay yeh poocha jaye ga ke tum khud kya karte rahay .
aur yeh jo farmaya ke *”jo kuch unhon ne kamaya, woh un ke liye hai aur jo kuch tum kamao ge, woh tumahray liye hai,*“ yeh quran ka khaas andaz bayan hai. hum jis cheez ko feal ya amal kehte hain, quran apni zabaan mein usse kasab kamaai kehta hai. hamara har amal apna ek acha ya bura nateeja rakhta hai, jo khuda ki khushnodi ya naraaz ki soorat mein zahir ho ga. wohi nateeja hamari kamaai hai. chunkay quran ki nigah mein asal AHMIYAT isi nateejay ki hai, is liye aksar woh hamaray kamon ko amal vfal ke alfaaz se tabeer karne ke bajaye ”kasab“ ke lafz se tabeer karta hai .
Surah Baqara 134
Comments
Post a Comment