Posts

Showing posts from May, 2021

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Qayamat ke Din Is amal Ko Sabse Accha Amal Mana Jayega

  Qayamat ke Din Is amal Ko Sabse Accha Amal Mana Jayega Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ”jo shakhs subah o shaam mein so ( so ) martaba :  « سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ » kahe qayamat ke din koi shakhs us se accha amal le kar nahi aayega, siwaye us shakhs ke jis ne wohi kaha ho jo is ne kaha hai ya is se bhi ziyada us ne yeh dua parhi ho“ .  The Prophet (ﷺ) said: “Whoever says in the morning and in the evening ‘Glory is to Allah and with His Praise (Subḥān Allāh, wa biḥamdih)’ a hundred times, none shall bring better than him on the Day of Judgment except one who did the same as him, or increased upon it. Tirmazi 3469,Sahih

Jisne Ye Kalimat Kahe 100 Nekiya Likhi Jayengi Or 100 Buraiya Mita di Jayengi

 Jisne Ye Kalimat Kahe 100 Nekiya Likhi Jayengi Or 100 Buraiya Mita di Jayengi RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Jis ne ek din mein so baar kaha :  « لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ »  to us ko das ghulam azad karne ka sawab ho ga, aur is ke liye so nekiya likhi jayengi, aur us ki so buraiyan mita di jayen gi, aur yeh cheez uske liye shaam taq shetan ke shar se bachao ka zareya ban jayegi, aur qayamat ke din koi us se accha amal le kar nahaeyga siwaye us shakhs ke jis ne yahi amal is shakhs se Ziyada kiya hoga.  Abu Hurairah narrates that: The Mesenger of ALLAH (ﷺ) said: “Whoever says: ‘There is none worthy of worship except Allah, Alone, without partner, to Him belongs all that exists and to Him belongs the praise, He gives life and causes death, and He is Powerful over all things, (Lā ilāha illallāh, waḥdahu lā sharīka lahu, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu, yuḥyī wa yumītu,...

Ye Kalimat Padne Pr Jannat Me Khajoor Ka Darakht Lagaya Jayega

 Ye Kalimat Padne Pr Jannat Me Khajoor Ka Darakht Lagaya Jayega Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ”Jo shakhs :    « سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِهِ »  kahega us ke liye jannat mein khajoor ka ek darakht lagaya jaye ga“ . The Prophet (ﷺ) said: “Whoever says: ‘Glory is to ALLAH, the Magnificent, and with His Praise (Subḥān Allāhil-Aẓīm, wa biḥamdih)’ a date-palm tree is planted for him in Paradise.”  Tirmazi 3465 , Sahih

Tumhe Tumhara Hisab Dena Hai Or Baap Dada Ko Unka

 Tumhe Tumhara Hisab Dena Hai Or Baap Dada Ko Unka Aye logo jo imaan laye ho, apni fikar karo, kisi dusre ki gumrahi se tumhara kuch nahi bigadhta agar tum khud rah e raast par ho, ALLAH ki taraf tum sab ko palat kar jana hai, phir woh tumhe bta dega ke tum kya karte rahe ho . O you who have believed, upon you is [responsibility for] yourselves. Those who have gone astray will not harm you when you have been guided. To ALLAH is you return all together; then He will inform you of what you used to do.  Surah Maeeda 105

Kya Log Apne Baap Dada Ki Taqleed Kare Jayege Chahe Wo Galat Ho.?

 Kya Log Apne Baap Dada Ki Taqleed Kare Jayege Chahe Wo Galat Ho.? Aur jab un se kaha jata hai ke aao is qanoon ki taraf jo ALLAH ne nazil kiya hai aur ao pegambar ki taraf to woh jawab dete hain ke hamare liye to bas wohi tareeqa kaafi hai jis par hum ne apne baap dada ko paya hai. kya yeh baap dada hi ki taqleed kiye chale jaenge khuwa woh kuch na jante ho aur sahih rasta ki unhe khabar hi nah ho ? And when it is said to them, "Come to what Allah has revealed and to the Messenger," they say, "Sufficient for us is that upon which we found our fathers." Even though their fathers knew nothing, nor were they guided?  Surah Maeeda 104

ALLAH ka Ghussa Or Rahmat

 ALLAH ka Ghussa Or Rahmat Khabardaar ho jao! ALLAH saza dene mein bhi sakht hai aur is ke sath bohat dar guzar aur reham bhi karne wala hai . Know that ALLAH is severe in penalty and that ALLAH is Forgiving and Merciful. SURAH MAEEDA 98

Roze Chodhne Ka Fidya

 Roze Chodhne Ka Fidya Aye logo jo imaan laaye ho, tum par rozay farz kar diye gaye, jis tarha tum se pehlay ambia par farz kiye gaye thay. is se tawaqqa hai ke tum mein taqwa ki sift peda hogi c  chand muqarrar  dinon ke rozay hain. agar tum mein se koi bemaar ho, ya safar par ho to dusre dino mein itni hi tadaad poori kar le. aur jo log roza rakhne ki qudrat rakhte ho phir nah rakhe to woh Fidya de. Ek roze ka Fidya ek maskeen ko khana khilana hai aur jo apni khushi se Kare, to yeh isi ke liye behtar hai. lekin agar tum samjhoo, to tumhare haq mein acha yahi hai ke tum roza rakho . O you who have believed, decreed upon you is fasting as it was decreed upon those before you that you may become righteous [Fasting for] a limited number of days. So whoever among you is ill or on a journey [during them] - then an equal number of days [are to be made up]. And upon those who are able [to fast, but with hardship] - a ransom [as substitute] of feeding a poor person [each day]. A...

Aur jin logo ne bandagi ko bura samjha aur taqabbur kiya hai un ko ALLAH dard naak saza dega

Aur jin logo ne bandagi ko bura samjha aur taqabbur kiya hai un ko ALLAH dard naak saza dega Us waqt woh log jinhone imaan lakar naik amal ikhtiyar kya hai apne ajr pure pure payenge aur ALLAH apne fazl se un ko mazeed ajar ataa farmaegaa, aur jin logo ne bandagi ko bura samjha aur taqabbur kiya hai un ko ALLAH dard naak saza dega aur ALLAH ke siwa jin jin ki sarparasti o madadgari par woh bharosa rakhtay hain un mein se kisi ko bhi woh waha nahi payenge . And as for those who believed and did righteous deeds, He will give them in full their rewards and grant them extra from His bounty. But as for those who disdained and were arrogant, He will punish them with a painful punishment, and they will not find for themselves besides Allah any protector or helper.  Surah Nissa 173

Apne Maa Baap Ko Gali Dena Kabirah Gunaho Mese Hai

 Apne Maa Baap Ko Gali Dena Kabirah Gunaho Mese Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”apne maa baap ko gaali dena kabira gunaho mein se hai “, sahaba ne arz kya : ALLAH ke RASUL! bhala koi aadmi apne maa baap ko bhi gaali dega? aap ne farmaya : ”han, woh kisi ke baap ko gaali dega, to woh bhi us ke baap ko gaali dega, aur woh kisi ki maa ko gaali dega, to woh bhi us ki maa ko gaali dega“ .  The Messenger of ALLAH said: It is among the greatest of sins that a man should curse his parents. They said: O Messenger of ALLAH! Does a man curse his parents? He said: Yes. He verbally abuses the father of a man, who in turn, verbally abuses his father, and he (retaliates and) curses his mother , so he curses his mother.  Tirmazi 1902 ,Sahih