Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Jis Shaks Ne Logo Ko Dikhane Ke Liye Ilm Padha

 Jis Shaks Ne Logo Ko Dikhane Ke Liye Ilm Padha


Woh aadmi jis ne ilm padha, padhaya aur quran ki qirat ki, usay paish kiya jayega. ( ALLAH TA'ALA ) usay apni nemato ki pehchan karayega, woh pehchan karlega, woh farmayega : Tune un nemato ke sath kya kiya? woh kahega : mein ne ilm padha aur padhaya aur teri khatir quran ki qirat ki, ( ALLAH ) farmayega : Tune jhoot bola, Tune is liye ilm padha ke kaha jaye ( yeh ) aalim hai aur tune quran is liye padha ke kaha jaye : yeh qaari hai, woh kaha gaya, phir us ke bare mein hukum diya jayega, isse muhn ke bal ghsita jaye ga hatta ke aag mein daal diya jaye ga 


Then will be brought forward a man who acquired knowledge and imparted it (to others) and recited the Qur'an. He will be brought And ALLAH will make him recount His blessings and he will recount them (and admit having enjoyed them in his lifetime). Then will ALLAH ask: What did you do (to requite these blessings)? He will say: I acquired knowledge and disseminated it and recited the Qur'an seeking Thy pleasure. ALLAH will say: You have told a lie. You acquired knowledge so that you might be called a scholar, and you recited the Qur'an so that it might be said: He is a Qari and such has been said. Then orders will be passed against him and he shall be dragged with his face downward and cast into the Fire.

Sahih Muslim 4923 , Sahih

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab