Posts

Showing posts from December, 2021

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Dhul Hijja Ke 10 Dino Ki Fazilat

Dhul Hijja Ke 10 Dino Ki Fazilat Nabi Kareem ﷺ ne farmaya un dino ke amal se ziyada kisi din ke amal mein fazilat nahi. logo ne pucha aur jihad mein bhi nahi. aap ﷺ ne farmaya ke haan jihaad mein bhi nahi siwa us shakhs ke jo apni jaan o maal khatrah mein daal kar nikla aur wapas aaya to sath kuch bhi nah laya ( sab kuch ALLAH ki raah mein qurbaan kar diya ) . Narrated Ibn `Abbas: The Prophet said,   No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja).   Then some companions of the Prophet said,   Not even Jihad?   He replied,   Not even Jihad, except that of a man who does it by putting himself and his property in danger (for ALLAH'S sake) and does not return with any of those things.  Bukhari 969 Sahih

Deen Felane Ki Fazilat

  Deen Felane Ki Fazilat Nabi kareem ﷺ ne farmaya mera Paigaam logo ko pahuchaao agarche ek hi aayat ho. Narrated `Abdullah bin `Amr: The Prophet said,   Convey (my teachings) to the people even if it were a single senten Sahih Bukhari 3461

Arfa Ke Roze Ki Fazilat (Dhul-Hijjah)

Arfa Ke Roze Ki Fazilat (Dhul-Hijjah) RASULULLAH ﷺ ne farmaya : mein samjhta hu ke Arfa ke din roza rakhne ka sawab ALLAH TA'ALA yeh dega ke agle pichle ek saal ke gunah bakhash dega The Messenger of ALLAH (ﷺ) said:“Fasting on the Day of ‘Arafah, I hope from Allah, expiates for the sins of the year before and the year after.”  Ibne Maza 1730 , Sahih

Dhul-Hijjah Ke Roze Ki Fazilat

  Dhul-Hijjah Ke Roze Ki Fazilat RASULULLAH ﷺ ‌ ne farmaya : Yaum E Arfa yani Dhul-Hijjah ka roza guzishta aur ainda do salo ke gunaaho ka kaffara bantaa hai aur Yaum E Ashura ka roza ek guzashta saal ke gunaho ka Musnad Ahmed 3979 , Sahih

Nabi ﷺ Sajde or Ruku Me Aksar Padhte The

  Nabi ﷺ Sajde or Ruku Me Aksar Padhte The Nabi Akram ﷺ Sajde Or Ruku Me Aksar Ye Padha Karte The Subhana_Kalla_Humma Rabana Wabihamdi_Kalla_Hummag Firliy سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي Narrated `Aisha: The Prophet used to say frequently in his bowing and prostrations (Exalted [from unbecoming attributes] Are you O Allah our Lord, and by Your praise [do I exalt you]. O Allah! Forgive me).  Bukhari 817, Sahih

Tumhe Kamzoro ki Wajah Se Rizq Diya Jata Hai

  Tumhe Kamzoro ki Wajah Se Rizq Diya Jata Hai Mein Ne RASULULLAH ﷺ ko farmate hue suna : mere liye zaeef aur kamzor logo ko dhuundo, kyuke tum apne kmzoro ki wajah se rizaq diye jatay aur madad kiye jatay ho Narrated Abu Darda: I heard the Messenger of ALLAH ﷺ say: Seek for me weak persons, for you are provided means of subsistence and helped through your weaklings. Abu Dawood 2594 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Ko Jab Koi Khushi Ki Bat aati

  RASULULLAH ﷺ Ko Jab Koi Khushi Ki Bat aati Nabi Akram ﷺ ke paas jab koi khushi ki baat aati ya aap ﷺ ko koi khushkhabri sunai jati to ALLAH ka shukar ada karte hue sajda mein gir padhte When anything came to the Prophet ﷺ which caused pleasure (or, by which he was made glad), he prostrated himself in gratitude to ALLAH.  Abu Dawood 2774 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ne 7 Kamo Ka Huqm Diya Or 7 Kamo se Roka

  RASULULLAH ﷺ ne 7 Kamo Ka Huqm Diya Or 7 Kamo se Roka Hume nabi kareem ﷺ ne saat kamo ka huqm diya aur saat kamo se roka. hume aap ﷺ ne huqm diya tha janaza ke sath chalne, mareez ki mizaaj pursi, dawat qubool karne, mazloom ki madad karne ka, qasam puri karne ka, salam ka jawab dene ka, chink par « Yarehma_kullah » kehne ka aur aap ﷺ ne hume mana kiya tha chandi ke bartan ( istemaal mein laane ) se, sone ki angothi pehenne se, resham aur Dibej ( ke kapron ke pahannay ) se, qissi se, istabraq se۔   Narrated Al-Bara' bin `Azib: Allah's Apostle ordered us to do seven things and forbade us to do other seven. He ordered us: to follow the funeral procession. to visit the sick, to accept invitations, to help the oppressed, to fulfill the oaths, to return the greeting and to reply to the sneezer: (saying, May Allah be merciful on you, provided the sneezer says, All the praises are for Allah, ). He forbade us to use silver utensils and dishes and to wear golden rings, s...

Sajde Ki Halat Me Kasrat Se Dua Karna

  Sajde Ki Halat Me Kasrat Se Dua Karna RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Banda apne rab ke sab se ziyada qareeb is haalat mein hota hai jab woh sajde mein hota hai, lehaza is mein kasrat se dua karo .   The Messenger of ALLAH ( ‌ﷺ ‌ ) said: The nearest a servant comes to his Lord is when he is prostrating himself, so make supplication (in this state).  Muslim 1083 , Sahih

Dua Se Pehle ALLAH ki Tareef Or RASULULLAH ﷺ Par Durood Bhejna

  Dua Se Pehle ALLAH ki Tareef Or RASULULLAH ﷺ Par Durood Bhejna Mein namaz padh raha tha, aur nabi akram ﷺ mojood the, Abu Bakr aur Umar R.A ( bhi ) aap ke sath the, jab mein ( Qayda Akhir mein ) betha to pehle mein ne ALLAH ki tareef ki phir nabi ﷺ par durood bheja, phir apne liye dua ki, to Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ”Mango, tumhe diya jaye ga, maang tumhe diya jaye ga Abdullah said: I was prayed and the Prophet, Abu Bakr, and Umar were there, so when I sat, I started off with praising ALLAH, then sending Salat upon the Prophet, then supplicating for myself. So the Prophet said: 'Ask, your request will be granted, ask, your request will be ranted. Tirmazi 593 , Sahih