Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jab Qazi Kisi Ke Haq Me Galat Fesla Karde

 Jab Qazi Kisi Ke Haq Me Galat Fesla Karde

RASULULLAH ﷺ ne farmaya me insan Hi Hu Tum Apne Muqadmat Ko Mere pas laate ho ho sakta hai tum mese kuch log dusre ke muqable me apni dalil zyada behtar tarike se pesh karne wale ho to me unhi ke haq me fesla kardu jesa mene unse suna ho , to jis shaks ke liye me uske bhai ke haq ka fesla kardu to wo usme se hargiz kuch na le kyoki mein uske liye aag ka ek tukdha kaat raha hu.



Umm Salamah reported the Messenger of Allah ﷺ as saying: I am only a human being, and you bring your disputes to me, some perhaps being more eloquent in their plea than others, so that I give judgement on their behalf according to what I hear from them. Therefore, whatever I decide fr anyone which by right belongs to his brother, he must not take anything, for I am granting him only a portion of Hell. 


Abu Dawood 3583 , Sahih

Wajahat :- Yaani Mein Insan Hu Or Insan Ko mamle ki haqiqat or Or uski batni ka ilm Nahi hota , islye qitab ullah ke zahir ke mutabik Logo ke darmiya fesla Karunga , Agar koi shaks apni man marzi or tez zabani se Dhoka dekar haqim se apne haq me fesla lele or dusre ka haq chin le toh woh maal uske haq me ALLAH ke nazdik haram Hoga or uska azab jahannum ka azab hain , Aap ﷺ ke farmaan se ye bhi malum hua ke Jese or logo ko gaib ka hal malum nahi Zahir par fesla karte hai Aap ﷺ ko bhi gaib ki har bat malum nahi Mojuda zamane ki karywahiyo or waqil ki tez zabani or rishwat or sifarisho ke hone wali Jeet se khush hone wale Musalmano ke liye is irshad e nabwi me bahut badhi Nasihat hai.

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare