Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

12 Farishtay Ek Waqt Un Kalmaat Ko ALLAH Ke Samne Pesh Karne Ke Liye Lapke The.

 12 Farishtay Ek Waqt Un Kalmaat Ko ALLAH Ke Samne Pesh Karne Ke Liye Lapke The.

Ek aadmi ne nabi ﷺ ke piche namaz padhi aur kaha : ALLAHU AKBARU KABIRA WAL-HAMDU LILLAHI KASHIRA, WA SUBHAN-ALLAHI BUKRATAN WAS ASILA ' ALLAH sab se badha hai, bohat badha. aur har tareef ALLAH ke liye hai, be intehaa. aur subah o shaam ALLAH hi ki pakizagi bayan hoti hai.' ' Nabi ﷺ ne farmaya :' ' yeh Kalimat kisne kahe the ?' ' ek aadmi ne kaha : Aye ALLAH ke nabi! mein ne. aap ne farmaya :' ' ALLAH ki qasam! 12 farishtay ek waqt un kalmaat ki taraf lapke the. ( har ek ki khwahish thi ke woh un kalmaat ko ALLAH TA'ALA ke huzoor paish kare. )

A man stood behind the Prophet of ALLAH (ﷺ) and said: (ALLAH is Most Great and much praise be to ALLAH and glorified be Allah at the beginning and end of the day). The Prophet of ALLAH (ﷺ) said: Who spoke these words? A man said: I did, O Prophet of ALLAH (SWT). He said: Twelve angels rushed (to take them up). 


اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلًا


Sunan Nasai 886 , Sahih

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab