Posts

Showing posts from September, 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Qayamat ki Nishani

Qayamat ki Nishani Qayamat se pehle Sood , Zina, Aur shrab Aam Hojayengi. Silsila Tus Sahiha 2589 , Sahih

Biddati Ki Tauba

Biddati Ki Tauba ALLAH TA'ALA ne Har Bidd'ati ki tauba se parda kiya hua hai. Silsila Tus Sahiha 2545, Sahih

ALLAH ke alawa kisi or ki kasam khana

ALLAH ke alawa kisi or ki kasam khana RASULULLAH ﷺ ‌se suna farma rahe the : ALLAH ke ilawa jis ki bhi qasam khaye jaye woh shirk hai.  Silsila Tus Sahiha 1073 , Sahih 1073

Jab mera banda mujhe pukarta hai me uske sath hota hu

Jab mera banda mujhe pukarta hai me uske sath hota hu Abu Huraira razi allah anho se marwi hai ke Nabi ‌ﷺ me farmaya : ALLAH azzwajal farmata hai : mein –apne bande ke gumaan ke mutabiq hota hu aur jab woh mujhe pukarta hai mein is ke sath hota hon Silsila Tus Sahiha 1057 , Sahih

ALLAH ko chodh kar dusre mabudo ko pukarna

ALLAH ko chodh kar dusre mabudo ko pukarna Aur aye Nabi ﷺ, mere bande agar tum se mere mutaliq punche, to unhe bta do ke mein un se qareeb hi hu. Pukarne wala jab mujhe pukaarta hai, mein is ki pukaar santa aur jawab deta hu. lehaza unhe chahiye ke meri dawat par labbaik kahin aur mujh par imaan layein yeh baat tum unhe suna do shayad ke woh raah e raast pale. And when My servants ask you, [O Muhammad], concerning Me - indeed I am near. I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me. So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided.  Surah Baqara 186 Tafseer_ :- Yani agarchay tum mujhe dekh nahi satke aur nah –apne hawaas se mujh ko mehsoos kar satke ho, lekin yeh khayaal nah karo ke mein tum se dur hon. nahi, mein –apne har bande se itna qareeb hon ke jab woh chahay, mujh se arz maruz kar sakta hai, hatta ke dil hi dil mein woh jo kuch mujh se guzarish karta hai, mein usay bhi sun leta hon aur ...

Teen shakhs ese hain jin ki namaz aasman ki taraf buland nahi hoti hai

Teen shakhs ese hain jin ki namaz  aasman ki taraf buland nahi hoti hai Anas bin malik R.A   se marfua marwi hai ke : Teen shakhs ese hain jin ki namaz qubool nahi hoti, aur nah hi woh aasman ki taraf buland hoti hai, na un ke sir se upar jati hai. woh shakhs jo kisi qoum ki imamat karta hai jbke  log use napasand krte ho. woh shakhs jis ne janaze ki namaz pardhai halanke usse kaha nahi gaya, aur woh aurat jise raat ke waqt is ke shohar ne bulaya lekin us ne inkar kr diya . Silsila Tus Sahiha 610 , Sahih

Kabair kya hain

Kabair Kya Hain Abdullah bin Abbas Razi Allah Anhuma se marwi hai ke ek aadmi ne kaha : Aye Allah ke RASUL kabair kya hain? aap ﷺ ne farmaya : Allah ke sath shirk krna Allah ki rehmat se na umeed hona, aur Allah ki rehmat se mayoos hona.    Silsila Tus Sahiha 1050 , Sahih

Aurto se unke hone wale shoharo ke bare mein mahswara kar liya karo.

Aurto se unke  hone wale shoharo ke bare mein mahswara kar liya karo.  Aisha Razi Allah Anha se marfua marwi hai ke : Aurto se unke ( hone wale shoharo ke bare mein ) mahswara kar liya karo. aap se kaha gaya : kunwari larki baat karne se sharamati hai? aap ﷺ ne farmaya : uski khamoshi uski ijazat hai . Silsila Tus Sahiha 1904 , Sahih Ps : Agar uski khamoshi se uski narazgi yaa uski marzi naa me zahir hoti heto usse inkar hi mana jayega.

Aadmi Apne Dost Ke Deen Par Hota Hai

Aadmi Apne Dost Ke Deen Par Hota Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : aadmi –apne dost ke deen par hota hai, to har shaks dekhe ke uska dost kon hai Silsila Tus Sahiha 1047 , Sahih

Teen aadmi ki farz o Nafil ALLAH TA'ALA qubool nahi karega

Teen aadmi ki farz o Nafil ALLAH TA'ALA qubool nahi karega Teen aadmi ese hain jin ke farz o Nafil ALLAH TA'ALA qubool nahi kare ga : ( walidain ka ) nafarman, ahsaan jatlane wala, taqdeer ko jhutlanay wala. Silsila Tus Sahiha 1032 , Sahih

ALLAH ki nishaniyo me gaur fikar kiya karo , ALLAH ke bare me gaur fikar nahi.

ALLAH ki nishaniyo me gaur fikar kiya karo , ALLAH ke bare me gaur fikar nahi. Silsila Tus Sahiha 1027 , Sahih

Imaan ke 70 se zyada darje hai

Imaan ke 70 se zyada darje hai Abu Huraira Razi Allah anho se marfua marwi hai : Imaan ke sattar se ziyada darjr hain. km tareen darja raste se takleef da cheez ko hatana aur afzal tareen darja” la_ilaha_illallah“ kehna hai.  Silsila Tus Sahiha 1021 ,Sahih

Mere Baad Kuch log ayenge jo apna maal k badle meri ek jhalak dekhna pasand karenge

Mere Baad Kuch log ayenge jo apna maal k badle meri ek jhalak dekhna pasand karenge Abu Huraira Razi Allah anho kehte hain ke RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Mere baad kuch log ayenge  jinhein yeh baat pasand hogi ke –apne ghar-baar aur maal ke badlay meri ek jhalak dekh le. Silsila Tus Sahiha 1006 , Sahih

ALLAH deen ki madad Gunahgar admi se b krwa deta hai

ALLAH Deen Ki Madad Gunahgar Admi Se Bhi Krwa Deta Hai Abdullah Razi Allah anho se marfua marwi hai ke : Yaqinan ALLAH azzwajal is deen ki madad gunahgar aadmi se bhi karwa deta hai. Silsila Tus Sahiha 983 , Sahih

ALLAH TA'ALA ko konse teen bande sab se ziyada na pasand hain

ALLAH TA'ALA ko konse teen bande sab se ziyada na pasand hain Abdullah bin abbas razi Allah anhuma se marwi hai ke Nabi ﷺ ne farmaya : ALLAH TA'ALA ko teen bande sab se ziyada na pasand hain, haram mein alhaad karne wala, Islam mein jahliat ka tareeqa talaash krne wala, aur naa haq kisi aadmi ke khoon ka mutalshi taake us ka khoon bahaye. Silsila Tus Sahiha 922, Sahih

Jab Ek Musalman Dusre Musalman ko kafir kehde yaa uspr lanat bheje

Jab Ek Musalman Dusre Musalman ko kafir kehde yaa uspr lanat bheje Nabi ‌ﷺ ‌ne farmaya : jab aadmi –apne bhai se kahe : Aye kafir, toh lafz usse qatal krne ke barabar hai. aur momin par laanat krna use qatal krne ke barabar hai... Silsila Tus Sahiha 941 , Sahih

Jab Shetan ye waswasa dale ALLAH ko kisne peda kiya to ye padhe

Jab Shetan ye waswasa dale ALLAH ko kisne peda kiya to ye padhe Aisha Razi ALLAH anha se marwi hai ke RASULULLAH ﷺ ‌ ne farmaya : tum mein se kisi shakhs ke paas shetan aata hai aur kehta hai : tumhe kis ne peda kiya? woh aadmi kehta hai ALLAH ne. shetan kehta hai : Allah ko kis ne peda kiya ?. jab aisi surat e haal hoto yeh kalimat ada kare : (آمَنْتُ بِاللهِ وَرُسُلِهِ) (AAMANTU BILLAHI WA_RUSULIHI)   mein ALLAH aur ke Rasulo par imaan laya. is tarha shetan uske paas se bhaag jaye ga.  Silsila Tus Sahiha 972 , Sahih #allah ko kisne peda kiya

Afzal Imaan Kya hai

Afzal Imaan Kya hai Afzal imaan sabr aur dar guzar krna hai.  Silsila Tus Sahiha 954 , Sahih

Meri Ummat Jahilat ke ye 4 kaam kabhi nahi chodhegi

Meri Ummat Jahilat ke ye 4 kaam kabhi nahi chodhegi Meri ummat ke chaar kam jahliat se hain, inhen yeh kabhi nahi choden ge. hasb mein fakhr krna, nasb mein ta'an krna, sitaron se barish talabb krna aur noha krna Silsila Tus Sahiha 944, Sahih

ALLAH ke nazdeek sab se pyara deen konsa hai?

ALLAH ke nazdeek sab se pyara deen konsa hai? Abdullah bin abbas razi Allah anhuma se marfua marwi hai ke Nabi ﷺ ‌  se sawal kiya gaya k ALLAH ke nazdeek sab se pyara deen konsa hai? aap ne farmaya : Aasaan aur Yaksu. Silsila Tus Sahiha 928 , Sahih

Jo shakhs musalmano ke darmiyan tafarraqa dalne ka irada kare.

Jo shakhs  Musalmano Ke Darmiyan Tafarraqa Dalne Ka Irada Kare Nabi kareem ﷺ ne farmaya : kuch fitne aur hangame honge, jab musalman muttahid ho to jo shakhs un ke darmiyan tafarruqa dalne ka iradah kare to usay talwar se qatal kar daalo, khuwa woh koi bhi ho . Musnad Ahmad 12794 ,Sahih

Apna Deen sahi AALIM se hasil kare.

Apna Deen sahi AALIM se hasil kare. Hazrat Ibn Sareen Rehmatullah Alayh ne farmaya : Beshak yeh ilm deen hai, pas tum dekho ke tum apna deen kis se haasil karte ho. . Mishkat 273 , Sahih

Maut ke baad insan ko kis amal ka swab pahuchnta hai.

Maut ke baad insan ko kis amal ka swab pahuchnta hai. Hazrat Abu-Huraira  bayan karte hain, RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' jab insaan faut ho jata hai to teen kam, sadqa Jaria , woh ilm jis se istifada kiya jaye aur naik aulaad jo is ke liye dua kare, ke siwa is ke aamaal ka silsila munqita ho jata hai. Mishkat 203 , Sahih.

Sabse acchi baat Kitabullah aur sbse accha tarika ﷺ ka tarika hai

Sabse acchi baat Kitabullah aur sbse accha tarika ﷺ ka tarika hai  Sabse acchi baat Kitabullah aur sbse accha tarika ﷺ ka tarika hai , aur sbse buri buri baat biddat peda karna hai (deen me) . Or bila shuba jis ka tumse wada kiya jata hai  woh aakr rhegi aur tum parwerdigar se bach kar kahi nahi jaa sakte. Narrated `Abdullah: The best talk (speech) is Allah's Book 'Qur'an), and the best way is the way of Muhammad, and the worst matters are the heresies (those new things which are introduced into the religion); and whatever you have been promised will surely come to pass, and you cannot escape (it).  Sahih Bukhari 7277 , Sahih

Agar Tum Quran Hadees Se bhatkoge To Gumraah Hojaoge

Agar Tum Quran Hadees Se bhatkoge To Gumraah Hojaoge Aye Quran Or Hadees padhne walo agar tum Quran or Hadees par na jamoge ,idhr udar daaye baaye raaste loge tobhi gumraah hoge bahut badhe gumraah.  Narrated Hammam: Hudhaifa said,   O the Group of Al-Qurra! Follow the straight path, for then you have taken a great lead (and will be the leaders), but if you divert right or left, then you will go astray far away.  Sahih Bulhari 7282 , Sahih

ALLAH jiske sath bhalai ka irada karta hai.

  ALLAH jiske sath bhalai ka irada karta hai. RASULULLAH ﷺ ne farmaya ALLAH TA'ALA Jis shaks ke sath bhalai ka irada farmata hai to usse deen ki samajh ataa kardeta hai. Narrated Ibn 'Abbas: that the Messenger of Allah (ﷺ) said: For whomever ALLAH wants good, he gives him understanding in the religion.  Tirmazi 2645

Bina Baat Ke Talaq Talab Karna

Bina Baat Ke Talaq Talab Karna RASULULLAH ﷺ ne farmaya Jis Aurat ne apne shohar se bager kisi baat ke talaq talab kito uspr Jannat ki khushboo Haram hai. The Messenger of Allah said: Whichever woman seeks a Khul from her husband without harm (cause), then the scent of Paradise will be unlawful for her. .  Tirmazi 1187 , Sahih

Jisne Biyaj Khaya Uski Jung ALLAH or uske RASUL se hai.

Jisne Biyaj Khaya Uski Jung ALLAH or uske RASUL se hai.. Phir bhi agar tum aisa naa kero gay to ALLAH aur uss kay RASUL ki taraf say elaan-e-jang sunn lo . aur agar tum ( sood say ) tauba kero to tumhara asal sarmaya tumhara haq hai . naa tum kissi per zulm kero , naa tum per zulm kiya jaye .  And if you do not, then be informed of a war [against you] from Allah and His Messenger. But if you repent, you may have your principal - [thus] you do no wrong, nor are you wronged.  (Surah Baqara 279) #byaj #biyaj#sood#interest

Qayamat ki wo Nishani Jo aaj sach hoti hui dikh rhi he

Qayamat ki wo Nishani Jo aaj sach hoti hui dikh rhi he Musalmao pr dusri qaumo ki yalgaar RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Qareeb hai digar qaum tum par ese hi tut padhe jese khame wala piyalo par tuth padhta hai , to ek kehne wale ne kaha : Kya hum waqt tadad me kam honge ? Aap ﷺ ne farmaya: Nahi us waqt tum bahut hoge. Lekin tum selab ki jhaag ke manind hoge ALLAH TA'ALA us waqt tumhare dushman ke sine se tumhara khauf nikal dega. Or tumhare dilo me wahn daldega  to ek kehne wale ne kaha , ALLAH ke RASUL Wahn kya chiz hai ? Aap ﷺ ne farmaya ye duniya ki Muhabbat or maut ka darr hai.  Narrated Thawban: The Prophet ﷺ ‌ ‌ said: The people will soon summon one another to attack you as people when eating invite others to share their dish. Someone asked: Will that be because of our small numbers at that time? He replied: No, you will be numerous at that time: but you will be scum and rubbish like that carried down by a torrent, and Allah will take fear of you from the breasts...

Saqit Baccha (Miscarriage) Akhirat me ALLAH se jhagdhega uske maa_baap ko jannat me dakhil krwane k liye.

Saqit Baccha (Miscarriage) Akhirat me ALLAH se jhagdhega uske maa_baap ko jannat me dakhil krwane k liye. حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يَحْيَى، ‏‏‏‏‏‏ وَمُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاق أَبُو بكر البكائي، ‏‏‏‏‏‏قَالَا:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو غَسَّانَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مَنْدَلٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْالْحَسَنِ بْنِ الْحَكَمِ النَّخَعِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَسْمَاءَ بِنْتِ عَابِسِ بْنِ رَبِيعَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهَا، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَلِيٍّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  إِنَّ السِّقْطَ لَيُرَاغِمُ رَبَّهُ إِذَا أَدْخَلَ أَبَوَيْهِ النَّارَ، ‏‏‏‏‏‏فَيُقَالُ:‏‏‏‏ أَيُّهَا السِّقْطُ الْمُرَاغِمُ رَبَّهُ أَدْخِلْ أَبَوَيْكَ الْجَنَّةَ فَيَجُرُّهُمَا بِسَرَرِهِ حَتَّى يُدْخِلَهُمَا الْجَنَّةَ .  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  ساقط بچہ اپنے رب سے جھگڑا کرے گا ۱؎، جب وہ اس کے والدین کو جہنم میں ڈالے گا، تو کہا جائے گا: رب سے جھگڑنے والے ساقط بچے! اپنے والدین کو جنت میں داخل کر، وہ ان دونوں کو اپنی ناف سے کھینچے گا یہاں تک کہ جنت میں لے جائے گا ...