Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

ALLAH ko chodh kar dusre mabudo ko pukarna

ALLAH ko chodh kar dusre mabudo ko pukarna

Aur aye Nabi ﷺ, mere bande agar tum se mere mutaliq punche, to unhe bta do ke mein un se qareeb hi hu. Pukarne wala jab mujhe pukaarta hai, mein is ki pukaar santa aur jawab deta hu. lehaza unhe chahiye ke meri dawat par labbaik kahin aur mujh par imaan layein yeh baat tum unhe suna do shayad ke woh raah e raast pale.

And when My servants ask you, [O Muhammad], concerning Me - indeed I am near. I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me. So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided. 

Surah Baqara 186




Tafseer_:- Yani agarchay tum mujhe dekh nahi satke aur nah –apne hawaas se mujh ko mehsoos kar satke ho, lekin yeh khayaal nah karo ke mein tum se dur hon. nahi, mein –apne har bande se itna qareeb hon ke jab woh chahay, mujh se arz maruz kar sakta hai, hatta ke dil hi dil mein woh jo kuch mujh se guzarish karta hai, mein usay bhi sun leta hon aur sirf sunta hi nahi, faisla bhi sadir karta hon. jin be haqeeqat aur be ikhtiyar hastiyon ko tum ne apni nadani se ala aur rab qarar day rakha hai, un ke paas to tumhe daud daud kar jana parta hai aur phir bhi nah woh tumhari sunwai kar satke hain aur nah un mein yeh taaqat hai ke tumhari darkhwaston par koi faisla sadir kar saken. magar mein kaayenaat be payaan ka farmaa rawai mutlaq, tamam ikhtiyarat aur tamam taqaton ka maalik, Tum se itna qareeb hu ke tum khud baghair kisi waste aur wasile aur sifarish ke barah e raast har waqt aur har jagah mujh tak apni arziya pahuncha satke ho. lehaza tum apni is nadani ko chodh do ke aik aik be ikhtiyar banawati khuda ke dar par maaray maaray phirtay ho. mein jo dawat tumhe day raha hon, is par labbaik keh kar mera daman pakar lo, meri taraf rujoo karo, mujh par bharosa karo aur meri bandagi o itaat mein aajao .

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab