Posts

Showing posts from 2025

Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Agar Galti Se Namaz Me Raqat Kam Ya ZyadaPadhle

Nabi Karim ﷺ ne Zohar ya Asr ki Namaz padhai jab Aap ﷺ ne salam phera to zul-yadain kehne laga ke ya RASULULLAH ﷺ ! kya Namaz ki rakatein kam ho gaee hain? (kyonke Aap ﷺ ne bhool kar sirf 2 rakaton par salam pher diya tha) Nabi Karim ﷺ ne apne ashaab se malum kya ke kya ye sach kehtey hain? sahaba ne kaha ji haan, us ne sahi kaha hai. tab Nabi Karim ﷺ ne 2 rakaat aur padhaai phir 2 sajdey kiye (Sajda Sahu). Sad ne bayan kya ke Urwa-bin-Zubair ko maine dekha ke aap ne maghrib ki 2 rakatein padh kar salam pher diya aur baatein bhi kin. phir baqi aik rakaat padhi aur 2 sajdey kiye aur farmaya ke Nabi Karim ﷺ ne isi tarah kiya tha. The Prophet led us in the `Asr or the Zuhr prayer and finished it with Taslim. Dhul-Yadain said to him, O Allah's Apostle! Has the prayer been reduced? The Prophet asked his companions in the affirmative. So Allah's Apostle I offered two more rak`at and then performed two prostrations (of Sahu). Sa`d said, I saw that 'Urwa bin Az-Zubair had off...

Haram cheez se ilaj karwane par Shifa nahi milegi

Haram cheez se ilaj karwane par Shifa nahi milegi RASULULLAH ﷺ ne farmaya Jis shakhs ne kisi haram cheez se ilaaj kiya to ALLAH Subhanahu uske liye is mein shifa nahi rakhega The Messenger of ALLAH ﷺ said: Whoever is treated with something haraam, ALLAH will not heal him. Al-Silsila-tus-Sahiha-2343, Sahih _ haramtreatment, medicine, haramilaj _

Sood (Riba) Khaney waley ka Dardnaak Anjaam

 Sood (Riba) Khaney waley ka Dardnaak Anjaam RASULULLAH ﷺ ne farmaya Raat mein mainey do aadmee dekhey wo dono mere paas aaaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye phir hum sab wahan se chaley yahan tak ke hum ek khoon ki Nahar par aaye wahan ek shkash (nahar ke kinarey par) khada hua tha aur nahar ke beech mein bhi ek shkash khada hua tha .(nahar ke kinarey) khadey honey waley ke samney paththar Parhey huye they, beech nahar wala aadmee aata aur jaisey hi wo chahta ki wo bahar nikal aaye to bahar wala shkash uskey munh par paththar kheench kar marta aur wo jaha tha wohi phir laut jata, mainey apney saathiyon(farishton) se pucha ki ye kya hai to unhoney uska jawab ye diya ki nahar mein tumney jis shaksh ko dekha wo sood khaney wala insaan hai. Sahih Bukhari 2085

Qasam Khaa Kar Maal Bechne se Barkat Khatam Ho Jati Hai

 Qasam Khaa Kar Maal Bechne se Barkat Khatam Ho Jati Hai RASULULLAH ‌ﷺ ne farmaya: (dukandar ke) qasam khaney se saman to jaldi bik jata hai lekin wo qasam barkat ko mita dene wali hoti hai. RASULULLAH ‌ﷺ said: The swearing (by the seller) may persuade the buyer to purchase the goods but that will be deprived of ALLAH'S blessing. Sahih Bukhari 2087

Acchi Tarah Wuzu Karne Ki Fazilat

 Acchi Tarah Wuzu Karne Ki Fazilat RASULULLAH ‌ﷺ ne farmaya : jo shaks wudu kare or khub acchi tarah wudu kare to us ki khatayein us ke jism se nikal jaati hai. Hatta ke us ke nakhuno ke niche se bhi, nikal jaati hai. RASULULLAH ‌ﷺ said : When a person performs wudu and does it properly, his sins are washed away from his body-even from beneath his nails." Mishkat al-Masabih 284, Sahih

Sachchey Tajir (karobari) ki fazilat

Sachchey Tajir (karobari) ki fazilat RASULULLAH ﷺ  ne farmaya Sach bolne wala Amanatdar Musalman tajir Qayamat ke din Anbiya Alahih Salam, Siddiqeen, aur Shaheedon ke sath hoga. RASULULLAH ﷺ said “The honest and trustworthy merchant will be with the prophets, the truthful, and the martyrs.” Al-Silsila-tus-Sahiha - 1241, Sahih

Jab Koi Puche Musalman Kiski Ibadat Karte Hain

 Jab Koi Puche Musalman Kiski Ibadat Karte Hain Abu Tumaima Hajmi se marwi hai woh Hajm ke ek shaks se bayan karte hai us ne kaha ke : Aye ALLAH ke RASUL aap kis ki taraf bulate hai,?  Aap ﷺ ne farmaya  : Ek ALLAH ki taraf ALLAH woh zaat hai ke agar tumhe koi takleef pahuche aur tum use pukaro toh woh takleef dur kardega, Agar tum kisi jungle mee rasta behak jaao aur use pukaro toh woh tumhe rasta btayega, ALLAH woh zaat hai agar tum kahat me mubtila ho jao aur usse pukaro to woh tumhe Khush haali ataa kardega. Al-Silsila 931, Sahih #tawheed, Dawat, Tauheed, Allah Ka Tarruf

ALLAH Ke Alawah Kisi Aur Ki Qasam Khana

 ALLAH Ke Alawah Kisi Aur Ki Qasam Khana ALLAH ki kasam khaao, use pura karo, neki karo aur sach bolo kyonki ALLAH TA'ALA us baat ko napasnd karta hai ke us ke alawa kisi or ki kasam khaayi jaaye.. Swear by ALLAH, fulfill it, do good, and speak the truth, because ALLAH dislikes that anyone swears by other than Him. Al-Silsila 927, Sahih #kasam, #tawheed, #shirk

Bhalai Karne Wale Ko Uska Badla Do

 Bhalai Karne Wale Ko Uska Badla Do RASULULLAH ﷺ ne farmaya: jo ALLAH ke naam par panah maange usay panah do, jo ALLAH ke naam par sawal kare usay do, jo tumhe dawat de usay qubool karo, aur jo tumahre sath bhalai kare tum uska badla do, agar tum badla dene ke liye kuch nah pao to uske haq mein us waqt tak dua karte raho jab tak ke tum yeh nah samajh lo ke tum usay badla day chuke. The Prophet ﷺ said: If anyone seeks protection in Allah's name, grant him protection; if anyone begs in Allah's name, give him something; if anyone gives you an invitation, accept it; and if anyone does you a kindness, recompense him; but if you have not the means to do so, pray for him until you feel that you have compensated him.  Sunan Abi Dawud: Kitab Al-zakat 9, hadith no. 1672, Sahih

RASULULLAH ﷺ ne Aurat ko khushbu lagakar masjid me namaz padne se mana kiya

 RASULULLAH ﷺ ne Aurat ko khushbu lagakar masjid me namaz padne se mana kiya RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jis aurat ko (bakhor) khushbudar dhuan lag jaey wo hamarey sath isha ki Namaz mein hazir na ho. The Messenger of ALLAH ﷺ said: Whoever (woman) fumigates herself with perfume should not join us in the 'Isha' prayer. Sahih Muslim 998

Juma ke Khutbey mein Imaam ke qareeb baitha karo

  𝗝𝘂𝗺𝗮 𝗸𝗲 𝗞𝗵𝘂𝘁𝗯𝗲𝘆 𝗺𝗲𝗶𝗻 𝗜𝗺𝗮𝗮𝗺 𝗸𝗲 𝗾𝗮𝗿𝗲𝗲𝗯 𝗯𝗮𝗶𝘁𝗵𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗼 RASULULLAH ﷺ ne farmaya Naseehat ki majalis (Juma ke Khutbey) mein haazir hua karo aur Imaam ke qareeb baitha karo kyunki Aadmi dur hota rahta hai yaha tak ki wo Jannat mein bhi peeche rah jata hai chahey usmein dakhil ho jaye. RASULULLAH ﷺ Said Attend the Gathering for the Remembrance of Allah (Friday Sermons) and sit near the Imam, because if the person keeps away (from imam) he will be left behind in the paradise even he enter in it. 𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮 𝘁𝘂𝘀 𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮-𝟰𝟴𝟴 , 𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵

Qarzdar ko mohlat dene par har roz sadqe ka sawab milta hai

Qarzdar ko mohlat dene par har roz sadqe ka sawab milta hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya Jo tangdast ko mohlat dega usko har din ke badle sadqe ka sawab milega aur jo adayeegi ki miyad guzarne ke baad bhi mohlat de to usko diye gaye qarze ke barbabr har roz sadqe ka sawab mile ga. RASULULLAH ﷺ said Whoever gives respite to one in difficulty, he will have (the reward of) an act of charity for each day. Whoever gives him respite after payment becomes due, will have (the reward of) an act of charity equal to (the amount of the loan) for each day. Sunan Ibn Maja, 2418, Sahih

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jiski Niyat Qarz Ada karne ki ho usko Allah ki taraf se Madad mil jati hai

Jiski Niyat Qarz Ada karne ki ho usko Allah ki taraf se Madad mil jati hai RASULULLAH ﷺ  ne farmaya jis Shaks par Qarz ho aur wo ada karne ki Niyat rakhta ho to uske sath Allah Subhanahu ki taraf se madad ho jati hai aur Allah subhanahu uske liye rizq ka Zariya bana deta hai RASULULLAH ﷺ Said Any person who has debt and he has intention to pay it , he will be helped by Allah Subhanahu and Allah will make the way of sustenance for him Al-Silsila-tus-Sahiha - 1294