Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Agar Galti Se Namaz Me Raqat Kam Ya ZyadaPadhle

Nabi Karim ﷺ ne Zohar ya Asr ki Namaz padhai jab Aap ﷺ ne salam phera to zul-yadain kehne laga ke ya RASULULLAH ﷺ ! kya Namaz ki rakatein kam ho gaee hain? (kyonke Aap ﷺ ne bhool kar sirf 2 rakaton par salam pher diya tha) Nabi Karim ﷺ ne apne ashaab se malum kya ke kya ye sach kehtey hain? sahaba ne kaha ji haan, us ne sahi kaha hai. tab Nabi Karim ﷺ ne 2 rakaat aur padhaai phir 2 sajdey kiye (Sajda Sahu). Sad ne bayan kya ke Urwa-bin-Zubair ko maine dekha ke aap ne maghrib ki 2 rakatein padh kar salam pher diya aur baatein bhi kin. phir baqi aik rakaat padhi aur 2 sajdey kiye aur farmaya ke Nabi Karim ﷺ ne isi tarah kiya tha.

The Prophet led us in the `Asr or the Zuhr prayer and finished it with Taslim. Dhul-Yadain said to him, O Allah's Apostle! Has the prayer been reduced? The Prophet asked his companions in the affirmative. So Allah's Apostle I offered two more rak`at and then performed two prostrations (of Sahu). Sa`d said, I saw that 'Urwa bin Az-Zubair had offered two rak`at in the Maghrib prayer and finished it with Taslim. He then talked (and when he was informed about it) he completed the rest of his prayer and performed two prostrations, and said, 'The Prophet prayed like this.' 

Sahih Bukhari 1227

Wazahat: Hadees me wajeh taur par kaha gaya hain ke agar namaz me galti se raqato ki tadad kam ho jaye to dir se namaz nahi dohrai Jayegi balke jitani tadad kam hui hain sirf utani raqat padhi jayegi aur sajda sahu kara jayega. Aur agar galti se 5 raqate ho jayetab bhi namaz nahi dohrai jayegi balke sajda sahu kara jayega Bukhari 1226 aur Muslim 1272 me ata hain ke jab tum mein se kisi ko apni Namaz mein shak ho jaey aur usey malum na ho ke usne kitni rakatein padh li hain? teen ya char ? to wo shak ko chhod de aur jitni rakaton par usey yaqin hai un par buniyad rakhey ( teen yaqeeni hain to chothi padh ley ( phir salam se pahley 2 sajdey kar ley , agar us ne panch rakatein padh li hain to ye sajdey uski Namaz ko juft ( chh rakatein ( kar dengey aur agar us ne char ki takmeel kar li thi to ye sajdey shaitan ki zillat w ruswai ka baais hongey. Matlab namaz dhorane ki zarurat nahi BAS SAJDA SAHU KARLE.

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab