Posts

Showing posts from August, 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

*_Tum logo ne ye samajh rakhaa hai ki yuhi jannat me dakhila tumhe mil jayegaa_*

Tum logo ne ye samajh rakhaa hai ki yuhi  jannat me dakhila tumhe mil jayegaa Fir kyaa tum logo ne ye samajh rakhaa hai ki yuhi  jannat me dakhila tumhen mil jayegaa, halanki abhee tum par vo sab kuchh nahi guzaraa hai jo tumse pahale emaan laame walo par guzar chukaa hai? Un logo par sakhtiya guzari , musibate aayi , hilaa maare gaye, yahaan tak ki waqt kaa Rasul aur uke sathi emaan waale chikh uṭhe ki ALLAH ki madad kab ayegi? [us vaqt unhe tasalli di gayi ki] haan, ALLAH ki madad qareeb hai. Or Do you think that you will enter Paradise while such [trial] has not yet come to you as came to those who passed on before you? They were touched by poverty and hardship and were shaken until [even their] messenger and those who believed with him said,"When is the help of Allah ?" Unquestionably, the help of Allah is near.  Surah Baqara 214

ALLAH us shaks se Muhabbat kar jo mere Nawaso se Muhabbat kare.

ALLAH us shaks se Muhabbat kar jo mere Nawaso se Muhabbat kare. RASULULLAH ﷺ ne farmaya ye dono mere bete aur mere nawase hai , Aye ALLAH me indono se Muhabbat karta hu , Tu bhi inse Muhabbat kar , aur us se bhi Muhabbat kar jo inse Muhabbat kare.  The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: These are my two sons, and the sons of my daughter. O Allah! Indeed, I love them, so love them, and love those who love them.'  Tirmazi 3769 , Sahih

ALLAH us shaks se Muhabbat karta hai jo Husain se Muhabbat karta hai .

ALLAH us shaks se Muhabbat karta hai jo Husain se Muhabbat karta hai . RASULULLAH ﷺ ne farmaya Husain mujhse hai or me Husain se hu , ALLAH us shaks se Muhabbat karta hai jo Husain se Muhabbat karta hai . Narrated Ya'la bin Murrah: that the Messenger of ALLAH (ﷺ) said:   Husain is from me, and I am from Husain. ALLAH loves whoever loves Husain.  Tirmazi 3775 , Sahih

Teen Jagah Jhoot Bolna Halal Hai.

Teen Jagah Jhoot Bolna Halal Hai. RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Sirf Teen Jagah Jhut Jayaz or Halal Hai , Ek ye ke aadmi apni biwi se baat kare taake usko raazi karle , dusra jung me jhoot bolna , Tisra logo ke darmiya sulah karane ke liye jhoot bolna. The Messenger of ALLAH said:   it is not lawful to lie except in three cases: Something the man tells his wife to please her, to lie during war, and to lie in order to bring peace between the people Tirmazi 1939 , Sahih

Woh shaks hum mese nahi jo humare chotho pr meharbani naa kare or badho ka makam naa pehchane

Woh shaks hum mese nahi jo humare chotho pr meharbani naa kare or badho ka makam naa pehchane RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Woh shaks hum mese nahi jo humare chotho pr meharbani naa kare or badho ka makam naa pehchane The Messenger of ALLAH said: 'He is not one of us who does not have mercy upon our young, nor knows the honor of our elders.  Tirmazi 1920 , Sahih

Rishte naate todhne wala Jannat me dakhil nahi hoga.

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Rishte naate todhne wala Jannat me dakhil nahi hoga. Tirmazi 1910 , Sahih

Badan Ka Dard Dur Karne Ki Dua

Badan Ka Dard Dur Karne Ki Dua Uthman bin Abu Al-As R.A se rivayat hai ki unhone RASULULLAH ﷺ se us dard ka bayan kiya jo unke badan mein paida ho gaya tha jab wo musalmna huye the RASULULLAH ﷺ ne farmaya tum apna haath dard wali jagah par rakho aur  3 baar Bismillah kaho Aur uske baad 7 baar ye dua padho أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhaziru ( panah mein aata hu main ALLAH subhanahu ki aur uski kudrat ki us cheez ki burayi se jisko main apne andar mehsus karta hu aur jis se darta hu) Sahih Muslim, 5737 Sahih

Jo Shaks Zulm Ka sath Dega

Jo Shaks Zulm Ka sath Dega RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jo Shaks Kisi mukadme ki nahak perwi karega , Woh ALLAH ke Gez wa Gazab lekar wapis hoga. He who assits in a dispute unjustly deserves the anger of ALLAH, Most High.  Abu Dawood 3598

Hazrat Mehdi ke ane ke baad hi Qayamat ayegi

Hazrat Mehdi ke ane ke baad hi Qayamat ayegi Nabi akram ﷺ ne farmaya : Agar zamana se ek hi din baqi reh jaye ga to bhi ALLAH TA'ALA mere ahle bait mein se 1 shakhs khadha bhejega woh isse Adal o insaaf se is trha bhar dega jaise yeh zulm o jor se bhar di gayi hai .  Narrated Ali ibn Abu Talib: The Prophet ﷺ said: If only one day of this time (world) remained, ALLAH would raise up a man from my family who would fill this earth with justice as it has been filled with oppression.    Abu Dawood 4283

_Kam Mikdar me nasha bhi Haram Hai

Kam Mikdar me nasha bhi Haram Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jis Chiz ki zyada mikdar nasha peda karde to uski thodi si mikdar bhi haram hai. The Messenger of ALLAH (ﷺ) said:   Whatever a lot of it intoxicates, a little of it is unlawful.   Tirmizi 1865

ALLAH ke raza ke liye masjid bnane ki Fazilat

ALLAH ke raza ke liye masjid bnane ki Fazilat RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jis Shaks ne parindey ke ghosle ke barabar ya us se bhi choti masjid ALLAH ke liye banwai , To ALLAH Jannat me uske liye ek ghar banwayega. The Messenger of ALLAH said:  Whoever builds a mosque for the sake of ALLAH, like a sparrow's nest for ALLAH or even smaller, ALLAH will build for him a house in Paradise.  Ibne Maja 738

Masjid ke sajane par Fakhr karna Qayamat Ki Nisahni Hai

Masjid ke sajane par Fakhr karna Qayamat Ki Nisahni Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Qayamat us waqt Kayam Hogi , Jab log Masjid ke bare me ek dusre par fakhr karne lagege. The Messenger of Allah said: 'The Hour will not begin until the people compete in (building) mosques.'  Ibne Maja 739

Masjid me Gumshuda chizo ka elaan karna mana hai

Masjid me Gumshuda chizo ka elaan karna mana hai RASULULLAH ﷺ ne Masjid me gumshuda chizo ke elaan se mana Farmaya. The Messenger of Allah forbade making lost and found announcements in the mosque.  Ibne Maja 766

Teen Talaq Ikhatti Dena Sakht Gunaah Hai

Teen Talaq Ikhatti Dena Sakht Gunaah Hai Hazrat Mahmud bin Labid razi ALLAH anho bayan karte hain ke RASULULLAH ﷺ ko ek aadmi ke bare mein bataya gaya jis neh apni biwi ko ikathe teen Talaq dedi thi. aap ghusse ki haalat mein uth khadhe hue aur farmaya' ' kya meri mojudgi mein ALLAH TA'ALA ki kitaab se khela jata hai ?' ' hatta ke ek aadmi khara ho kar kehne laga : ae ALLAH ke RASUL! kya mein usay qatal nah kardu ?  Makhramah narrated that his father said: I heard Mahmud bin Labid say: 'The Messenger of Allah was told about a man who had divorced his wife with three simultaneous divorces. He stood up angrily and said: Is the Book of Allah being toyed with while I am still among you? Then a man stood up and said: 'O Messenger of Allah, shall I kill him?'  Sunan Nasai 3430, Sahih

Agar Biwi Talaq Lena Chahe to wo kya kare

  Khulaah Agar sirf biwi talaq chahe to use shohar se talaq mangna hogi, agar shohar nek insan hogaa to zahir hai vo biwi ko samjhane ki koshish karega aur fir use ek talaq de degaa, lekin agar shohar mangne ke bawajud bhi talaq nahi deta to   biwi ke lye islam me yeh aasani rakhi gayi hai ki vo shahar Qazi  ke paas jaye aur usse shohar se talaq dilavane ke lye kahe, islam ne Qazi ko yeh haq de rakha hai ki vo unka rishta khatm karne ka ailan kar de, jisse unke talaq ho jayi, kanun me ise ”khulaa” kaha jata hai. Yahi talaq ka sahi tarika hai lekin afsos ki baat hai ki hmaree yaha is tarike ki khilaaf varji bhi hoti hai aur kuch log binaa soche samajhe islam ke khilaf tarike se talaq dete hain jisse khud bhi pareshank uthate hain aur islam ki bhi badnami hotee hai. – (musharraf ahamad)

Jo Admi Apne Dil Me Talaq Deta Rahe

Jo Admi Apne Dil Me Talaq Deta Rahe Hazrat Abu-hurera razi ALLAH anho se riwayat hai' RASUL ﷺ ne farmaya :' ' ALLAH TA'ALA ne meri ummat ko woh bate maaf farma di hain jo woh –apne dil mein karte hain' jab tak woh zabaan par na layein ya un par amal na kare.' '  It was narrated from Abu Hurairah that -(one of the narrators) 'Abdur-Rahman said:   The Messenger of ALLAH -said: 'Allah, the Most High, has forgiven my Ummah for everything that enters the mind, so long as it is not spoken of or put into action.'  Sunan Nasai 3463 , Sahih

Miswak

Nabi karem ﷺ ne farmaya : Ke agr mujhe apni Ummat ya Logo ki takleef ka khayal na hota to me har namaz ke lye un ko MISWAK ka hukm deta  Sahih Bukhari 887

Meri Muhabbat ke khatir mere Ahle Bait se muhabbat karo.

Ibne Abbas Bayan karte hai, RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ALLAH se muhabbat karo kyoke usne tumhe naimato se nawaza hai, aur ALLAH ki muhabbat ke khatir mujhse muhabbat karo, aur Meri Muhabbat ke khatir mere Ahle Bait se muhabbat karo.  Mishkat 6182

Har namaz ke waqt ek munadi bheja jata hai aur wo kahta hai eh bani Adam utho apne liye jo aag jalayee hai use bujha do

Har namaz ke waqt ek munadi bheja jata hai aur wo kahta hai eh bani Adam utho apne liye jo aag jalayee hai use bujha do Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki RASULULLAH ﷺ ne farmaya har namaz ke waqt ek munadi bheja jata hai aur wo kahta hai eh bani Adam utho apne liye jo aag jalayi hai usay bujha do, log khade hote hain aur Wuzu Karte hain to unki ankho se unki khatayein gir jati hain aur Namaz padhte hai to unke do namazo ke darmiyan ke gunah baksh diye jaate hain, phir jab zohar ka waqt hota hai to phir se munadi aawaz deta hai Eh bani Adam utho tumne apne liye jo aag jalayi hai usko bujha do,  wo khade hote hain ,wuzu karte hain aur namaz padhte hai to phir se darmiyani waqt ke gunah maaf ho jaate hain, phir jab Asar ka waqt aata hai to usee tarah hota hai aur jab Magrib ka waqt hota hai to usee tarah hota hai, Jab Isha ka waqt hota hai to usi tarah hota hai, phir wo so jaate hain aur unke gunaah baksh diye gaye hote hain, phir Aap ﷺ ne farmaya is tarah ...

Jis Shaks ne (namaz ki safoh ke darmiyan) khali jagah ko pur Kiya.

Jis Shaks ne (namaz ki safoh ke darmiyan) khali jagah ko pur  Kiya. Aisha R.A se rivayat hain Jis Shaks ne (namaz ki safoh ke darmiyan) khali jagah ko pur  Kiya. RASULULLAH ﷺ ne farmaye Jis Shaks ne (namaz ki safoh ke darmiyan) khali jagah ko pur (fill) Kiya to  ALLAH Subhanahu Uske liye Jannat mein ghar banayega aur uske darjat buland Kar dega Al Silsila As sahiha, 737

Jab Sahaba Ka,Sitaro ka, Taqdeer ka Zikr hoto khamosh hojao.

  Jab Sahaba Ka,Sitaro ka, Taqdeer ka Zikr hoto khamosh hojao . RASULULLAH  ﷺ ne farmaya jab mere sahaba ka zikr ho to khamosh raha karo , aur jab sitaro ka zirk ho tab bhi khamosh raha karo aur jab taqdeer ka zikr ho tab bhi khamosh raha karo (yani in sabke baare mein zyada bahas na kiya karo)  Al Silsila As sahiha, 3350

khadhe hokar aur beth kar Namaz Padhna

Khadhe Hokar Aur Beth Kar Namaz Padhna Syedna abu Huraira ‌R.A se marwi hai ke RASULULLAH ‌ ﷺ khadhe hokar aur beth kar aur nange paau aur joota pehan kar namaz parhte the . Musnad Ahmed 1429

Jiske Dil Me Ahle Bait Ka Bugz Ho Wo Dozakhi hai

Agr koi shaks hajre aswad or maKame ibrahim ke bich me namaze pdta rahe. Or rozana roza rakhe... Or is haal me mare ke uske dil me bugze ahle bait ho.. ALLAH ki kasam wo zarur dozakh me jayega Silsile Ahdess Sahiha 2488

Koi Shaksh tum mai se Maut ki aarzu na kare,

Koi Shaksh Maut ki aarzu na kare, RASULULLAH ﷺ ne farmaya: Koi Shaksh tum mai se Maut ki aarzu na kare, Ager woh naik hai to mumkin hai neki me aur zyada ho aur ager bura hai to mumkin hai is se toba kare le.  Allah's Apostle said, None of you should long for death, for if he is a good man, he may increase his good deeds, and if he is an evil-doer, he may stop the evil deeds and repent.  Sahih al-Bukhari 7235

Musafir aur Hamila Aurat ke Roze Mauf ka bayan.

Musafir aur Hamila Aurat ke Roze Mauf ka bayan . Anas bin malik R.A se rivayat hai ki RASULULLAH ﷺ ne farmaya ALLAH subhanahu ne Musafir ke liye aadhi namaz maaf farma di hai aur Musafir aur Hamila ( pregnant) aur doodh peelaney wali aurat ko Rozey maaf farma diye hain  It was narrated from Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu that Prophet Peace be upon him be upon him said Allah has relieved the traveler of half of the prayer, and He has relieved the traveler, the pregnant, and the nursing mothers of the duty to fast. Sunan Ibn Majah, 1667 Note : Yaha Maafi se murad sirf usee waqt tak roze maaf hai jab tak wo us halat mein ho uske baad in rozo ki Qaza rakhna jaruri hai.

Jo Muslmano ke aibo ke peeche padega ALLAH usay uske ghar mein ruswa kar dega.

Jo Muslmano ke aibo ke peeche padega ALLAH usay uske ghar mein ruswa kar dega. RASULULLAH ﷺ ne farmaya Muslmano ki gibat na karo, unke aibo ke peeche na pado, isliye ke jo unke aib ke peeche padega ALLAH Subhanahu Uske aib ke peeche padega aur ALLAH Subhanahu Jiske aib ke peeche padega usay uske ghar mein zalil aur ruswa Kar dega The Prophetﷺ said: Do not back-bite Muslims, and do not search for their faults, for if anyone searches for their faults, Allah will search for his fault, and if Allah searches for the fault of anyone, He disgraces him in his house.  Abu Dawood 4880

Yeh duniya ki zindagi to ek khail aur tamasha hai .

Yeh duniya ki zindagi to ek khail aur tamasha hai . agar tum imaan rakho aur taqwa ki rawish par chalte raho to ALLAH tumhare ajar tum ko dega aur woh tumhare maal tum se na mangey ga .  [This] worldly life is only amusement and diversion. And if you believe and fear Allah , He will give you your rewards and not ask you for your properties.  Surah MUHAMMAD 36

Tum apne samne ya apni daaye taraf na Thuka karo

Tum apne samne ya apni daaye taraf na Thuka karo Mene Anas Bin Malik R. A se suna ke RASULULLAH  ﷺ ne farmaya, tum apne samne ya apnni daaye taraf na Thuka karo, albatta apne baaye taraf ya baaye  kadam ke niche thuka karo. Narrated Anas: The Prophet said,   None of you should spit in front or on his right but he could spit either on his left or under his foot.  Sahih bukhari 412

Jab tumhari aulad 7 saal ki hojaye to unhe namaz padhne ka hukm do,

Jab tumhari aulad 7 saal ki hojaye to unhe namaz padhne ka hukm do, RASULULLAH ﷺ  ne farmaya : jab tumhari aulad 7 saal ki hojaye to unhe namaz padhne ka hukm do, aur jab wo 10 sal ke ho jaye to unhe us pr ( Yaani Namaz na pdhne pr ) maaro, aur un ke sone ke bistar alag alag kardo.  Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-As: The Messenger of Allah ﷺ said: Command your children to pray when they become seven years old, and beat them for it (prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep) separately  Abu Dawood 495

Jhagdalu Rishtedaro se Sila Rehmi karne wale ki Fazilat

Jhagdalu Rishtedaro se Sila Rehmi karne wale ki Fazilat Abu Huraira R.A se riwayat hai ke, Ek Shakhs ne arz kiya “Ya RASULULLAH (ﷺ)! Mere baaz rishtedar hai, Mai unsey taalluq jodta hoon wo Mujh se taalluq todtey hai, Me unke Saath accha Salook karta hoon, wo mere Saath badsalooki karte hai. aur Mai unki ziyadtio ko bardasht karta hoon, Wo mere Saath jahalat se pesh aate hai.” RASULULLAH ﷺ ne irshad farmaya “Jaisa tum keh rahe ho agar aisa hi hai tou goya tum unke mooh me garam garam raakh jhonk rahe ho aur jab tak tum iss khoobi par qayam rahoge tumhare saath har waqt ALLAH TA’ALA ki taraf se ek madadgaar rahega.”. Sahih Muslim 6525

Yahood Nasara Ki Perwi Karna

Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ”tum –apne se pehli ummato ki ek-ek balisht aur ek-ek gaz mein itebaa karo ge, yahan taq ke agar woh kisi goah ke surakh mein daakhil hue hon ge to tum is mein bhi un ki itebaa karo ge. “ hum ney poocha : ya RASULULLAH ! kya yahood o nasari murad hain? farmaya phir aur kon . Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: The Prophet said, You will follow the ways of those nations who were before you, span by span and cubit by cubit (i.e., inch by inch) so much so that even if they entered a hole of a mastigure, you would follow them. We said, O Allah's Apostle! (Do you mean) the Jews and the Christians? He said, Whom else?  Sahih Bukhari 7320 #jews #christian 

Esi Aurto Ke Paas Naa Jaao

Esi Aurto Ke Paas Naa Jaao Jabir R.A se riwayat hai ke ALLAH ke  RASUL ﷺ ne farmaya: "Aisi Aurato ke paas naa jao jin ke Mahram(Shohar) unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." Jabir narrated that The Prophet said:  “Do not enter upon Al-Mughibar (the women whose husband are absent), for indeed the Shaitan flows through one of you as the blood flows.”  Tirmidhi 1172

GHABRAHAT OR BECHENI KI DUAA

GHABRAHAT OR BECHENI KI DUAA لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا   “Allahu Allahu Rabbi laa ushriku bihi shai’an.“ 3. Tarjuma › Allah, Allah mera Rab hai, main uske saath kisi cheez ko bhi shareek nahin karta.  Sunan Ibne Majah: 3882

ALLAH Ka Hukum Sirf Mujhse Mango

ALLAH Ka Hukum Sirf Mujhse Mango Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RASULULLAH ﷺ se suna ki ALLAH TA'ALA ne farmaya: “Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par, Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu , tou mujhse Raah mango main tumhey raah batlaunga, Aye mere bando! tum sab Bhukey (hungry) ho magar jisey main khilauu to mujhse khana mango tumko khilaunga, Aye mere bando! tum sab Nangey ho magar jisey main Pahnauu, to kapda mango mujhse main pahnaunga tumko. Aye Mere bando! tum raat din Gunaah kartey ho aur main sab Gunaahon ko bakhshta hun to bakhshish chaho mujhse main bakhshunga tumko, Aye mere bando! tum mera nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho. Agar tumharey agley aur pichley aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri saltanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hog...

Ghabrahat aur Bechaini aur Pareshani ki Dua

Ghabrahat aur Bechaini aur Pareshani ki Dua لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الْأَرْضِ ، وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ    La ilaha illallahu- Rabbus-samawati, wa Rabbul-ardi, wa Rabbul-‘Arshil- Karim   ALLAH ke elaawah koi saccha mabood nahin azmat waala , ALLAH ke elaawah koi mabood barhaq nahin. Aasmano ka Rab hai aur Zameen ka Rab hai, Arsh-e-Kareem ka Rab hai. Sahih Bukhari 6346

Dam Karne Mein Koi Harj Nahi Jab Tak Is Mein Shirk Nah Ho .

Dam Mein Koi Harj Nahi Jab Tak Is Mein Shirk Nah Ho . Hazrat auf bin malik R.A se riwayat hai, kaha : Hum zamana jahliat mein dam kiya karte the hum ne arz ki : ALLAH ke RASUL ﷺ is ke bare mein aap ka kya khayal hai? aap ﷺ ne farmaya : –Apne dam ke kalimaat mere samne paish karo dam mein koi harj nahi jab tak is mein shirk nah ho .!  Auf bin Malik Ashja'i reported We practised incantation in the pre-Islamic days and we said: ALLAH'S Messenger. what is your opinion about it? He said: Let me know your incantation and said: There is no harm in the incantation which does not smack of polytheism.  Sahih Muslim 5731

Aurat Ke Teen parde hai

Aur aye Nabi ( ﷺ ), momin aurton se keh do ke apni nazre bacha kar rakhe , aur apni sharamgaho ki hifazat kare, aur  apna banaao singar na dikhaye  bajuz us ke jo khud zahir ho jaye, aur –apne sino par apni audhni ke aanchal dale rahe.  woh apna banaao singar na zahir kare magar un logo ke samne : shohar, baap, shohro ke baap , –apne bete, shohron ke bete, bhai , bhaiyo ke bete , behnoon ke bete , –apne mel jol ki aurte , –apne mamlook , woh zair dast mard jo kisi aur qisam ki gharz nah rakhte ho, aur woh bache jo aurton ki posheeda baton se abhi waaqif nah hue ho  woh –apne pao zameen par martii hui na chala kare ke apni jo zeenat unhon ne chhupa rakhi ho is ka logon ko ilm ho jaye.  ae momino, tum sab mil kar ALLAH se tauba karo . tawaqqo hai ke Falah pao ge.   And tell the believing women to reduce [some] of their vision and guard their private parts and not expose their adornment except that which [necessarily] appears thereof and to wrap [...