Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Agar Biwi Talaq Lena Chahe to wo kya kare


 Khulaah

Agar sirf biwi talaq chahe to use shohar se talaq mangna hogi, agar shohar nek insan hogaa to zahir hai vo biwi ko samjhane ki koshish karega aur fir use ek talaq de degaa, lekin agar shohar mangne ke bawajud bhi talaq nahi deta to biwi ke lye islam me yeh aasani rakhi gayi hai ki vo shahar Qazi  ke paas jaye aur usse shohar se talaq dilavane ke lye kahe, islam ne Qazi ko yeh haq de rakha hai ki vo unka rishta khatm karne ka ailan kar de, jisse unke talaq ho jayi, kanun me ise ”khulaa” kaha jata hai.Yahi talaq ka sahi tarika hai lekin afsos ki baat hai ki hmaree yaha is tarike ki khilaaf varji bhi hoti hai aur kuch log binaa soche samajhe islam ke khilaf tarike se talaq dete hain jisse khud bhi pareshank uthate hain aur islam ki bhi badnami hotee hai.– (musharraf ahamad)




Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare