Har namaz ke waqt ek munadi bheja jata hai aur wo kahta hai eh bani Adam utho apne liye jo aag jalayee hai use bujha do
Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki RASULULLAH ﷺ ne farmaya har namaz ke waqt ek munadi bheja jata hai aur wo kahta hai eh bani Adam utho apne liye jo aag jalayi hai usay bujha do, log khade hote hain aur Wuzu Karte hain to unki ankho se unki khatayein gir jati hain aur Namaz padhte hai to unke do namazo ke darmiyan ke gunah baksh diye jaate hain, phir jab zohar ka waqt hota hai to phir se munadi aawaz deta hai Eh bani Adam utho tumne apne liye jo aag jalayi hai usko bujha do, wo khade hote hain ,wuzu karte hain aur namaz padhte hai to phir se darmiyani waqt ke gunah maaf ho jaate hain, phir jab Asar ka waqt aata hai to usee tarah hota hai aur jab Magrib ka waqt hota hai to usee tarah hota hai, Jab Isha ka waqt hota hai to usi tarah hota hai, phir wo so jaate hain aur unke gunaah baksh diye gaye hote hain, phir Aap ﷺ ne farmaya is tarah koi khair (bhalayee) mein dub jata hai koi Shar (burayee) mein dub jata hai
Al-Silsila As-Sahiha, 785
Comments
Post a Comment