Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jhagdalu Rishtedaro se Sila Rehmi karne wale ki Fazilat

Jhagdalu Rishtedaro se Sila Rehmi karne wale ki Fazilat


Abu Huraira R.A se riwayat hai ke, Ek Shakhs ne arz kiya “Ya RASULULLAH (ﷺ)! Mere baaz rishtedar hai, Mai unsey taalluq jodta hoon wo Mujh se taalluq todtey hai, Me unke Saath accha Salook karta hoon, wo mere Saath badsalooki karte hai. aur Mai unki ziyadtio ko bardasht karta hoon, Wo mere Saath jahalat se pesh aate hai.”

RASULULLAH ﷺ ne irshad farmaya “Jaisa tum keh rahe ho agar aisa hi hai tou goya tum unke mooh me garam garam raakh jhonk rahe ho aur jab tak tum iss khoobi par qayam rahoge tumhare saath har waqt ALLAH TA’ALA ki taraf se ek madadgaar rahega.”.

Sahih Muslim 6525

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare