Posts

Showing posts from November, 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jisne Fazr ki Namaz padhi

  Jisne Fazr ki Namaz padhi RASULULLAH ﷺ ne farmaya: Jisne Fazr Ki Namaz Padhi wo ALLAH ki Amaan ( Panaah ) me hai. The Prophet (ﷺ) said: “Whoever offers the morning prayer, he is under the protection of ALLAH, the Mighty and Sublime.”  Ibne MAJA 3946 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ki lanat

  RASULULLAH ﷺ ki lanat RASULULLAH ﷺ ne Sood Lene Wale Sood dene wale or uske dono gawaho or uske likhne wale par lanat bheji  The Messenger of Allah (ﷺ) cursed the one who consumed Riba, and the one who charged it, those who witnessed it, and the one who recorded it. Tirmazi 1206 , Sahih

Padosiyo ke sath accha sulook karna.

  Padosiyo ke sath accha sulook karna . RASULULLAH ﷺ ne farmaya : mujhe Jibrail Alaihi Salam barabar paros ke sath naik sulooq karne ki wasiyat karte rahe, yaha tak ke mujhe yeh khayaal hone laga ke woh parosi ko waris bana denge. The Messenger of Allah(ﷺ) said: Jibrail kept enjoining good treatment of neighbours untol I thought that he would make neigbours heirs.  Ibne Maja 3673 , Sahih

Aaj ke Musalman ka haal or RASULULLAH ﷺ kaa farman.

  Aaj ke Musalman ka haal or RASULULLAH ﷺ kaa farman. Hazrat Abu Huraira Razi Allah Anho se manqool hai ke RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Asal musalman woh hai jis ki zabaan aur haath se dusre musalman mehfooz ho. aur asal momin woh hai jis se logo ko apni jaan o maal ke bare mein koi khatrah na ho.' ' It was narrated from Abu Hurairah that: The Messenger of Allah [SAW] said: The Muslim is the one from whose tongue and hand the people are safe, and the believer is the one from whom the people's lives and wealth are safe.  Sunan Nasai 4998 , Sahih

Jin logo ne ALLAH ki kitaab me ikhtilafat nikale

  Jin logo ne ALLAH ki kitaab me ikhtilafat nikale Yeh sab kuch is wajah se huwa ke ALLAH ne to thik thik haq ke mutabiq kitab nazil ki thi magar jin logo ne kitaab mein ikhtilafat nikale woh –apne jhadho mein haq se bohat dur nikal gaye. That is [deserved by them] because Allah has sent down the Book in truth. And indeed, those who differ over the Book are in extreme dissension. Surah Baqara 176

Jin Logo Ne Deen Ke Tukdhe Kare

  Jin Logo Ne Deen Ke Tukdhe Kare Jin logo ne apne deen ko tukdhe tukdhe kar diya aur giroh-giroh ban gaye yaqinan un se tumhara kuch vastaa nahi, un ka maamla to ALLAH ke supurd hai, wohi un ko btayega ke unhone kya kuch kiya hai . Indeed, those who have divided their religion and become sects - you, [O Muhammad], are not [associated] with them in anything. Their affair is only [left] to Allah ; then He will inform them about what they used to do.  Surah Anaam 159

Tumhara Ek Hi Khuda Hai

  Tumhara Ek Hi Khuda Hai Tumhara khuda ek hi khuda hai us rehman aur Rahim ke siwa koi aur khuda nahi . And your god is one God. There is no deity [worthy of worship] except Him, the Entirely Merciful, the Especially Merciful.  Surah Baqara 163

Jo Is Duniya Se Chale Gaye Kya Usse Duaa Ka Keh Sakte

  Jo Is Duniya Se Chale Gaye Kya Usse Duaa Ka Keh Sakte Umar ban khattab R.A qeht ke zamane mein Abbas bin Abdul Muttlib Razi Allah Anho ko agay bada kar barish ki dua karate aur kehte ke aye ALLAH pehle hum apne Nabi Kareem ﷺ se barish ki dua karate the tu hame serabi ataa karta tha aur ab hum apne nabi ke chacha ke zariye barish ki dua karte hain. is liye hame serabi ataa farma. Ravi ne bayan kiya ke is ke baad khoob barish hui . Narrated Anas: Whenever there was drought, `Umar bin Al-Khattab used to ask Allah for rain through Al-`Abbas bin `Abdul Muttalib, saying, O Allah! We used to request our Prophet to ask You for rain, and You would give us. Now we request the uncle of our Prophet to ask You for rain, so give us rain. And they would be given rain.  Sahih Bukhari 3710, Sahih

RASULULLAH ﷺ ne kis aurat ko 3 din se zyada sog mnane ki ijazat di

 RASULULLAH ﷺ ne kis aurat ko 3 din se zyada sog mnane ki ijazat di Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ek musalman aurat jo ALLAH aur akhirat ke din par imaan rakhti ho. Us ke liye jaaiz nahi ke woh kisi ( ki wafaat ) ka sog teen din se ziyada manaye siwa shohar ke , ke is ke liye chaar mahine das din hain . Narrated Um Habiba: The Prophet said, It is not lawful for a Muslim woman who believes in Allah and the Last Day to mourn for more than three days, except for her husband, for whom she should mourn for four months and ten days.  Sahih Bukhari 5339 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Par Akhri Aayat

  RASULULLAH ﷺ Par Akhri Aayat Aakhri aayat jo nabi kareem ﷺ par nazil hui woh sood ki aayat thi . Narrated Ibn `Abbas: The last Verse (in the Qur'an) revealed to the Prophet was the Verse dealing with usury (i.e. Riba). Sahih Bukhari 4544 , Sahih

Hazrat Umar R.A Ka ILM

  Hazrat Umar R.A Ka ILM RASULULLAH ﷺ ne farmaya mein soya huwa tha ke mein ne ek piyala dekha jo mere paas laya gaya. is mein doodh tha. mein ne is mein se piya yahan tak ke mujhe mehsoos huwa ke sirabi mere nakhuno se nikal rahi hai. phir apna bacha huwa doodh mein ne Umar Razi Allah Taala Anho ko dediya. ( hazreen ne ) kaha : ALLAH ke RASUL ﷺ! aap ne is ki kya tabeer farma yi? aap ne farma ya : ILM . ALLAH'S Messenger ( ﷺ ) said: While I was asleep I saw (in a dream) a cup containing milk being presented to me. I took out of that until I perceived freshness being reflected through my nails. Then I presented the leftover to 'Umar bin Khattab. They said: ALLAH'S Messenger: How do you interpret it? He said: This implies KNOWLEDGE.  Sahih Muslim 6190 , Sahih #sahaba #hazratumar #umarbinkhattab

Hazrat Umar R.A ka Deen

  Hazrat Umar R.A ka Deen RASULULLAH ﷺ ne farmaya : mein soya huwa tha : mein ne dekha ke log mere samne laye ja rahe hain. unhon ne kamiz pahani hoyi hain, kisi ki kamiz chhati tak pahunchti hai kisi ki is se niche tak pahunchti hai aur Umar bin khitaab Razi Allah Taala Anho guzre to un par jo kamiz hai woh usay ghaseet rahe hain. logo ne arz ki : ALLAH ke RASUL! aap ne is ki kya tabeer farma yi hai? aap ﷺ ne farmaya : DEEN. ALLAH'S Messenger ( ‌ﷺ ‌ ) as saying: While I was asleep I saw people being presented to me (in a dream) and they wore shirts and some of these reached up to the chest and some even beyond them. Then there happened to pass 'Umar bin. Khattab and his shirt had been trailing. They said: ALLAH'S Messenger, how do you interpret the dream? He said: (As strength of) Faith.  Sahih Muslim 6189 , Sahih #sahaba #hazratumar #umarbinkhattab

Agar Tum Badhe Gunaho Se Bachte Rahe To

Agar Tum Badhe Gunaho Se Bachte Rahe To Agar tum un badhe badhe gunaaho se parhaiz karte raho jin se tumhe mana kiya ja raha hai to tumhari choti moti buraiyo ko hum tumhare hisaab mese hata denge aur tum ko izzat ki jagah dakhil karenge. If you avoid the major sins which you are forbidden, We will remove from you your lesser sins and admit you to a noble entrance [into Paradise].  Surah Nissa 31

Ek Fahisha Jisne Kutte Ko Pani Pilaya tha

 Ek Fahisha Jisne Kutte Ko Pani Pilaya tha Ek fahisha aurat ne ek sakht garam din mein ek kutta dekha jo aik kunvey ke gird chakkar laga raha tha. pyaas ki wajah se is ne zabaan bahar nika li huyi thi us aurat ne is ki khatir apna moza utara ( aur is ke zariye pani nikal kar us kuttay ko pilaya ) to is ko bakhash diya gaya . A prostitute saw a dog moving around a well on a hot day and hanging out its tongue because of thirst. She drew water for it in her shoe and she was pardoned (for this act of hers).  Sahih Muslim 5860

Konsa amal sab se afzal hai?

 Konsa amal sab se afzal hai? Ek shakhs ne nabi kareem ﷺ se pucha : kon sa amal sab se afzal hai? aap ﷺ ne farmaya ke – 1. Apne waqt par namaz padhna  2. Walidain ke sath naik maamla karna, phir 3. ALLAH ke raste mein jihaad karna . A man asked the Prophet What deeds are the best? The Prophet said:  (1) To perform the (daily compulsory) prayers at their (early) stated fixed times, (2) To be good and dutiful to one's own parents. (3) and to participate in Jihad in ALLAH'S Cause.  BUKHARI 7534 , SAHIH

Jab Koi Dua Kare To Ye Na Kahe

 Jab Koi Dua Kare To Ye Na Kahe RASULULLAH ﷺ ne farmaya ”jb tum dua karo to azm ke sath karo aur koi dua mein yeh nah kahe ke agar to chahr to falah cheez mujhe ataa kar, kyunke ALLAH se koi zabardasti karne wala nahi. “ Narrated Anas: ALLAH'S Apostle said, Whenever anyone of you invoke ALLAH for something, he should be firm in his asking, and he should not say: 'If You wish, give me...' for none can compel ALLAH to do something against His Will BUKHARI 7464 , SAHIH

Nabi kareem ﷺ ko jab koi kaam sakht takleef o pareshani mein daal deta to aap yeh dua padhte

  Nabi kareem ﷺ ko jab koi kaam sakht takleef o pareshani mein daal deta to aap yeh dua padhte Nabi kareem ﷺ ko jab koi kaam sakht takleef o pareshani mein daal deta to aap yeh dua padhte :  (حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ )  Yaa_Hayyu Yaa_Qayyum Birehmatika Astagis ”ae zindah aur hamesha rehne walae! teri rehmat ke waselay se teri madad chahta hon“ . Anas bin Malik said: Whenever a matter would distress him, the Prophet (ﷺ) would say: ‘O Living, O Self-Sustaining Sustainer! In Your Mercy do I seek relief (Yā Ḥayyu yā Qayyūm, bi-raḥmatika astaghīth).’”  Tirmazi 3524, Sahih

Shohar Biwi Se Bugz Na Rakhe

  Shohar Biwi Se Bugz Na Rakhe RASULULLAH ﷺ ne farmaya : koi Momin (Shohar) kisi Momin ( Biwi ) se bugz na rakhe , Agar uski koi aadat use Na-Pasand he to koi dusri aadat Pasand bhi hogi. The Messenger of Allah (ﷺ) said : No believer (husband) should hate a believer (wife). If he dislikes one of his habits, then he also likes another. MISHKAT 3240 ,SAHIH

Nifl Namaz Ghar Me Padhne Ki Fazilat

 Nifl Namaz Ghar Me Padhne Ki Fazilat Hazrat Jabir R.A se riwayat hai unhone kaha : RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jab tum mein se koi apni masjid mein namaz ( ba_jmaat ) ada kar le to apni namaz mein se –apne ghar ke liye bhi kuch hissa rakhe kyuke ALLAH us ke ghar mein us ke namaz padhne ki wajah se kher or bhalai rakhega . Jabir reported ALLAH'S Messenger ‌ﷺ ‌ as saying: When any one of you observes prayer in the mosque he should reserve a part of his prayer for his house, for Allah would make the prayer as a means of betterment in his house.  Sahih Muslim 1822

ALLAH ke siwa Aasman or Zameen me koi gaib ka ilm nahi janta

ALLAH ke siwa Aasman or Zameen me koi gaib ka ilm nahi janta   Un se kaho, ALLAH ke siwa asmano aur zameen mein koi ghaib ka ilm nahi rakhta. Aur woh nahi jante ke kab woh uthaye jayege.  Say, "None in the heavens and earth knows the unseen except Allah , and they do not perceive when they will be resurrected."  Surah Namal 65

ALLAH tumhari madad par ho to koi taaqat tum par galib aane wali nahi

  ALLAH tumhari madad par ho to koi taaqat tum par galib aane wali nahi اِنْ يَّنْصُرْكُمُ اللّٰهُ فَلَا غَالِبَ لَكُمْ ۚ وَاِنْ يَّخْذُلْكُمْ فَمَنْ ذَا الَّذِيْ يَنْصُرُكُمْ مِّنْۢ بَعْدِھٖ  ۭوَعَلَي اللّٰهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُوْنَ  اگر اللہ تعالٰی تمہاری مدد کرے تو تم پر کوئی غالب نہیں آسکتا اگر وہ تمہیں چھوڑ دے تو اس کے بعد کون ہے جو تمہاری مدد کرے ایمان والوں کو اللہ تعالٰی ہی پر بھروسہ رکھنا چاہئے ۔   ALLAH tumhari madad par ho to koi taaqat tum par galib aane wali nahi, aur woh tumhe chodh de, to us ke baad kon hai jo tumhari madad kar sakta ho? pas jo sache momin hain un ko ALLAH hi par bharosa rakhna chahiye. If ALLAH should aid you, no one can overcome you; but if He should forsake you, who is there that can aid you after Him? And upon ALLAH let the believers rely.  Surah Imran  160

Biddat Qabile Rad Hai

  Biddat Qabile Rad Hai RASULULLAH ﷺ ne framaya : Jis Shaks ne humare is Deen me koi esi nayi chiz ijad ki jo isme nahi hai. To wo qabile Radd hai.  The Messenger of Allah (ﷺ) said:  Whoever innovates something in this matter of ours (i.e. Islam) that is not part of it, will have it rejected.  Ibne Maja 14 ,Sahih

RASULULLAH ki nafarmani ALLAH ki nafarmani

RASULULLAH ki nafarmani ALLAH ki nafarmani RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jisne Meri ittat ki usne ALLAH ki ittat ki jisne meri nafarmani ki usne ALLAH ki nafarmani ki. The Prophet said: Whoever obeys me, obeys ALLAH; and whoever disobeys me, disobeys ALLAH.  Ibne MAJA 3 , Sahih

Sunnat Ki Ahmiyat

  Sunnat Ki Ahmiyat RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Mein tumhe jis cheez ka hukum du usse mano, aur jis cheez se rok du us se ruk jao . Abu Hurairah narrated that: The Prophet said: Whatever I have commanded you do it, and whatever I have forbidden you, refrain from it.  Ibne Maja 1 ,Sahih

Jo Cheez Mein Ne Tumhe Na Batayi Ho Use Yuhi Rehne Do

  Jo Cheez Mein Ne Tumhe Na Batayi Ho Use Yuhi Rehne Do RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jo cheez mein ne tumhe na batayi ho use yuhi rehne do , is liye ke tum se pehle ki ummat ziyada sawal aur –apne ambiya se ikhtilaaf ki wajah se halaak hui, lehaza jab mein tumhe kisi chiz ka hukm du to taqat bhar us par amal karo, aur jab kisi cheez se mana kar du to us se ruk jao . The Prophet said:  Leave me as I have left you (Don't ask me the minor things that I have avoided to tell you). For those who came before you were doomed because of their questions and differences with their Prophets. If I commanded you to do something, then do as much of it as you can, and if I forbid you from doing something, then refrain from it. Ibne Maja 2 ,Sahih

Hume ALLAH se dua mangne ke liye kisi ke wasile ki zarurt nahi

Hume ALLAH Se Dua Mangne Ke Liye Kisi Ke Wasile Ki Zarurt Nahi Mein ne 1 shakhs ko dekha ke log us ki raye ko qubool karte hain jab bhi woh koi baat kehta hai log isi ko tasleem karte hain, mein ne poocha : yeh kon hain? logon ne bataya ke yeh RASULULLAH ﷺ hain, mein ne do martaba kaha : « alaykum salam ya rasool allah » aap par salam ho ALLAH ke rasool aap ﷺ   ne farmaya : « alaykum salam » nah kaho, yeh murdo ka salam hai is ke bajaye « salam alaykum » kaho. mein is ALLAH ka bheja Rasul hu, jis ko tumhe koi zarrar lahaq ho to pukaro woh tumse us zarrar ko dur farma dega, jab tum par koi qeht saali aaye aur tum usse pukaro to woh tumahre liye galla uga dega, aur jab tum kisi chatil zameen mein ho ya maidan phir tumhari uthni gum ho jaye to agar tum is ALLAH se dua karo to woh usay le aaye ga. I saw a man whose opinion was accepted by the people, and whatever he said they submitted to it. I asked: Who is he? They said: This is the Messenger of ALLAH ﷺ ‌. I said: On you be peac...

Nikah Me Ladka Aur Ladki Dono Ki Razamanddi Zaruri Hoti Hai.

  Nikah Me Ladka Aur Ladki Dono Ki Razamanddi Zaruri Hoti Hai. Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai : ” Aurat ka nikah is ki ijazat ke bagair nahi kiya jayega “ kisi bhi aurat ko aise shakhs se shadi krne par majaboor krna jaiz nahi jis se woh shadi nahi krna chahti ho." Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai : ” Talaq Yafta ya bewah aurat wali se ziyada apne aap ki haqdaar hai, aur kanwari se is ki ijazat ke bare mein ijazat talab ki jayegi aur is ki ijazat is ki khamoshi hai “  Sahih Muslim 1421  Khansa Bint khazam ul ansariya (r.a) bayan krti hain ke : ” Un ke waalid ne un ki shadi krdi aur woh Saib ( Talaq Yafta ya bewi) thi, to is ne use napasand kiya aur Nabi kareem ﷺ ke paas aayi to Nabi Kareem ﷺ ne is ke nikah ko radd kar diya “ Ibne Maja 1873 #nikaah#aurat#mard#dauhter #marriage #forcedmarriage

Jo Nikaah ki Taqat Rakhta Hai Wo Nikaah Kare

Jo Nikaah ki Taqat Rakhta Hai Wo Nikaah Kare RASULULLAH ﷺ ne hum se farmaya :' ' Aye nojawan logo! tum mein se jo shakhs nikah ki taqat rake' woh shadi are kyoki yeh nazar ko ziyada jhuka dene wala aur sharam gaah ko ziyada mehfooz kar dene wala hai. aur jo shakhs taqat nah rakhe to woh roze rakha kare. bilashuba roza is ki shehwat ko kuchal dega.' ' The Messenger of ALLAH said to us: 'O young men, whoever among you can afford it, let him get married, for it is more effective in lowering the gaze and guarding chastity, and whoever cannot then he should fast, for it will be a restraint (wija') for him.'  Nisai 3211 , Sahih

Aurat Ka Mahar Dena Zaruri Hai

  Aurat Ka Mahar Dena Zaruri Hai  RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jo shart puri karna sab se ziyada zaroori hai' woh hai jis ke sath tum aurton ko apne liye halal karte ho.(Mahar) ' The Messenger of ALLAH said: The conditions that are most deserving of fulfillment, are those by means of which the private parts become allowed to you. (Mahar)   Nisai 3283 , Sahih

Iddat Aurat Ke Ahwal Or Kefiyat Ko Dekhte Huee Rakhi Jati Hai.

  Iddat Aurat Ke Ahwal Or Kefiyat Ko Dekhte Huee Rakhi Jati Hai. Agar kisi Aurat ke shohar ka inteqal hojata hai or unhe haiz aati heto unki iddat 4 mahine 10 din Agar kisi ki aurat talaq hojati he or unhe haiz aati heto unki iddat 3 haiz tak rahegi. Agar koi aurat hamal se hai to unki iddat hamal k sath puri hojayegi. Bacha 1 din bad peda ho ya 9 mahine bad peda ho. Esi Aurat jine haiz nahi ati hai unki iddat 3 mahine rahegi. #iddat #haiz #talaq #divorce

Jo apne bhai ki izzat uski ger mojudagi me bachaye

  Jo Apne Bhai Ki Izzat Uski Ger Mojudagi Me Bachaye Nabi akram ﷺ ne farmaya : ”Jo shakhs apne bhai ki izzat ( us ki gair mojudgi mein ) bachaye ALLAH TA'ALA Qayamat ke din us ke chehre ko jahannum se bachayega“ The Messenger of ALLAH said: Whoever protects his brother's honor, ALLAH protects his face from the Fire on the Day of Resurrection.  Tirmazi 1931, Sahih

Apne Badho ki izzat Or choto par reham karna

  Apne Badho ki izzat Or choto par reham karna Ek budha aaya, woh nabi akram ﷺ  se milna chahta tha, logo ne use rasta dene mein der ki to nabi akram ﷺ ne farmaya : ”woh shakhs hum mein se nahi hai, jo hamare choto par meharbani nah kare aur hamare badaho ki izzat nah kare “ . An older man came to talk to the Prophet, and the people were hesitant to make room for him. The Prophet said: ;He is not one of us who does not have mercy on our young and does not respect our elders.  Tirmazi 1919 , Sahih

Jis Shaks ki teen behne ya tern betiya h

  Jis Shaks ki teen behne ya teen betiya ho RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Tum mein se kisi ke paas teen larkiyan ya teen behne hon aur woh un ke sath acha sulooq kare to jannat mein zaroor daakhil ho ga“ . The Messenger of ALLAH said: There is no one who has three daughters, or three sisters, and he treats them well, except that he enters paradise.  Tirmazi 1912 , Sahih #beti #ladhki#daughter #sister