Hume ALLAH se dua mangne ke liye kisi ke wasile ki zarurt nahi
- Get link
- X
- Other Apps
Hume ALLAH Se Dua Mangne Ke Liye Kisi Ke Wasile Ki Zarurt Nahi
Mein ne 1 shakhs ko dekha ke log us ki raye ko qubool karte hain jab bhi woh koi baat kehta hai log isi ko tasleem karte hain, mein ne poocha : yeh kon hain? logon ne bataya ke yeh RASULULLAH ﷺ hain, mein ne do martaba kaha : « alaykum salam ya rasool allah » aap par salam ho ALLAH ke rasool aap ﷺ ne farmaya : « alaykum salam » nah kaho, yeh murdo ka salam hai is ke bajaye « salam alaykum » kaho. mein is ALLAH ka bheja Rasul hu, jis ko tumhe koi zarrar lahaq ho to pukaro woh tumse us zarrar ko dur farma dega, jab tum par koi qeht saali aaye aur tum usse pukaro to woh tumahre liye galla uga dega, aur jab tum kisi chatil zameen mein ho ya maidan phir tumhari uthni gum ho jaye to agar tum is ALLAH se dua karo to woh usay le aaye ga.
I saw a man whose opinion was accepted by the people, and whatever he said they submitted to it. I asked: Who is he? They said: This is the Messenger of ALLAH ﷺ . I said: On you be peace, Messenger of ALLAH, twice. He said: Do not say On you be peace, for On you be peace is a greeting for the dead, but say Peace be upon you . I asked: You are the Messenger of ALLAH (may peace be upon you)? He said: I am the Messenger of ALLAH Whom you call when a calamity befalls you and He removes it; when you suffer from drought and you call Him, He grows food for you; and when you are in a desolate land or in a desert and your she-camel strays and you call Him, He returns it to you.
Abu Dawood 4084
#tawheed #wasila #duaa #allah
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment