Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Nikah Me Ladka Aur Ladki Dono Ki Razamanddi Zaruri Hoti Hai.

 Nikah Me Ladka Aur Ladki Dono Ki Razamanddi Zaruri Hoti Hai.

Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai : ” Aurat ka nikah is ki ijazat ke bagair nahi kiya jayega “ kisi bhi aurat ko aise shakhs se shadi krne par majaboor krna jaiz nahi jis se woh shadi nahi krna chahti ho."


Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai :
” Talaq Yafta ya bewah aurat wali se ziyada apne aap ki haqdaar hai, aur kanwari se is ki ijazat ke bare mein ijazat talab ki jayegi aur is ki ijazat is ki khamoshi hai “ 
Sahih Muslim 1421 

Khansa Bint khazam ul ansariya (r.a) bayan krti hain ke : ” Un ke waalid ne un ki shadi krdi aur woh Saib ( Talaq Yafta ya bewi) thi, to is ne use napasand kiya aur Nabi kareem ﷺ ke paas aayi to Nabi Kareem ﷺ ne is ke nikah ko radd kar diya “
Ibne Maja 1873

#nikaah#aurat#mard#dauhter#marriage #forcedmarriage

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab