Posts

Showing posts from July, 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Quran jo Arabi Zaban me Hai

Esa Quran jo Arabi Zaban me Hai , Jisme koi tedh nahi hai , Taake ye bure Anzaam se bache. [It is] an Arabic Qur'an, without any deviance that they might become righteous.  Tafseer Maulana Moudoodi  -: Yaani ye kisi ger zaban me nahi aaya hai k makka aur arab k log ise smjhne k lye kisi sareh ke mohtaj ho , balke ye unki apni zaban me hai jise ye Brah raaste khud smjh sakte hai. Surah Zumur 28

Chand Ki 17 , 19, 21 tarikh ko pachne (Hijama ) lagwaye

Chand Ki 17 , 19, 21 tarikh ko pachne (Hijama ) lagwaye RASULULLAH  ﷺ ne farmaya  jo shaks  Chand Ki 17 , 19, 21 tarikh ko pachne (Hijama ) lagwaye woh har bimari se mehfuz rahega. #pachna #hijama #hijamatherapy

Jiski Do Biwiya Ho.

Jis ki Do Biwiya ho aur woh Unn me se Ek ki taraf hi Mayeel(Atract) ho tou woh Qayamat ke Din is Haal me Aayega ke uska Ek Pehlu Jhuka hoga"  When a man has two wives and he is inclined to one of them, he will come on the Day of resurrection with a side hanging down.  Abu Dawud 2133  Albatta woh umoor jinn me adal mumkin na ho jaise Mohabbat aur Dil ki Khushi   to un par khawind par khuch  gunah nhi.

Kalonji Ka Istemal Karna

Nabi akram ﷺ ne farmaya : ”tum log is kale dana ( kalonji ) ko laazmi istemaal karo is liye ke is mein « Saam » ke alawa har bimari ki Shifa mojood hai, « Saam » mout ko kehte hai“ . Abu Hurairah narrated that the Messenger of Allah (s.a.w) said:   Use this black seed. For indeed it contains a cure for every disease except As-Sam   And As-Sam is death.       Tirmidhi 2041

Haram Chizo Ko Bator Dawa Istemal Karna

Haram Chizo Ko Bator Dawa Istemal Karna Abu Huraira R.A bayan karte hai RASULULLAH ﷺ ne haram chizo ko bator dawa istemal karne se bhi mana farmaya hai. Mishkat #4539  

Mareez ki Ayadat or shifa ke liye dua

Mareez ki Ayadat or shifa ke liye dua  RASULULLAH ﷺ jab bimar hote to Jibril Alaihi Salam aapko (in alfaz se) dam karte . When ALLAH'S Messenger ﷺ fell ill, Gabriel used to recite this: بِاسْمِ اللَّهِ يُبْرِيكَ وَمِنْ كُلِّ دَاءٍ يَشْفِيكَ وَمِنْ شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ وَشَرِّ كُلِّ ذِي عَيْنٍ Bismillahi Yubrika, Wa min Kulli Daa-in Yashfiika, Wa min Sharri Hasidin iza hasad, Wa min Sharri kulli Zee Aynin ALLAH ke naam ke saath jo aapko har beemari se shifa de, har hasad karne wale ki burayee se jab wo hasad kare, aur har nazar lagane wale ki burayee se . Ps  :  Arabi me wamin kulla likha aa rha he , lekin asal me wo wamin kulli hai. To aap Roman me jo arabi likhi he wo dua pdhe. Sahih Muslim 5699

Aur aye Nabi ( ﷺ ), momin aurton se keh do ke apni nazre bacha kar rakhe

Aur aye Nabi ( ﷺ ), momin aurton se keh do ke apni nazre bacha kar rakhe , aur apni sharamgaho ki hifazat kare, aur  apna banaao singar na dikhaye  bajuz us ke jo khud zahir ho jaye, aur –apne sino par apni audhni ke aanchal dale rahe.  woh apna banaao singar na zahir kare magar un logo ke samne : shohar, baap, shohro ke baap , –apne bete, shohron ke bete, bhai , bhaiyo ke bete , behnoon ke bete , –apne mel jol ki aurte , –apne mamlook , woh zair dast mard jo kisi aur qisam ki gharz nah rakhte ho, aur woh bache jo aurton ki posheeda baton se abhi waaqif nah hue ho  woh –apne pao zameen par martii hui na chala kare ke apni jo zeenat unhon ne chhupa rakhi ho is ka logon ko ilm ho jaye.  ae momino, tum sab mil kar ALLAH se tauba karo . tawaqqo hai ke Falah pao ge.  And tell the believing women to reduce [some] of their vision and guard their private parts and not expose their adornment except that which [necessarily] appears thereof and to wrap [a port...

Buri Nazar aur Zahreele Jaanwar se bachne ki dua

Buri Nazar aur Zahreele Jaanwar se bachne ki dua Ibn Abbas R.A se rivayat hai ki Nabi Kareem ﷺ Hussain wa Hasan R.A ke liye panaah talab kiya karte the aur farmate the ki tumharey buzurg Dada (IBRAHIM Alaihi salam) bhi Ismail aur Isac (A.S) ke liye inhi kalamat ke jariye ALLAH ki panaah maanga karte the.  أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ  Aawuzu bikalimatillahit_tammti Min kulli shaytaanin wa hama_maatin Wamin kulli aynin Laam_matin (Main Panaah maangta hun ALLAH ki pure pure kalimat ke jariye, har Shaitan se aur har zahrile janwar se aur har nuksan pahuchane wali nazar-e-bad se.)  The Prophet used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan and Al-Husain and say: Your forefather (i.e. Abraham) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac by reciting the following: 'O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, ha...

Apne Rishtedaro ki Madat karo

RASULULLAH (ﷺ) ne farmaya :  “Koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur Allah Subhanahu ne usey jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurat se zyada ho) ka sawal karta hai aur   wo bukhal (burey Akhlakh / Kanjusi) se pesh aata hai  tou Qayamat ke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shuja kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan me tauk bana kar dal diya jaega.” Al-Silsila-As-Sahiha # 168 Note:  Apne Rishtedaro ki Madat karo woh bechare sharam aur izzat ke darr se Aap se madat talab nahi karte lekin hamara farz hai hum apne Rishtedaro ki Madat kare.

Aasani Paida Karo,

Hazrate Anas  R.A Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Farmaya –  “Aasani Paida Karo, Tangi Na Paida Karo, Logo  Ko Tasalli Aur Tashaffi Do, Nafrat Na Dilao..” Sahih Bukhari 6125 *Wajahat: is AaHadeese mubarak me Hum me se unn tamam hazrat ke liye Nasihat hai Jo  Deen me Naye naye Aqaid ijad kar is Deen ko aur bhi jyada mushkil taur se logo me pesh kar rahe hai ,.  Islah ke bajaye log Baddzhn hokar hakiki Deen se Door ho rahe ,. *ALLAH reham kare jabki ye Deen hakikat me hume aasani ikhtiyar karne ka hukm deta hai ,.. ALHMDULILLAH! , *Tawheed, Risalat aur Aakhirat par imaan lana, – Kitabo Sunanat par amal , aur Gair muslimo ko iski dawat dena, yahi Islam ke buniyadi usool hai, lekin afsos aaj humari jahalat humse kya kuch nahi kara rahi ,..  hum Zinda ALLAH Ke Aagey Sajde Karne ke bajaye murdo ke aagey jhukne lagey.. Astagfaar !

Safar Ke Mahine Me koi Nahusat Nahi

A bu Huraira (R.A) se riwayat hai ke, RASULULLAH ﷺ ne farmaya:  “Chhut  lag jana (yaani kisi ke chune se beemari phailna), badshaguni hona ya ullu ka bolna ( Yaani ullu ke bolne se kuch bura hona) ya safar (ke mahine) ki Nahusat hona ye koi cheez nahi hai (Yaani bekar ke khayalat hai).” Sahih Bukhari, 5757

behayayi jis chiz me ho us ko aib daar bana degi ,

RASULULLAH ﷺ ne farmaya behayayi jis chiz me ho us ko aib daar bana degi ,  aur Hayayi jis chiz me ho usko khubsurat bana degi. Ibne Maja 4185

Aadmi jab namaz ke liye khada hota hai

Aadmi jab namaz ke liye khada hota hai to jab tak woh namaz padhta hai, ALLAH TA'ALA us ke samne hota hai, yaha tak ke namaz se farig ho jaye ya ( Namaz me ) esa amal karle jo namaz ke khushu ke khilaf ho. When a man stands up to perform prayer, ALLAH turns His Face towards him until he turns away or he commits an evil Hadath.’” Ibne maja 1023

Biwi Ka Mard Par Kya Haq Hai

RASULULLAH (ﷺ)se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai to aap ne farmaya ke: Jab tu khana khae tou Usey khana khila aur jab tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar. Muawiyah asked: Messenger of ALLAH, what is the right of the wife of one of us over him? He replied: That you should give her food when you eat, clothe her when you clothe yourself, do not strike her on the face, do not revile her or separate yourself from her except in the house. Abu Dawud 2142

ALLAH TA'ALA qayamat ke din ( rehmat ki nazar se ) nahi dekhe ga

Nabi Akram ﷺ ny farmaya : ”Teen log ese hain jin ki taraf ALLAH TA'ALA qayamat ke din  ( rehmat ki nazar se ) nahi dekhe ga, nah unhe ( gunaaho se ) pak karega, aur un ke liye dard naak azaab ho ga“, hum ny pucha : ALLAH ke RASUL! yeh kon log hain? yeh to nuqsaan aur ghate mein rahe, aap ny farmaya : ”Ahsaan  jatane wala, –Apne tehband ( takhnay se neechay ) latkane wala  aur jhooti qasam ke zareya –apne samaan ko bechne wala. The Prophet (ﷺ) said:   There are three whom Allah will not look at on the Day of Judgement, nor will He purify them, and theirs is a painful punishment.   We said:   Who are they O Messenger of Allah ? For they have indeed failed and are lost!   He sai:   The Mannan, the one whose Izar hangs (below the ankels) and the one who promotes his merchandise with false oath.   Tirmizi 1211

Sud Lene wala dene Wala Aur Uski Gawahi Dene Wala

RASULULLAH ﷺ sud lene wale , sud dene wale , aur uske dono gawaho aur uske likhne wale par lanat bheji. The Messenger of ALLAH (ﷺ) cursed the one who consumed Riba, and the one who charged it, those who witnessed it, and the one who recorded it.   Tirmizi 1206
Hazrat Aishah R. A se rivayat ki ke unhon ne kaha:mein haiz ki haalat mein hoti to RASULULLAH ﷺ meri goad ko takiya banate aur quran padhte. A'isha reported: The Messenger of ALLAH ﷺ would recline in my lap when I was menstruating, and recite the Qur'an.  Sahih Muslim 693

Bewaao Aur Miskino Ke Kaam Aane Wala

RASULULLAH ﷺ ne farmaya bewaao aur miskino ke kaam aane wala ALLAH ke raaste me jihad karne wale ke barabar hai , Yaa Raat bhar ibadat aur din bhar roza rakhne wale ke barabar. The Prophet ﷺ said,   The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah's Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day.  Bukhari 5353

Apni Aulad ke liye baddua naa karo,

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Apni Aulad Aur Apne Amwaal ke liye baddua naa karo, kahi esa naaa hoo ke tum kisi esi ghadhi me ALLAH se dua kr betho jisme dua qubul ho jati hai. Mishkat 2229

khushhali mein kasrat se duayen kare.

RASULULLAH ﷺ  ne farmaya  :' ' jis shakhs ko pasand ho ke mushkilaat ke waqt ALLAH Ta'ala is ki dua qubool farmaiy to phir usay chahiye ke woh khushhali mein kasrat se duayen kare. Mishkat 2240

jab kutta kisi ke bartan se pi jaye / If a dog licks the vessel of any one of you

Hazrat Abu-Huraira R.A se rivayat hai, Nabi  ﷺ ne farmaya :'jab kutta kisi ke bartan se pi jaye to woh use 7 dafaa dhoye. un mein se pehli dafaa matti ke sath ( dhoye ). It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said:  If a dog licks the vessel of any one of you, let him wash it seven times, the first time with dust.   Sunan Nasai 340

ALLAH destroy the Jews

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ALLAH Yahud ko Halak kare , Unhone apne Ambiyao ki kabro ko Sajdagaah bana liya. Abu Huraira reported: The Messenger of ALLAH ﷺ said: Let ALLAH destroy the Jews for they have taken the graves of their apostles as places of worship.  Sahih Muslim 1185

Koi Aurat Apne Shohar Se Kisi Bhi Aurat Ka Huliya Bayan Na Kare

Abdullah-bin-Mas'ud (R.A) se riwayat hai ke, ALLAH ke RASUL (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet said, A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he was actually looking at her.  (Sahih Bukhari; Hadith 5240) #husband #wife #shohar #mard #aurat 

Jhaadh Funk

RASULULLAH ﷺ ne farmaya jhaadh funk sirf nazar bad ki wajah se hi jayaz hai. The Messenger of Allah (S.A.W) said:   No Ruqyah except for the (evil) eye.   Tirmidhi 2057

Bimaro ko khaane pr majbur naa karo,

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Tum apne Bimaro ko khaane pr majbur naa karo,  islye ke ALLAH TA'ALA unhe khilata pilata hai. The Messenger of ALLAH (s.a.w) said:   Do not force your sick to eat, for indeed ALLAH, Blessed and Most High, provides them food and drink    Tirmidhi 2040

Saccha Aur Amanat Daar Taazir

Nabi akram ﷺ ne farmaya : Saccha aur amanat daar Taazir Qayamat ke din Ambiya, siddiqin , aur shuhada ke saath hoga. The Prophet (ﷺ) said: The  truthful, trustworthy merchant is with the Prophets, the truthful, and the martyrs.      Tirmidhi 1209

jis ne meri koi hadees suni aur use dusro taq pahuncha diya,

Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ALLAH TA'ALA us shakhs ko tar o tazah rakhe jis ne meri koi hadees suni aur use dusro taq pahuncha diya, is liye ke bohat se woh log jinhe hadees pahunchai jati hai woh sunne walo se ziyada yaad rakhne wale hote  hai . Abdur-Rahman bin 'Abdullah narrated from his father that: The  Prophet said:  May Allah cause his face to shine, the man who hears a Hadith from us and conveys it, for perhaps the one to whom it is conveyed may remember it better than the one who (first) hears it.  Ibne Maja 232

JAB tum Mese Koi Na-Pasnandida Khwab Dekhe

RASULULLAH ﷺ Ne Farmaya : JAB tum Mese Koi Na-Pasnandida Khwab Dekhe To Baaye Taraf 3 Baar Thuke , Aur Teen Baar Shetan Se ALLAH Ki Panah Mange , Aur Jis Pehlu Par Tha Use Badal Le. The Messenger of ALLAH (ﷺ) said:  “If anyone of you sees a dream that he dislikes, let him spit dryly to his left three times and seek refuge with ALLAH from Satan three times, and turn over onto his other side.”  Ibne Maja 3908 #khwab #dream

ALLAH Ne Har Bimri Ki Dawa Utari Hai.

Nabi Akram ﷺ Ne Farmaya : ALLAH TA'ALA Ne Esi Koi Bimari Nahi Utari Jiski Dawa Na Utari Ho. The Prophet (ﷺ) said: ALLAH does not send down any disease, but He also sends down the cure for it. Ibne Maja 3438

RASULULLAH ﷺ Tahajjud me Miswak Karte

RASULULLAH ﷺ Jab Raat Me Tahajjud Ke Liye Uthte to miswak se daant Saaf Karte. Whenever the Messenger of ALLAH up for prayer at night to pray Tahajjud (night optional prayer), he would clean his mouth with the miswak. Ibne Maja 286
RASULULLAH  ﷺ  ne sood lene wale, sood dene wale, is ke dono gawahoon aur is ke likhne wale par laanat bheji  hai . The Messenger of ALLAH (ﷺ) cursed the one who consumed Riba, and the one who charged it, those who witnessed it, and the one who recorded it .   Tirmidhi 1206

Ahle Bait Ki Shaan

Hum aal Mohammad ﷺ  aise the ke aik aik mahina cholha nahi jalate the, hamara guzar busr sirf khajoor aur pani par hota tha . Aisha R.A Narated We, the family of Muhammad, would go for a month without kindling a fire, having only water and dates.  Tirmidhi 2471 #ahlebait 

Musalman Se Berukhi Baratne Ka Bayan

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”kisi musalman ke liye jaiz nahi ke –apne ( kisi dosre musalman ) bhai se teen din se ziyada salam kalaam band rakhe, jab dono ka aamna saamna ho to woh us se muh phair le aur yeh us se muh phair le, aur un dono mein behtar woh hai jo pehle salam kare “. It is not lawful for the Muslim to shun his brother for more than three (days); they come fare to fare and this one turns away, and that one turns away. The best of them is the one who initiates the Salam.  Tirmizi 1932

Jannat me Jaane wale Mard aur Aurat

RASULULLAH  ﷺ  ne farmaya : kya mein tumhe Jannat  mein jaane wale mardo  ke baare mein nah btaau? Nabi  jannat mein hai, Siddiq jannat  mein hai, shaheed jannat mein hai,bacha  jannat mein hai, aur jo shaks  shehr ke kisi kone mein-apne bhai se mulakat  sirf ALLAH ki raza ke liye karta  hai woh jannat mein hai. kya mein  tumhe jannat mein jaane wali aurto ke  bare mein nah btaau ? har muhabbat  karne wali ziyada bache  janne wali, jab tum ghusse ho jaao us  se narazgi ka izhaar karo( us ka  us se shohar ghusse ho jaye) to woh kahe : yeh mera haath aap ke hath  mein hai. jab taq aap raazi nahi hon ge mein surma nahi dalungi. Silsila tus sahiha #1911 #mard #aurat #shohar #biwi #husband #wife #khawind

Rab Ki Raza Waalid Ki Raza Me Hai

Nabi kareem  ﷺ      ne farmaya: Rab ki raza waalid ki raza me hai aur rab ki narazgi waalid ki narazgi main hain. Tirmizi #1900 #walid #maa #baap
RASULULLAH  ﷺ    ne farmaya : Momin mese Kamil imaan wala woh shaks hai jo unme se acche akhlaq wala hai,aur tum mese behtar wo hai jo apni aurto ke liye behtar hai. Mishkat #3264 #husband #wife #shohar #biwi #aurat #mard #akhlaq
RASULULLAH ﷺ jab b hi dua mangte is dua ko padhte the. اللَّهُمَّ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً ، وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً ، وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ . ALLAH_HUMMA RAB_BANA AATINA FID_DUNIYA HASANA , WAFIL AAKHIRATI HASANA , WA KINNA AZABAN_NAR Aye ALLAH ! Hume Duniya me bhalai ataa kar or akhirat me bhalai ataa kar  or hume dozakh se bacha. #dua #namaz 

Ahle Bait

A bu Bakr Siddique R.A. ne farmaya ke MUHAMMAD ﷺ Ki muhabbat ko ahle bait ki muhabbat me talash karo. Bukhari 3751 #ahlebait

Apne Shohar se parayi aurat ka huliya bayan karna

Koi Aurat Apne Shohar Se Kisi Bhi Aurat Ka Huliya Bayan Na Kare Abdullah-bin-Mas'ud  (R.A) se riwayat hai ke, ALLAH ke RASUL  ﷺ ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet said,   A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he was actually looking at her.  Sahih Bukhari 5240 #husband #wife #shohar #biwi #mehram

Dusro ki Aurton se door raho

Abu Hurairah (R.A.) se  riwayat hai ke, ALLAH ke RASUL ﷺ ne farmaya: "Dusro ki Aurton se door  raho, Tumhari Auratein bhi Paak Daaman rahengi." Mustadrak 7258 #aurat # biwi #shohar 

Biwi Ke Huqooq

Aurto se behtar Sulook karo kyunki Aurat pasli se paida ki Gae hai aur pasli ka sab se zyada tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar Chodh Dega tou Tedhi hee Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo.  Narrated Abu Huraira: Allah 's Apostle said,   Treat women nicely, for a women is created from a rib, and the most curved portion of the rib is its upper portion, so, if you should try to straighten it, it will break, but if you leave it as it is, it will remain crooked. So treat women nicely.  (Bukhari 3331) #shohar #biwi #aurat #mard  #husband #wife

Biwi ke Huqooq

ALLAH Rabbul lzzat Quran-e-Kareem me farmata hai:AUR Biwiyo ke saath Acchi tarah raho saho.   (Quran 4:19 ) Aurto ka Haq Mardo par waisa hi hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Albatta mard ko aurat par fazeelat hasil hai. (Quran 2:228)  #shohar #biwi #husband #wife 

Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai to.

Jab koi Biwi apne Shohar ko taklif  deti hai to. Muaz bin jabal (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RASULULLAH ﷺ ne farmaya jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi Kehti hai: "ALLAH tujhe barbaad Kare usey takleef na de. Ye to tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye. It is narrated  Mu'adh ibn Jabal said that the Prophet (peace and blessings of ALLAH  be upon him) said: The wife who hurts her husband in this world, his wife from Hur Ain says: Do not harm him, may ALLAH destroy you!  This is your guest, he may leave you soon and come to us. Silsila tus sahiha 2012 #shohar #biwi #husband #wife

Surah Baqara 48

Aur ḍaaro us din se jab koii kisi ke kuch kaam na aaegaa, na kisi ki taraf se sifaarish qabool hogi, na kisi ko fidayaa [jurmaanaa] lekar chhodaa jayegaa, aur na  mujarimo ko kahi se madad mil sakegi.  And fear a Day when no soul will suffice for another soul at all, nor will intercession be accepted from it, nor will compensation be taken from it, nor will they be aided.  Surah Baqara 48

Sunnat Azkaar after obligatory prayer From the True Ahadith of PROPHET MUHAMMAD ﷺ

Syedna Abu Umamaha  bayan karte hain : RASULULLAH  ﷺ ne  farmaya : jo har farz namaz ayatul kursi (Surah Baqarah: Aayat 255)  parh le woh martay hi jannat mein daakhil hoga. Syedna Abu Umamaha narrates: The Messenger of ALLAH said  Whoever recites Ayat al Kursi (Surah Al-Baqarah: Verse 255) after  every prayer, he will for sure enter paradise immediately after his death. ( Memorize the full holy verse and its translation from Quran ) اَللّٰہُ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا ہُوَۚ اَلۡحَیُّ الۡقَیُّوۡمُ..........لَا یَئُوۡدُہٗ حِفۡظُہُمَا ۚ وَ ہُوَ الۡعَلِیُّ  الۡعَظِیۡمُ Surah Baqara 255 #Farz #Azkaar

Sunnat Azkaar after obligatory prayer From the True Ahadith of PROPHET MUHAMMAD ﷺ

Jab RASULULLAH ﷺ jab apni namaz se farig hote to Teen dafa Astagfar karte  (   أَسْتَغْفِرُ اللهَ ) or kehte   اللهُمَّ أَنْتَ السَّلَامُ وَمِنْكَ السَّلَامُ، تَبَارَكْتَ ذَا الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ When the Messenger  of ALLAH ﷺ finished his prayer. He begged forgiveness three times     (   أَسْتَغْفِرُ اللهَ ) and said. اللهُمَّ أَنْتَ السَّلَامُ وَمِنْكَ السَّلَامُ، تَبَارَكْتَ ذَا الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ Sahih Muslim 1334 #Farz #Azkaar

Sunnat Azkaar after obligatory prayer From the True Ahadith of PROPHET MUHAMMAD ﷺ

Syedna Abdullah bin Abbas R.A bayan karte hai. Me RASULULLAH ﷺ ki farz Namaz ka mukammal hona takbeer ( الله اكبر  )  ki buland awaaz se pehchanta tha. Syedna  Abdullah bin Abbas narrates I used to recognize  the completion of the obligatory prayer of the Messenger of Allah by the loud sound of Takbir. (  الله اكبر )  (1 time, loudly) (Sahih Muslim 1316, Sahih bukhari 842) #FARZ #AZKAAR