Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Aasani Paida Karo,

Hazrate Anas  R.A Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Farmaya – “Aasani Paida Karo, Tangi Na Paida Karo, Logo Ko Tasalli Aur Tashaffi Do, Nafrat Na Dilao..”

Sahih Bukhari 6125

*Wajahat: is AaHadeese mubarak me Hum me se unn tamam hazrat ke liye Nasihat hai Jo Deen me Naye naye Aqaid ijad kar is Deen ko aur bhi jyada mushkil taur se logo me pesh kar rahe hai ,. Islah ke bajaye log Baddzhn hokar hakiki Deen se Door ho rahe ,.

*ALLAH reham kare jabki ye Deen hakikat me hume aasani ikhtiyar karne ka hukm deta hai ,.. ALHMDULILLAH! ,
*Tawheed, Risalat aur Aakhirat par imaan lana,

– Kitabo Sunanat par amal , aur Gair muslimo ko iski dawat dena,yahi Islam ke buniyadi usool hai, lekin afsos aaj humari jahalat humse kya kuch nahi kara rahi ,.. hum Zinda ALLAH Ke Aagey Sajde Karne ke bajaye murdo ke aagey jhukne lagey.. Astagfaar !

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab