Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Humari Dua Qubul Kyu Nahi Hoti

Humari Dua Qubul Kyu Nahi Hoti

Aaj humari dua qubul kyu nahi ho rahi kabhi hummne yeh socha hain jo ALLAH apne bando ki duaao ko qubul krne ke liye kehta hain ke me har pukarne wale ki pukar ko sunta hu to kabhi kehta hain bande me raat ke akhri pahar pehle asman pr ata hu ( ALLAH ki shaan ke mutabik( tu mujhse mang me tujhe dunga or humara rab to itna gani hain ke woh us bande se muhabbat karta hain jo us se mangta hain or us bande se ghussa ho jata hain jo us se nahi mangta to kya wajah hain jo aaj humari duayein qubul nahi ho rahi ese to bahut sari wajahe hain jinki wajah se dua qubul nahi ho rahi.

Lekin aaj me apko do esi wajah btaunga jispe apko yaqin hoga waqai humari dua in wajah se qubul nahi ho rahi. Pehle me apko dusri wajah btaunga fir sabse aham pehli wajah bataunga.

Dusri Wajah :- Aaj humari dua qubul nahi ho rahi iski duri wajah to yeh hain humme apne ALLAH se mangna chor diya hain jis tarah se hume apne rab se mangna chahiye tha humne us tarah se apne rab ko pukarna chor diya hain humara rab ko roo roo kar mangne wale bande pasand hain. Use takabbur ke sath formality wale bande pasnd nahi kyunki hum bande hain woh humara rab haim hume uske samne ajzi se or badhi minnate kr ke mangna chahiye. Aaj hum gunah ko gunaah nahi samjh rahe. ALLAH ne hime ibne adam banaya tha lekin aaj hum Ibne Iblees ban gaye hain.

Ibne adam woh hain jo galti hone par apne malik ki taraf ruju karta hain or kehta hain malik mujhse galti ho gayi tu mauf karde tu bada rehman hain teri zaat paak hain. Lekin ibne Iblees is baat ki parwaah hi nahi karta ke us se koi galti bhi hui hain.

Humare Rehbar pyar pegambar RASULULLAH ﷺ ne farmaya ke insan gunhgaar hain lekin inme sabse behtar woh hain jo tauba karle ( ibne maja 4251) lekin aaj hum tauba hi nahi kar rahe.


Pehli Wajah :- Ab hum aate hain sabse Aham or Pehli wajah par ke kyu humari dua qubul nahi hoti maan liya ke Ek ALLAH ka banda hain woh ALLAH se dua karta hain or badhi shiddat ke sath ALLAH se dua karta hain tahajjud ka paband hain Lekin woh haram maal khata hain ALLAH us insan ki dua kabhi qabool nahi karta jo haram maal khata ho . Aaj har musalman haram se ghira hua hain, Koi aurat samuh me beth rahi hain to koi finance karwa raha hain.

Or agar koi samuh me nahi beth rahi na finance karwa rah to koi finance me kaam kar raha hain. Aaj agar koi dua karta hain to uske andar kahi naa kahi haram ki giza maujud hain. ALLAH ne saaf kaha hain woh us bande ki dua tab tak qubul nahi karega jab tak woh haram khane se baaz nahi aajata lekin koi maan hi nahi raha sabne apne apne bahane bana liya hain.

Yeh Bhi Padhe





Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare