Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

ALLAH Ki Baargah Mein Zyada Mehboob Amal

 𝗔𝗟𝗟𝗔𝗛 𝗞𝗶 𝗕𝗮𝗮𝗿𝗴𝗮𝗵 𝗠𝗲𝗶𝗻 𝗭𝘆𝗮𝗱𝗮 𝗠𝗲𝗵𝗯𝗼𝗼𝗯 𝗔𝗺𝗮𝗹


Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki mainey RASULULLAH ﷺ se pucha ki ALLAH TA’ALA ki baargah mein kaunsa amal jiyada mehboob hai ? Aap ﷺ ne farmaya ki apne waqt par namaz Parhna phir pucha uskey baad ,farmaya waldain (parents) ke saath achcha aur neik suluk karna, pucha iskey baad, farmaya ALLAH ki raah main jihad karna Abdullah Radiallahu anhu ne kaha ki mainey itna hi pucha agar main aur sawalat karta to Aap ﷺ mujhe aur jawabat farmate.

Narrated 'Abdullah Radiallahu anhu :I asked the Prophet ﷺ "Which deed is the dearest to Allah?" He replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I asked, "What is the next (in goodness)?" replied, "To be good and dutiful to your parents" I again asked, "What is the next (in goodness)?" replied, 'To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's cause." 'Abdullah added, "I asked only that much and if I had asked more, the Prophet ﷺ would have told me more."

𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵 𝗕𝘂𝗸𝗵𝗮𝗿𝗶, 𝟱𝟮𝟳


Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab