Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Marhum Waliden ki taraf se Hajj

 𝗠𝗮𝗿𝗵𝘂𝗺 𝗪𝗮𝗹𝗶𝗱𝗲𝗻 𝗸𝗶 𝘁𝗮𝗿𝗮𝗳 𝘀𝗲 𝗛𝗮𝗷𝗷

Ibn Abbbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne RASULULLAH ﷺ se apni walid ke bare mein pucha jiska inteqal bagair hajj kiye ho gaya to Aap ﷺ ne farmaya tum unki taraf se hajj karo.

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne RASULULLAH ﷺ se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sake , kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap ﷺ ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap ﷺ ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karne ka haq zyada hai.

𝗦𝘂𝗻𝗮𝗻 𝗡𝗮𝘀𝗮𝗶𝗶, 𝟮𝟲𝟯𝟱 & 𝟮𝟲𝟰𝟬-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab