Posts

Showing posts from August, 2021

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

RASULULLAH ﷺ Ke Pas Gaib Ka Mukammal Ilm Nahi

 RASULULLAH ﷺ Ke Pas Gaib Ka Mukammal Ilm Nahi Aye Mohammad ( ﷺ ) un se kaho, “Main tum se yeh nahi kehta ke mere paas ALLAH ke khazane hain. na mein gaib ka ilm rakhta hu, aur na yeh kehta hu ke mein farishta hu. mein to sirf is wahi ki perwi karta ho jo mujh par nazil ki jati hai. phir un se pucho kya andha aur aankho wala dono barabar ho satke hain? kya tum gor nahi karte ? Say, [O Muhammad], "I do not tell you that I have the depositories [containing the provision] of Allah or that I know the unseen, nor do I tell you that I am an angel. I only follow what is revealed to me." Say, "Is the blind equivalent to the seeing? Then will you not give thought?"  Surah Anaam 50

Nabina (Andhe) Ki Fazilat

 Nabina (Andhe) Ki Fazilat RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”ALLAH TA'ALA farmata hai : Jab mein apne bande ki pyari ankhein chin leta hu to mere paas us ka badla sirf jannat hi hai. The Messenger of ALLAH(s.a.w) said: Indeed ALLAH [Most High] said: 'When I take My slave's sight in the world, then there shall be no reward for him with Me except Paradise.'   Tirmazi 2400 , Sahih

Duniya Ke Samano Me Sabse Behtar Naik Biwi Ha

  Duniya Ke Samano Me Sabse Behtar Naik Biwi Ha عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : «إِنَّمَا الدُّنْيَا مَتَاعٌ ، وَلَيْسَ مِنْ مَتَاعِ الدُّنْيَا شَيْءٌ أَفْضَلَ مِنَ الْمَرْأَةِ الصَّالِحَةِ حضرت عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہما سے روایت ہے ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ دنیا ( عارضی ) فائدے کی چیز ہے اور دنیا کے سازو سامان میں نیک عورت سے بہتر کوئی چیز نہیں ۔‘‘ हज़रत अब्दुल्लाह-बिन-अम्र (रज़ि०) से रिवायत है,  रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया :   दुनिया (वक़्ती) फ़ायदे की चीज़ है और दुनिया के साज़ो-सामान में नेक औरत से बेहतर कोई चीज़ नहीं। RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Duniya Saaman hai, aur duniya ke samano me se koi bhi chiz naik aur saleh Aurat se behtar nahi.  The Messenger of ALLAH said: “This world is but provisions, and there is no provision in this world better than a righteous wife.”  Ibne Maza 1855 , Sahih

Un Aurto Par RASULULLAH ﷺ Ki Lanat Jo

 Un Aurto Par RASULULLAH ﷺ Ki Lanat Jo RASULULLAH ﷺ ne Lanat Farmayi hai gudne or gudwane wali pr, aur balo ko(bada karne ke lye) jodhne wali or judhwane wali par aur sud khaane wale pr or sud khulwane wale pr aur HALALA karne pr aur Jis ke lye HALALA kiya jaaye us pr.  It was narrated that 'Abdullah said: The Messenger of Allah cursed the woman who tattoos and the one tattooed, the woman who fixed hair extensions and the one who had her hair get extended, the consumer of Riba and the one who pays it, and Al-Muhallil and Al-Muhallal Lahu.  Nasai 3445 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ko ALLAH Ke Barabar Kardena

RASULULLAH ﷺ ko ALLAH Ke Barabar Kardena Abdullah bin Abbas R. A se marwi hai ke ek aadmi Nabi Kareem ﷺ ke paas aaya aur aapse guftugu karne laga phir kaha : Jo ALLAH chahe aur jo aap chahe RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Kya tumne mujhe ALLAH ke brabar kar diya hai? Is trah nahi balke kaho Sirf ALLAH chahe. Silsila Tus Sahiha 925 , Sahih

Nijat Sirf Nek Amal Karne Walo Ki Hai

 Nijat Sirf Nek Amal Karne Walo Ki Hai Musalman ho ya yahudi, Sabi ho ya isaai, jo bhi ALLAH aur roz-e- aakhir par imaan laaye ga aur naik amal karega be shak us ke liye na kisi khauf ka maqam hai na ranj ka. Indeed, those who have believed [in Prophet Muhammad] and those [before Him] who were Jews or Sabeans or Christians - those [among them] who believed in Allah and the Last Day and did righteousness - no fear will there be concerning them, nor will they grieve.  Surah Maeeda 69

ALLAH Ne Koi Wasila Muqarrar Nahi Kiya

  ALLAH Ne Koi Wasila Muqarrar Nahi Kiya ALLAH ne na koi bahera muqarrar kiya hai na saiba aur na Wasila aur na Haam . Magar yeh kafir ALLAH par jhooti tohmat lagate hain aur un mein se aksar be aqal hain ke aise wahmo ko maan rahe hai. ALLAH has not appointed [such innovations as] bahirah or sa'ibah or wasilah or ham. But those who disbelieve invent falsehood about ALLAH, and most of them do not reason.  Surah Maeeda 103

Abu Bakr R.A Ki Fazilat

  Abu Bakr R.A Ki Fazilat Nabi Kareem ﷺ ke ehad mein hum Abubakr R.A ke barabar kisi ko nahi qarar dete the. phir Umar R.A anho ko phir usmaan R.A ko. is ke baad Nabi Kareem ﷺ ke sahaba par hum koi behas nahi karte the aur kisi ko ek dusre par fazilat nahi dete the. Narrated Ibn `Umar: During the lifetime of the Prophet we considered Abu Bakr as peerless and then `Umar and then `Uthman (coming next to him in superiority) and then we used not to differentiate between the companions of the Prophet.  Bukhari 3698 , Sahih

Insaf Karo Chahe Samne Ger Muslim Hi Kyo Na Ho

Insaf Karo Chahe Samne Ger Muslim Hi Kyo Na Ho Kisi Qoum ki Dushmani tumhe (un ke sath) Na Insaafi karne par naa ubhare, (balke is waqt bhi tum) insaf se kaam lo. yahi tareeka Taqwa se ziyada qareeb hai.’ O you who have believed, be persistently standing firm for Allah , witnesses in justice, and do not let the hatred of a people prevent you from being just. Be just; that is nearer to righteousness. And fear Allah ; indeed, Allah is Acquainted with what you do.  Surah Maidah 8

Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam

 Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam RASULULLAH ﷺ ne farmaya: “ALLAH TA’ALA us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti.” Silsila 2018 , Sahih

3 Tarah Ke Log Jinki Farz Aur Nifl Ibadatein Qubul Nahi Hongi

 3 Tarah Ke Log Jinki Farz Aur Nifl Ibadatein Qubul Nahi Hongi RASULULLAH ﷺ) ne farmaya: “Teen Aadmi aise hai jinke Farz aur Nawafil ALLAH Subhanahu Qubul Nahi karega  (Maa Baap ka) Nafarman , Ehsan kar ke jatlane wala aur Taqdeer ko jhutlane wala.’‘ RASULULLAH ﷺ said “ALLAH Subhanahu will not accept the Obligatory and Optional Worship of three people , They are those who disobeys (his parents) , who reminds people of what he has given them and who do not have faith in destiny.“ Silsila Sahiha 1032 , Sahih

ALLAH Ko Ye Baat Buri Lagti Hain

ALLAH Ko Ye Baat Buri Lagti Hain Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki, RASULULLAH ﷺ ne farmaya: “ALLAH Subhanhu Ta’ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki ALLAH Se Daro Aur Wo Kahne Lage Ke Tu Apni Fikar Kar.” Silsila 2809 , Sahih

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

  Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai ALLAH ke RASUL (ﷺ) ne farmaya: “Musalman ke Musalman par 5 haq hai:  Salam ka Jawab dena, Bimar ki Ayadat karna, Janaze ke Sath Jana, Dawat Qabool Karna, Cheenk ka Jawab dena.“ ALLAH'S Messenger (ﷺ) saying, "The rights of a Muslim on the Muslims are five: To respond to the salaam, visiting the sick, to follow the funeral processions, to accept an invitation, and to reply to those who sneeze. Bukhari 1240 , Sahih

Jab Koi Tahajjud Padhne Ka Irada Kare Or Uski Nind Na Khule

Jab Koi Tahajjud Padhne Ka Irada Kare Or Uski Nind Na Khule RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Yeh bedari ek mushkil aur girah kaam hai, jab tum mein se koi shakhs vitar padh le to woh do rakat ada kare, agar woh raat ke waqt bedaar ho jaye ( to phir woh namaz tahajjud padhe ) warna woh do rakaatay is ke liye kaafi hon gi.'  Mishkat 1286 , Sahih

Jab Namaz Mein Shak Ho Jaye Aur Maloom Na Ho Ke Kitni Raqate Padh Li Hain (Sajda Sahu)

  Jab Namaz Mein Shak Ho Jaye Aur Maloom Na Ho Ke Kitni Raqate Padh Li Hain (Sajda Sahu) RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jab tum mein se kisi ko apni namaz mein shak ho jaye aur usay maloom na ho ke us ne kitni raqate padh li hain? teen ya chaar? to woh shak ko chodh de aur jitni raqato par usay yaqeen hai un par bunyaad rakhay ( teen yakeeni hain to chothi padh le ) phir salam se pehle do sajde kar le, agar us ne paanch raqate padh li hain to yeh sajde us ki namaz ko juft ( chay rkatin ) kar denge or agar us ne chaar ki takmeel kar li thi to yeh sajde shetan ki zillat o ruswai ka bais honge . The Messenger of ALLAH ﷺ said: When any one of you is in doubt about his prayer and he does Dot know how much he has prayed, three or four (rak'ahs). he should cast aside his doubt and base his prayer on what he is sure of. then perform two prostrations before giving salutations. If he has prayed five rak'ahs, they will make his prayer an even number for him, and if he has prayed exactly four,...

Jis Shakhs Ko Tahajjud Padhne Ki Aadat Ho Or Kabhi Chhut Jaye

  Jis Shakhs Ko Tahajjud Padhne Ki Aadat Ho Or Kabhi Chhut Jaye RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jis shakhs ko raat ko Nafil namaz padhne ki aadat ho, phir kisi din us par nind galib aa jaye ( aur woh Nafil namaz na padh sake ) to ALLAH TA'ALA ( us din bhi ) us ( mamool ki ) namaz ka ajar is ke liye likh deta hai aur us ki nind uske liye ( ALLAH TA'ALA ki taraf se ) sadqa ban jati hai.' '  The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: There is no man who habitually prays at night, then sleep overwhelms him, but ALLAH (SWT) will record for him the reward of his prayer, and his sleep is a charity given to him.  Sunan Nasai 1785 , Sahih Niyat Agar Namaz Padhne Ki Karke Soya Or Fir Nahi Padh Paya ... 

Qayamat Ke Din Sabse Pehle Fesla

 Qayamat Ke Din Sabse Pehle Fesla Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ”Sb se pehle ( qayamat ke din ) logo ke darmiyan khoon kharabe ke faisla jaat kiye jayenge.  Narrated `Abdullah: The Prophet said, The first cases to be decided among the people (on the Day of Resurrection) will be those of blood-shed.  Bukhari 6864 , Sahih

ALLAH Sachhi (Dil Ki) Tauba Qubool Karta Hai۔“

  ALLAH Sachhi (Dil Ki) Tauba Qubool Karta Hai۔ Mein ne Nabi Kareem ﷺ se suna, nabi kareem ﷺ ny farmaya ”Agr insaan ke paas maal ki do wadiyaan ho to teesri ka khawahish mand hoga aur insaan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur ALLAH us shakhs ki tauba qubool karta hai jo ( dil se ) sachhi tauba karta hai۔“  Narrated Ibn `Abbas: I heard the Prophet saying, If the son of Adam (the human being) had two valley of money, he would wish for a third, for nothing can fill the belly of Adam's son except dust, and Allah forgives him who repents to Him.  Bukhari 6436, Sahih

Mayyat Ke Sath Teen Chize Chalti Hain

Mayyat Ke Sath Teen Chize Chalti Hain RASULULLAH ﷺ ne farmaya ”Mayyat ke sath teen chizen chalti hain do to wapas aa jati hain sirf ek kaam us ke sath reh jata hai, us ke sath us ke ghar wale us ka maal aur is ka amal chalta hai us ke ghar wale aur maal to wapas aa jata hai aur is ka amal is ke sath baqi reh jata hai. “ ALLAH'S Apostle said, When carried to his grave, a dead person is followed by three, two of which return (after his burial) and one remains with him: his relative, his property, and his deeds follow him; relatives and his property go back while his deeds remain with him.  Bukhari 6514 Sahih

Nabi ﷺ Ke Gulam Jo Dozakh Me Gaye

  Nabi ﷺ Ke Gulam Jo Dozakh Me Gaye Jab aap waadi qura mein pahunch gaye to Madam ko jab ke woh Nabi Kareem ﷺ ka kajawa durust kar raha tha. Ek anjaan teer aa kar laga aur us ki mout ho gayi. logo ne kaha ke jannat usse mubarak ho, lekin Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke hargiz nahi, us zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai woh kambal jo us ne taqsem se pehle Khebar ke maal e ganimat mein se chura liya tha, woh us par aag ka angara ban kar phir raha hai.  when he was in the valley of Al- Qura an arrow was thrown by an unidentified person, struck and killed Mid`am who was making a she-camel of Allah's Apostle kneel down. The people said, Congratulations to him (the slave) for gaining Paradise. Allah's Apostle said, No! By Him in Whose Hand my soul is, for the sheet which he stole from the war booty before its distribution on the day of Khaibar, is now burning over him. Bukhari 6707 , Sahih chori karna , chor ko saza , nabi ke gulam jinhone chori kari thi

Un Duao Ka Bayan Jinke Zariye Duayein Qubul Hoti He

 Un Duao Ka Bayan Jinke Zariye Duayein Qubul Hoti He RASULULLAH ﷺ ek aadmi ke paas se guzre, jabke woh yeh keh raha tha : Al Zal-Zalali Wal IKRAM, aap ‌ﷺ ne farmaya : Tere liye qubool kiya ja chuka hai, pas sawal kar. Musnad Ahmed 5623 , Sahih duaa ese mange #dua kese mange

Jo Shaks Bina Jihad Ki Khwaish Ke Mar Gaya

  Jo Shaks Bina Jihad Ki Khwaish Ke Mar Gaya RASULULLAH ﷺ ny farmaya : Jo shakhs mar gaya aur jihad kiya nah dil mein jihad ka iradah hi kya, woh nifaq ki ek qism mein mra . ۔ Abu Huraira that the Messenger of Allah ( ‌ﷺ ‌ ) said: One who died but did not fight in the way of ALLAH nor did he express any desire (or determination) for Jihad died the death of a hypocrite Muslim 4931, Sahih

Jo Shaks Jihad Ki Khwaish Lekar Mar Gaya

  Jo Shaks Jihad Ki Khwaish Lekar Mar Gaya Nabi ﷺ ne farmaya : Jo shakhs sacche dil se ALLAH ki shahadat mange, ALLAH usay shohada ke martabe tak pahuncha deta hai, chahay woh apne bistar hi par kyun nah faut ho . The Messenger of Allah ( ﷺ ‌ ) said: Who sought martyrdom with sincerity will be ranked by Allah among the martyrs even if he died on his bed. Muslim 4930, Sahih

Jo Ye Dua Padega Use Us Din Koi Chiz Nuqsaan Nahi Pahucha Sakti

  Jo Ye Dua Padega Use Us Din Koi Chiz Nuqsaan Nahi Pahucha Sakti Mein ne Usman Bin Affan R.A kehte hain ke RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Esa koi shakhs nahi hai jo har roz subah o shaam ko  بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ “ Me us ALLAH ke naam ke zareye se panah mangta ho jis ke naam ki barkt se zameen o aasman ki koi cheez nuqsaan nahi pahuncha sakti, aur woh sunne wala janne wala hai teen baar padhe aur usay koi cheez nuqsaan Nahi Pahuchayegi.  Aban bin `Uthman said: “I heard `Uthman bin `Affan (ra) saying: ‘The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: “There is no worshiper who says, in the morning of every day, and the evening of every night: ‘In the Name of ALLAH, who with His Name, nothing in the earth or the heavens can cause harm, and He is the Hearing, the Knowing (Bismillahi LaziY La Yadur_ru Ma_A_smihi Shayun fil Ardi Wala fis_samai Wahuwa sami ul alim )’ – three times, (except that) n...

Jhut Se Bacho

  Jhut Se Bacho RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Tum jhoot se bachcho, is liye ke jhoot burai ki taraf le jata hai, aur burai jahannum mein le jati hai, aadmi jhoot boltaa hai aur jhoot mein laga rehta hai, yahan taq ke woh ALLAH ke nazdeek jhoota likh diya jata hai. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell; and if a man continues to speak falsehood and makes falsehood his object, he will be recorded in ALLAH’S presence as a great liar. Abu Dawood 4989, Sahih

ALLAH Un Khawind-Biwi Par Reham Kare Jo

  ALLAH Un Khawind-Biwi Par Reham Kare Jo RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ALLAH TA'ALA us shakhs par reham kare, jo raat mein bedar Huwa, aur namaz padhi, aur apni biwi ko bhi jagaya, usne namaz padhi, agar na uthi to usme chehre pe pani Chidhka, ALLAH TA'ALA us aurat par reham kare, jo raat mein bedar hui, phir usne namaz padhi aur apne shohar ko jagaya, usne bhi namaz padhi agar na utha to us ke munh par pani chidhka .  It was narrated that Abu Hurairah said: “The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘May ALLAH have mercy on a man who gets up at night and prays, and wakes his wife, and she prays; and if she refuses he sprinkles water in her face. And May ALLAH have mercy on a woman who gets up at night and prays, and wakes her husband and he prays; and if he refuses, she sprinkles water in his face.’”  Ibne maza 1336 , Sahih

Nahusat Jesi Koi Shay Nahi Hoti

 Nahusat Jesi Koi Shay Nahi Hoti RASULULLAH ﷺ ne farmaya : agar woh ( yani nahosat ) hoti to ghodhe, aurat aur ghar mein hoti . It was narrated from Sahl bin Sa'd that: The Messenger of ALLAH said: If it exists, it is in three things: a horse, and woman and a house, meaning omens.  Ibne Maja 1994 , Sahih Kya Nahusat Hoti Hai

Insano Ki Itat Sirf Nek Kamo Me Hai

 Insano Ki Itat Sirf Nek Kamo Me Hai ALLAH TA'ALA ki nafarmani mein kisi ki itaat halal nahi hai itaat sirf naik kamo mein hai. No obedience for evil deeds, obedience is required only in what is good . Bukhari 7257, Sahih

Daaye Hath Ka Istemal Karna

  Daaye Hath Ka Istemal Karna Nabi Akram ﷺ ne farmaya : Tum mein har shakhs ko chahiye ke woh daye hath se khaye, daye haath se piye, daye haath se le, daye haath se de, Isliye ke shetan baye haath se khata hai, bye haath se peeta hai, baye haath se deta hai aur baye haath se le ta hai ۔  It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: “Let one of you eat with his right hand and drink with his right hand, and take with his right hand and give with his right hand, for Satan eats with his left hand, drinks with his left hand, gives with his left hand and takes with his left hand.”  Ibne Maza 3566 , Sahih Ye Hadees Sahih Hai Lekin Iska Number Galat Hai

Ikhtelaf Na Kiya Karo

 Ikhtelaf Na Kiya Karo Ikhtelaf na Kiya karo , ALLAH ne tumse pehle  Ki qomo ko ikhtelaf karane ki wajah se halaq kiya. The nations which were before you were destroyed (by ALLAH) because they differed.  Bukhari 5062, Sahih

Jab Banda ALLAH Ki Taraf Chal Kar Jata Hai

  Jab Banda ALLAH Ki Taraf Chal Kar Jata Hai Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ”ALLAH TA'ALA farmata hai ke mein apne bande ke gumaan ke sath hu or jab woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to mein bhi usse apne dil mein yaad karta hu aur jab woh mujhe majlis mein yaad karta hai to mein use us se behtar firshto ki majlis mein use yaad karta hu aur agar woh mujh se ek balisht qareeb aata hai to mein is se ek halath qareeb ho jata hu aur agar woh mujh se ek haath qareeb aata hai to mein us se do hath qareeb ho jata hu aur agar woh meri taraf chal kar aata hai to mein us ke paas daudh kar aa jata hon. “  Narrated Abu Huraira: The Prophet said, Allah says: 'I am just as My slave thinks I am, (i.e. I am able to do for him what he thinks I can do for him) and I am with him if He remembers Me. If he remembers Me in himself, I too, remember him in Myself; and if he remembers Me in a group of people, I remember him in a group that is better than they; and if he comes one span nearer to Me, I...

Jab Koi Galat Aadmi Imamat Karwaye

  Jab Koi Galat Aadmi Imamat Karwaye Woh Khud Usman ghani R.A ke paas gaye. jab ke baghion ne un ko ghair rakha tha. unhone kaha ke aap hi aam musalmano ke imam hain magar aap par jo museebat hai woh aap ko malum hai. un halaat mein baghio ka muqarrar imam namaz padha raha hai. hum darte hain ke us ke piche namaz padh kar gunehgar na ho jaye. Usman R.A ne jawab diya namaz to jo log kaam karte hain un kamo mein sab se behtareen kaam hai. to woh jab accha kaam kare tum bhi us ke sath mil kar accha kaam karo aur jab woh bura kaam kare to tum un ki burayi se alag raho aur Mohammad bin Yazid zubaidi ne kaha ke imam zehri ne farmaya ke hum to yeh samajte hain ke hijdhe ke piche namaz nah padhe. magar esi hi lachari ho to aur baat hai jis ke baghair koi charah nah ho .  Narrated 'Ubaid-Ullah bin Adi bin Khiyar: I went to 'Uthman bin Affan while he was besieged, and said to him, You are the chief of all Muslims in general and you see what has befallen you. We are led in the Salat (p...

Agar Kisi Ko Kafir Kaha Or Woh Kafir Na Ho To

 Agar Kisi Ko Kafir Kaha Or Woh Kafir Na Ho To Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke agar koi shakhs kisi shakhs ko kafir ya fasik kahe aur woh dar haqiqat kafir ya fasik na ho to khud kehne wala fasik aur kafir ho jayega . The Prophet saying, If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq' i.e. a wicked person) or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him (i.e. the accuser) if his companion (the accused) is innocent.  Bukhari 6045 , Sahih

Jo Shaks Dusro Par Reham Farmata Hai

 Jo Shaks Dusro Par Reham Farmata Hai ALLAH TA'ALA bhi apne un reham dil bando par reham farmata hai jo dusro par reham farmata hai. ALLAH is merciful only to those of His slaves who are merciful (to others).  Bukhari 1284, Sahih

Agar Teen Bar Se Zyada Kisi Ko Awaz Do Or Wo Naa Aaye

  Agar Teen Bar Se Zyada Kisi Ko Awaz Do Or Wo Naa Aaye Mein Ansar ki ek majlis mein tha ke abu musa R.A tashreef laaye jaise ghabraye hue ho. unhone kaha ke mein ne Umar R.A anho ke yaha teen martaba andar anay ki ijazat chahi lekin mujhe koi jawab nahi mila, is liye wapas chala aaya ( Umar razi Allah anho ko maloom Huwa ) to unhone daryaft kiya ke ( andar anay mein ) kya baat Mana thi? mein ne kaha ke mein ne teen martaba andar anay ki ijazat maangi aur jab mujhe koi jawab nahi mila to wapas chala gaya aur aur RASULULLAH ﷺ ne farmaya hai ke jab tum mein se koi kisi se teen martaba ijazat chahay aur ijazat na mile to wapas chala jana chahiye. Umar R.A ne kaha : wallah! tumhe is hadees ki sahet ke liye koi gawah lana ho ga. ( Abu Musa R.A ne majlis walo se pucha ) kya tum mein koi aisa hai jis ne nabi kareem ﷺ se yeh hadees suni ho? abi bin ka-ab R.A ne kaha ke Allah ki qasam! tumahre sath ( is ki gawahi dene ke siwa ) jamaat mein sab se kam Umar shakhs ke koi aur nahi khadha ho ga...

RASULULLAH ﷺ Apne Zati Mamle Me Badla Nahi Lete

 RASULULLAH ﷺ Apne Zati Mamle Me Badla Nahi Lete RASULULLLAH ﷺ ne apne zaati maamla mein kabhi kisi se badla nahi liya haan jab ALLAH ki qaim ki hui had ko todha jata to aap phir badla lete the. Allah's Apostle never took revenge for his own self in any matter presented to him till Allah's limits were exceeded, in which case he would take revenge for Allah's sake Bukhari 6853 , Sahih
 Thori c mehnat ke liye Neki na choro q ke mehant khtam ho jaye gi lekin Neki Qabar tak jaye gi sath Or isi trha thory mazzy ke liye Gunnah mat karo maza tu khtam ho jaye ga lekin Gunnah Qabar tak sath jaye ga.

Jhut Bolne Se Bacho

 Jhut Bolne Se Bacho RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Tum jhoot se bachcho, is liye ke jhoot burai ki taraf le jata hai, aur burai jahannum mein le jati hai, aadmi jhoot boltaa hai aur jhoot mein laga rehta hai, yahan taq ke woh ALLAH ke nazdeek jhoota likh diya jata hai The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell; and if a man continues to speak falsehood and makes falsehood his object, he will be recorded in Allah’s presence as a great liar. Abu Dawood 4989, Sahih