Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Jab Namaz Mein Shak Ho Jaye Aur Maloom Na Ho Ke Kitni Raqate Padh Li Hain (Sajda Sahu)

 Jab Namaz Mein Shak Ho Jaye Aur Maloom Na Ho Ke Kitni Raqate Padh Li Hain (Sajda Sahu)

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jab tum mein se kisi ko apni namaz mein shak ho jaye aur usay maloom na ho ke us ne kitni raqate padh li hain? teen ya chaar? to woh shak ko chodh de aur jitni raqato par usay yaqeen hai un par bunyaad rakhay ( teen yakeeni hain to chothi padh le ) phir salam se pehle do sajde kar le, agar us ne paanch raqate padh li hain to yeh sajde us ki namaz ko juft ( chay rkatin ) kar denge or agar us ne chaar ki takmeel kar li thi to yeh sajde shetan ki zillat o ruswai ka bais honge .

The Messenger of ALLAH ﷺ said: When any one of you is in doubt about his prayer and he does Dot know how much he has prayed, three or four (rak'ahs). he should cast aside his doubt and base his prayer on what he is sure of. then perform two prostrations before giving salutations. If he has prayed five rak'ahs, they will make his prayer an even number for him, and if he has prayed exactly four, they will be humiliation for the devil. 

Muslim 1272 ,Sahih

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab