Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jab Koi Galat Aadmi Imamat Karwaye

 Jab Koi Galat Aadmi Imamat Karwaye

Woh Khud Usman ghani R.A ke paas gaye. jab ke baghion ne un ko ghair rakha tha. unhone kaha ke aap hi aam musalmano ke imam hain magar aap par jo museebat hai woh aap ko malum hai. un halaat mein baghio ka muqarrar imam namaz padha raha hai. hum darte hain ke us ke piche namaz padh kar gunehgar na ho jaye. Usman R.A ne jawab diya namaz to jo log kaam karte hain un kamo mein sab se behtareen kaam hai. to woh jab accha kaam kare tum bhi us ke sath mil kar accha kaam karo aur jab woh bura kaam kare to tum un ki burayi se alag raho aur Mohammad bin Yazid zubaidi ne kaha ke imam zehri ne farmaya ke hum to yeh samajte hain ke hijdhe ke piche namaz nah padhe. magar esi hi lachari ho to aur baat hai jis ke baghair koi charah nah ho .

 Narrated 'Ubaid-Ullah bin Adi bin Khiyar: I went to 'Uthman bin Affan while he was besieged, and said to him, You are the chief of all Muslims in general and you see what has befallen you. We are led in the Salat (prayer) by a leader of Al-Fitan (trials and afflictions etc.) and we are afraid of being sinful in following him. 'Uthman said. As-Salat (the prayers) is the best of all deeds so when the people do good deeds do the same with them and when they do bad deeds, avoid those bad deeds. Az-Zuhri said, In our opinion one should not offer Salat behind an effeminate person unless there is no alternative. 

Bukhari 695, Sahih

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare