Posts

Showing posts from January, 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usko naseeb hogi jo sachche Dil se

RASULULLAH ﷺ ne farmaya Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usko naseeb hogi jo sachche Dil se  لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ  kahe رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا قیامت کے دن سب سے زیادہ میری شفاعت اس کو نصیب ہوگی جو سچچے دل سے  لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، کہے RASULULLAH ﷺ   said The luckiest person who will have my intercession on the Day of Qayamah will be  the one who said sincerely from the bottom of his heart   لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ (None has the right to be worshiped except Allah.) Sahih Bukhari , Jild 1, 99

Whoever says سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ

Jo shakhs   سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ   kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai. RASULULLAH  ﷺ  said: Whoever says   سُبْحَانَاللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ a  date-palm tree is planted for him in Paradise. Sahih Ibn Hiban , 834-Hasan

Rights of women in islam.

1. Financial responsibility on shoulders of husband . What she earns is hers alone. 2. Paradise under feet of mother. 3. Promise of paradise if a man has a daughter and he treats her well. 4. Girls are preferred over boys 5. No marriage without girl   permission 6: Education of girls & boys BOTH  is promoted calling it obligatory  7: The first Lady of Islam , Khadija R.A  was the CEO of her trading company & the Prophet DIDNOT take over her company after marriage instead remained an employee as be4 8: Girls proposing guys was deemed 👍 9:She has the right to propose a man whom she wishes to marry . 10:She has the right to marry a man 10 years elder/younger than her. 1. Freedom to introduce their terms in marriage contract  2. Provision to take divorce 3. Property Rights 4. Right to Education 5. Right to be a Scholar 1. Female foeticide/infanticide is strongly forbidden. 2. The bride receives mahr (dowry, securit...

The (virgin) consult the girl about Marriage

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Ger-Kuwari aurat apni raza mandi bolkar zahir kare, aur kunwari ki raza mandi uski khamoshi hai. “The Messenger of Allah said: 'A previously-married woman can speak for herself, and the consent of a virgin is her silence.' ”  Ibne maja 1872 #Rishta #Nikaah #Shohar #husband #wife #virgin #kuwari #marriage #boy   #girl

Daughters would be protection for him against Hell-Fire.

Aisha R.A se rivayat hai ki ek miskeena (fakeer aurat) mere paas ayee apni 2 betiyon ko liye huye maine usko 3 khajurain di usney har ek beti ko ek ek khajur di aur teesri khajur khaney ke liye munh se lagayi itney mein uski betiyon ne wo khajur bhi mangi usney us khajur ke jise khud khana chahti thi 2 tukdey kiye mujhe ye haal dekhkar taajjub hua maine jo usne kiya tha RASULULLAH ﷺ se bayan kiya Aap ﷺ ne farmaya ALLAH subhanahu ne is wajah se uske liye jannat wajib kar di ya jahanam se aazad kar diya. Aisha R.A  reported: A poor woman came to me along with her daughters. I gave her three dates. She gave a date to each of them and then she took up one date and brought that to her mouth in order to eat that, but her daughters expressed desire to eat it. She then divided the date that she intended to eat between them. This (kind) treatment of her impressed me and I mentioned that which she did to Allah's Messenger (may peace be upon him). Thereupon he said: Verily All...

Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi .

Aisha R.A se rivayat hai ki RASULULLAH ﷺ ne farmya jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare to wo Qayamat ke din jahannam se uski aadh (protection) hongi  He who is involved (in the responsibility) of (bringing up) daughters, and he accords benevolent treatment towards them, there would be protection for him against Hell-Fire.  Sahih Muslim, , 6693 #ladhki  

ek aurat par RASULULLAH ﷺ ki nazar padh gayi to aap apni ahliya ke paas aaye.

Hazrat Jabir R.A  se rivayet ki ke ek aurat par RASULULLAH  ﷺ  ki nazar padh gayi to aap apni ahliya Hazrat Zainab R.A ke paas aaye. woh –apne liye ek chamdhe ko rang rahi thi, aap ne ( ghar mein ) apni zaroorat poori farmai, phir –apne sahaba ki taraf tashreef le gaye, aur farmaya : bilashuba ( fitne mein daalnae ke hawale se )   aurat  shetan ki soorat mein samne aati hai aur shetan hi ki soorat mein mudh kar wapas jati hai. tum mein se koi jab kisi  aurat  ko dekhe to woh apni biwi  ke paas aa jaye, bilashuba yeh cheez is khwahish ko hata degi jo is ke dil mein ( peda hui ) hai. Jabir reported that ALLAH'S Messenger ( ‌ ﷺ  ‌ ‌ ) saw a woman , and so he came to his wife, Zainab, as she was tanning a leather and had sexual intercourse with her. He then went to his Companions and told them: The  woman  advances and retires in the shape of a devil, so when one of you sees a  woman , he should come to his w...

Buri Nazar lagna haq hai

Ibn Abbas R.A  se rivayat hai ki Nabi Kareem ﷺ Hussain wa Hasan R.A ke liye ALLAH se panaah talab kiya kartey they aur farmatey the ki tumharey buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye ALLAH ki panaah maanga kartey they.  Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The Prophet   ﷺ  used to seek Refuge with ALLAH for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (Abraham Alaihi Salam) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac (Alaihi salam) by reciting the following:  أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ (Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)  ( O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.)  Sahi...

Phode , funsi aur zakhmo ke shifa ke liye dua -

Aisha R.A se rivayat hai ki jab hum mein se koi beemar hota ya usko koi zakhm lagta to RASULULLAH ﷺ apne kalme ki ungli ko zameen par rakhte aur ye farmate huye us (ungli) ko uthate Aisha R.A reported that when any person fell ill with a disease or he had any ailment or he had any injury, the Messenger of ALLAH ﷺ  placed his forefinger upon the ground and then lifted it by reciting the name of ALLAH. (and said): بِسْمِ اللَّهِ بِتُرْبَةِ أَرْضِنَا بِرِيقَةِ بَعْضِنَا لِيُشْفَى بِهِ  سَقِيمُنَا بِإِذْنِ رَبِّنَا اللہ كے نام سے ، ہمارے زمین کی مٹی ، ہم میں سے کسی لعاب (تھوک) كے ساتھ ، اِس سے شفاء پائیگا ہمارا بیمار ، اللہ كے حکم سے (In the Name of Allah, the dust of our land mixed with the saliva of one of us, to cure our sick one, by the permission of Allah). The dust of our ground with the saliva of any one of us would serve as a means whereby our illness would be cured with the sanction of ALLAH. Sahih Muslim #5719

Taqleed kya hai.

Taqleed kya hai. Kya taqleed karna zaruri hai..By Dr.  Zakir Naik.

Duniya aur Aakhirat ki tangi se bachne ki dua

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ ضِيقِ الدُّنْيَا، ‏‏‏‏‏‏وَضِيقِ يَوْمِ الْقِيَامَةِ اے اللہ! میں تیری پناہ مانگتا ہوں دنیا کی تنگی سے اور قیامت کے دن کی تنگی سے Aye ALLAH mein teri panah mangta hu duniya ki tangi se aur Qayamt ke din ki tangi se O Allah I seek refuge in you from the narrowness of this world and  from the narrowness of the Day of Qayamah.

Is dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aa jaye to islam par hogi

اللَّهُمَّ أَسلَمتُ نَفسِي إِلَيكَ، وَفَوَّضتُ أَمرِي إِلَيكَ وَوَجَّهتُ وَجهِي إِلَيكَ، وَأَلجَأتُ ظَهرِي إِلَيكَ رَغبَةً وَرَهبَةً إِلَيكَ، لاَ مَلجَأَ وَلاَ مَنجَا مِنكَ إِلاَّ إِلَيكَ آمَنتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنزَلتَ، وَبِنَبِيِّكَ الَّذِي أَرسَلتَ‏‏ Allahumma aslamtu nafsi ilaika,  wa fauwadtu Amri ilaika, wa wajjahtu wajhi ilaika, wa alja'tu zahri ilaika, reghbatan wa rahbatan ilaika. La malja'a wa la manja minka illa ilaika. Amantu bikitabikal-ladhi anzalta wa Binabiyyikalladhi Arsalta. RASULULLAH ﷺ ne farmaye jab tum apne bistar par jao to ye dua padho agar tum isko padhne ke baad raat mein mar gaye to fitrat par yani deen e islam par maroge aur subah ko zinda uthe to sawab milega Eh Allah mein apni jaan tere supurd (hawale ) kar di hai aur apna rukh teri taraf mod diya aur apna mamala tere supurd ker diya aur teri panah li teri taraf ragbat ki wajah se aur tujh se dar kar tere siwa koi panah, aur nijat ki jagah nahi mein teri Kitab  par...

Iman aur Naimat ki Salamati ki dua

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ إِيمَانًا لَا يَرْتَدُ وَ نَعِيمًا لَا يَنْفَدُ یا اللہ! میں تجھ سے ایسے ایمان کی دعا کرتا ہوں جو مجھ سے واپس نہ جائے، ایسی نعمتوں کا سوال کرتا ہوں جو کبھی زائل نہ ہوں   Allahumma inni As’aluka emanan La yartad, Wa Naiman La yanfad   Ya Allah main tujhse aise iman ki dua karta hu jo mujhse wapas na jaye aur  tujhse aisee Naimato ka sawal Karta hu jiska kabhi zawal na ho  O Allah, I ask you for such faith that does not turn back and blessings that does not decline. Musnad Ahmed-11825 - #dua   #azkar  # supplication

RASULULLAH ﷺ in char cheezo se ALLAH ki panah mein aate they

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لَا يَنْفَعُ، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ دُعَاءٍ لَا يُسْمَعُ، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ قَلْبٍ لَا يَخْشَعُ، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ نَفْسٍ لَا تَشْبَعُ اے اللہ! میں اس علم سے پناہ مانگتا ہوں جو نفع نہ دے، اور اس دعا سے جو سنی نہ جائے، اور اس دل سے جو ( اللہ سے ) نہ ڈرے، اور اس نفس سے جو آسودہ نہ ہوتا ہو ۱؎۔  Aye ALLAH main panaah maangta hu aisey ilm se jo nafa na de  , aur aise dil se jismein tera khauff na ho aur aisey nafs se jo mutmaeen (satisfied) na ho aur   aisee Dua se jo suni na jaye. O Allah, I seek refuge with You from knowledge that is of no benefit,  from a heart that does not fear (You) and from a soul that is not satisfied  from a supplication that is not heard, Sunan Ibne Maja 250 #dua #azkar #supplication

unmarried man who committed illegal sexual intercourse

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ان لوگوں کے لیے جو شادی شدہ نہ ہوں اور زنا کریں۔ یہ حکم دیا تھا کہ انہیں سو کوڑے لگائے جائیں اور ایک سال کے لیے جلا وطن کر دیا جائے۔ RASULULLAH  ﷺ ne un logo ke liye jo shadi shuda nah ho aur zina karen. yeh hukum diya tha ke inhe so kodhe lagaye jayen aur ek saal ke liye jila watan kar diya jaye . Narrated Zaid bin Khalid: Allah's Apostle ordered that an unmarried man who committed illegal sexual intercourse be scourged one hundred lashes and sent into exile for one year.  Sahih Bukhari 2649 #zina #sex #haram #relation #sexualintercourse #illegalintercourse #hell #jahannum #unmarried  #nikaah

Alamat Qayamat

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا۔ علامات قیامت میں سے یہ ہے کہ ( دینی ) علم اٹھ جائے گا اور جہل ہی جہل ظاہر ہو جائے گا۔ اور ( علانیہ ) شراب پی جائے گی اور زنا پھیل جائے گا۔  RASULULLAH ﷺ ny farmaya Alamat qayamat mein se yeh hai ke ( dini ) ilm uth jaye ga aur jahal hi jahal zahir ho jaye ga. aur ( alania ) sharaab pi jaye gi aur zina phail jaye ga . Narrated Anas: Allah's Apostle said, From among the portents of the Hour are (the following): -1. Religious knowledge will be taken away (by the death of Religious learned men). -2. (Religious) ignorance will prevail. -3. Drinking of Alcoholic drinks (will be very common). -4. There will be prevalence of open illegal sexual intercourse.  Sahih Bukhari 80 # zina #sex #haram #relation #sexualintercourse #illegalintercourse #hell #jahannum #qayamat

Those men and women who commit illegal sexual intercourse

Aap ﷺ  ne farmaye maine Aaj Raat ek khawab dekha Hain ke do Admee mere paas Aaye unhone mere hath thaam liye aur mujhe aarz e Muqadas ki tarf le gaye ( aur waha se Aalam e bala ki mujhe sehar karwaye) waha kya  dekhta hu ke Ek Tanoor jaisa gadha hain Jiske upar Ka hissa to tang tha lakin neeche se khub farak neeche aag bhadak rahi thi jab aag ke shole bhadak Kar upar ko uthay to us Mai jalne wale log bhi upar uth aatay aur aisa malum hota ke ab wo bahar Nikal jaenge lakin jab shole dab jaate to wo log bhi neeche chale jaate us Tanoor Mai barhana ( Bina kapde ke ) Mard aur aurat thay meine apne saathiyoh se Kaha tum logo ne mujhe raat bhar sair karayee kya Jo kuch meine Dekha uski tafseel bhi kuch bataoge Unhone Kaha Haan Jinhein Aap ne Tanoor Mai Dekha to wo Zina Kar the. RASULULLAH ﷺ said, I had seen (a dream) last night that two men came to me, caught hold of my hands, and took me to the Sacred  Land (Jerusalem). There, we passed by a hole like an oven; w...

Chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari .

Saad bin abi waqas R.A  se rivayat hai ki RASULULLAH ﷺ  ne farmaya chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain (yani inki  wajah se khushi hasil hoti hai) Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari aur chaar cheezi pareshaniyo ka hissa hoti hain (yani inki wajah se pareshani  hoti hai) bure padosi, buri biwi , buri sawari aur tang makan. Sad ibn Abi Waqqaas R.A said that the Prophet ﷺ  said Four things are part of happiness: a righteous wife, a spacious  abode, a good neighbour and a comfortable mount. And four things are part of misery: a bad wife, a bad neighbour, a bad mount and a small abode. Al-Silsila As-Sahiha-1903 #family #wife #neighbour 

Aisa mard jo apne Ghar ke andar burayee ko nahi rokta hai us par Jannat haram hai

RASULULLAH ﷺ  ne farmaya 3 tarah ke logo par ALLAH Subhanahu ne Jannat haram Kar di hai, Sharab Ka aadi, Waliden Ka Nafarman, aur wo dayyus jo apne Ghar ke andar burayee ko nahi rokta hai. Musnad Ahmad 9975

Khala ke sath husne e Suluk ki fazeelat

Ek Shakhs RASULULLAH  ﷺ  ki  khidmat mai hazir hua aur kaha Ya RASULULLAH  ﷺ Maine ek bahut bada ( kabira ) gunah kar liya hain toh kya mere liye Tauba ki gunjaish hain? Aap ﷺ ne farmaya kya tumahari walida hain usne Kaha nahi Aap ﷺ ne farmaya kya tumahari khala hai ? Usne kaha ji haan Aap ﷺ ne farmaya unke Sath husn e Suluk Karo . Mishkat-4935 #maa #baap #khala 

Qayamat Ki Nishanian – Qurano Sunnat Ki Roshni Me.

3. ​​  Mashriq ​​  se Shaitan ka Seengh Namudar hoga ۞ ​​  Hadees: ​​  Hazrat Abdullah ​​  bin ​​  Abbas ​​  (R.A) ​​  se marvi ​​  hai ​​  ke ​​  AlALLAH   ke RASUL ( ﷺ) ​​  ne ​​  Dua mangi: ya ​​  Allah! humare ​​  Saa'a aur ​​  Mad me ​​  Barkat farma, ​​  Ilahi! ​​  humare ​​  Yaman o ​​  Shaam me ​​  Barkat farma. logon me se ​​  Ek ​​  Aadmi ne kaha: ​​  Aye ​​  Allah ​​  ke ​​  Nabi ​​  (ﷺ)! humare ​​  iraq ke liye bhi ​​  (Dua karein). ​​  Aap ​​  (ﷺ) ​​  ne farmaya: wahan se ​​  Shaitan ka ​​  Seengh ​​  Namudar hoga aur ​​  Fitney ​​  Ubliengey, bila shuba ​​  Jor-o-Jafa ​​  Mashriq me hai. Al ​​  Mu'jam al ​​  Kabeer 13422 Majma al ​​  Zawaid 308/3 Mukhtasir al ​​  Targheeb 87 ​​ 

Qayamat Ki Nishanian – Quran Sunnat Ki Roshni Me.

2.​​ Hazrat Umar (R.A)​​ Fitno ke​​ Aagey​​ Darwaza hain.   Hadees: ​​  Hazrat Huzaifa ​​  (R.A) ​​  se marvi ​​  hai ​​  ke ​​  Umer bin Khattab ​​  (R.A) ​​  ne pucha ke fitno ke baray mein ​​ ALLAH   ke RASUL   (ﷺ) ​​  ke ​​  farameen kis ko yad hein? ​​  Hazrat Huzaifa ​​  (R.A) ​​  ne jawab dia ke muje wo maano yaad hain. ​​  Umer ​​  (R.A) ​​  ne kaha: ​​  Paish karo tum waqai ​​  Zuratmand ho. kaha ke ​​  Allah ​​  ke Rasool ​​  (ﷺ) ​​  ne farmaya: "Aadmi ke ​​  Ahlo ​​  Ayaal aur ​​  Maalo ​​  Doulat is ke liye ​​  Fitna hain jo isey ​​  Namaz, ​​  Zakat, ​​  Amar bil ​​  Maroof aur ​​  Nahi an almunkir jaisay ​​  Amaal se roktey hain. ​​  Umer ​​  (R.A) ​​  ne kaha: main is ​​  Fitney ​​  ke baray mein nahi ​​  puchta, main tou is ​​  Fitney ​​  ke baray...