Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jannat me Jane wale Mard Aurat

RASULULLAH ﷺ ne farmaya : kya mein tumhe jannat mein jaane wale mardon ke baare mein nah btaau? nabi jannat mein hai, Siddiq jannat mein hai, shaheed jannat mein hai, bacha jannat mein hai, aur jo shaks shehr ke kisi kone mein –apne bhai se mulaqaat sirf ALLAH ki raza ke liye karta hai woh jannat mein hai. kya mein tumhe jannat mein jaane wali aurton ke bare mein nah btaau ? har muhabbat karne wali ziyada bachay janne wali, jab tum ghusse ho jaao us se narazgi ka izhaar karo ( us ka shohar us se ghusse ho jaye ) to woh kahe : yeh mera haath aap ke haath mein hai. jab taq aap raazi nahi hon ge mein surma nahi dalungi.

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:کیا میں تمہیں جنت میں جانے والے مردوں کے بارے میں نہ بتاؤں؟ نبی جنت میں ہے، صدیق جنت میں ہے،شہید جنت میں ہے، بچہ جنت میں ہے،اورجوشخص شہرکےکسی کونےمیں اپنےبھائی سےملاقات صرف اللہ کی رضاکےلئےکرتاہےوہ جنت میں ہے۔کیا میں تمہیں جنت میں جانے والی عورتوں کے بارے میں نہ بتاؤں؟ہر محبت کرنے والی زیادہ بچے جننے والی، جب تم غصےہو جاؤیا اس سےناراضگی کااظہار کرو(یا اس کا شوہر اس سے غصے ہو جائے)تو وہ کہے:یہ میرا ہاتھ آپ کے ہاتھ میں ہے۔ جب تک آپ راضی نہیں ہوں گے میں سرمہ نہیں ڈالوں گی
Silsila_tus_sahiha 1911

#Husband #wife #nikah #marriage #jannat #mard #auray

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare