Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Qayamat Ki Nishanian – Quran Sunnat Ki Roshni Me.

2.​​ Hazrat Umar (R.A)​​ Fitno ke​​ Aagey​​ Darwaza hain.


 Hadees:​​ Hazrat Huzaifa​​ (R.A)​​ se marvi​​ hai​​ ke​​ Umer bin Khattab​​ (R.A)​​ ne pucha ke fitno ke baray mein​​ ALLAH ke RASUL (ﷺ)​​ ke​​ farameen kis ko yad hein?​​ Hazrat Huzaifa​​ (R.A)​​ ne jawab dia ke muje wo maano yaad hain.​​ Umer​​ (R.A)​​ ne kaha:​​ Paish karo tum waqai​​ Zuratmand ho. kaha ke​​ Allah​​ ke Rasool​​ (ﷺ)​​ ne farmaya:

"Aadmi ke​​ Ahlo​​ Ayaal aur​​ Maalo​​ Doulat is ke liye​​ Fitna hain jo isey​​ Namaz,​​ Zakat,​​ Amar bil​​ Maroof aur​​ Nahi an almunkir jaisay​​ Amaal se roktey hain.​​ Umer​​ (R.A)​​ ne kaha: main is​​ Fitney​​ ke baray mein nahi​​ puchta, main tou is​​ Fitney​​ ke baray mein puchta hun jo​​ Samandar ki mojon ki tarah umadta chala ayega.​​ Huzaifa​​ (R.A)​​ ne kaha​​ Ameer ul​​ Momineen!​​ Aap ko tou is​​ Fitney​​ se pareshan nahi​​ hona chahiye kyon ke​​ Aap​​ ke​​ aur is​​ Fitney​​ ke darmiyan ek band darwaza hai.​​ Umer​​ (R.A)​​ ne kaha: wo darwaza khola jaye ga ya toda​​ jaye ga?​​ Main ne kaha: toda jaye ga. kaha: phir yaqeenan isey band nahi​​ kiya ja sakega?​​ Main ne kaha: ji haan.
Hum ne​​ Huzaifa​​ (R.A)​​ se pucha kya​​ Umar​​ (R.A)​​ is darwazay ke mutaliq jantey they? farmaya: haan! jis tarah muje yaqeen he ke kal se pehle raat ayegi​​ kyon ke maine aisi​​ baat bayan ki thi jo bebuniyad nahi​​ thi. hume in se yeh puchney me​​ dar laga ke wo darwaza koun hai? chunache​​ hum ne masrooq (tabee) se kaha (ke​​ wo puchien) jab​​ unhone pucha ke wo darwaza koun tha? tou​​ Unhone jawab dia: wo darwaza​​ Umer​​ (R.A)​​ they.
Sahih Bukhari Kitab ul Fitan​​ 7096

Note:​​ ​​ Qayamat​​ ki​​ yeh​​ Nishani bhi​​ puri ho chuki hai.​​ Ummat e​​ Muslima ko​​ Hazrat Umar (R.A)​​ ki​​ Shahadat​​ ke baad jin fitno ka samna karna pada wo​​ Aaj tak chal rahey​​ hain.


#qayamat #allah #fitne #akhirat #dajjal #hazratumar
#nabi 

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare