Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Shohar ke kharaab rawaiye se har biwi ke saamane teen raaste hote hai

Janiye ek akalmand aur momin aurat kaunsa  rasta ikhteyaar karti hai.
Shohar kaa dil jeetane ke sunehare usool.

shohar kaa kharaab ravaiyaa dekhakar har biwi ke saamane teen raaste hote hai, aur har biwi in teen raaston me se ek raastaa zaroor chunti hai, agar shohar biwi ke saath accha sulook nahi karta, use waqt nahi detaa, mobile ,Tv  aur doston me mashroof rehta hai, use izzat aur pyaar nahi detaa, har waqt jhagadaa karta hai, gaaliyaa detaa hai, maan bahan ki baaton me aakaar beizzat karta hai, matlab kisi bhi aitabaar se biwi ko rahat ke bajay takleef pahunchata hai, to us galeeza insaan ki biwi teen raston me se ek rastaa chunati hai.


Pehla rastaa –
kuchh biwiya jo imaan ki kamazaor hoti hai, vo shohar ke kharaab ravaiye ko dekhakar gair meharam se rabtaa banaa leti hai, fir uske saath apane sukh dukh shair karne lagati hai, aur vo shaks bhi uske saath bahut hamadardi se pesh aataa hai, hamadardi wala ye taalluk pehle dosti me tabdeel hokar bade gunaahon ki taraf le jaata hai, aisi surat me shohar biwi aur uskaa hamadard teeno hee gunahgar thehrayege.



Dusra rastaa –
kuch biwiya imaan kee mazabot hoti hai, lekin himmat kee kamzor hoti hai, agar unka shohar unke saath kharaab ravaiyaa rakhta hai, jaisa ki phle likhaa hai, to ye beeveeyaan apanee izazat aabaroo kee to har dam hifaazat karti hai, lekin andar se mukammal toot jati hai, unka hasna rasmi hota hai, unki muskurahat  rasmi hoti hai, unkei bol chal rasmi hoti hai, unka logo se milanaa aur bol chal karnaa rasmi hotaa hai, ye din ki roshani me andar hee andar ghutati hai, aur raat ke andhere me khun ke aansoo roti hai, ye biwiya zaindaa lash banakar zindagi guzarti hai, aur baroz mahashar biwi kaa shohar us waqt tak jannat me daakhil naa ho sakegaa jab tak biwi ke aansuo kaa hisaab naa de de, kyonki ALLAH ta'ala apne hukook to maaf kar dega lekin apane bndo ke hukook tab tak maaf nahi karegaa jab tak samne wala maaf naa kare de.



Tisra rasta –
Is tisre kism ke raste par chalane wali biwiya kaa imaan mazaboot to hotaa hee hai saath me ye himmat aur istaqalaal ki pahadh bhi saabit hoti hai, ye maayoos nahi hoti balki fikar karti hai, ye shohar ke kharaab ravaiye ko khud ke liye challenge tasawur karti hai, ke kis tarah shohar ko apne taraf maail kiyaa jaye. Ye shohar ke gusse par samane jawab nahi deti, sabr karake baradasht karati hai, ye shohar ke saath bahut zyada narm aur muhabbat bhara rawaiya rakhti hai, shohar ke aane se pahale khud ko dulhan kee tarah taiyaar kar leti hai ke shohar kaa dhyaan kahi aur naa jaye, ye janti hai ki shohar ke waliden ki khaidamat farz nahi, lekin fir bhi khud ke saas sasur ki khaidamat karti hai, ke bujurgo ki duaaon se unkaa ghar basaa rahe, ye takiyo me muh chipakar rone ke bajaay sajadon me rone ko tarajeeh deti hai, ye sajadon me aansoo bahakar rab ke hujoor shohar ki wapsi mangti hai, ye tahajjud me uthakar rab ki baraagaah me haziri lagati hai, aur aankhe nam kiye apni aah us rab ke samne rakhakar apni khushiya mangti hai. ALLAH ta'alaa unki himmat aur madad ke liye pukaarane par unhe maayoos nahi kartaa, unki himmat, sabr, kurbaniyo kaa fal dete hue unke shohar ka dil unke taraf fer detaa hai.



ab akalmand biwi kaunsa rasta chune ? 
Agar biwi pehla rasta chunti hai to duniyaa me zaillat va rusavaii aur aakhairat me shohar aur hamadard samet sakhat azaab ke hakadaar thehrayegi. Agar biwi dusraa rasta chunati hai to galeeza shohar ki wajah  se apna hi dil jalati hai, apna hi khun jalati hai, apne ko takleef dene ke sivaa kuchh hasil nahi hoga, lekin usko ALLAH ta'alaa ke yaha is sabr aur izazat aabaro ki hifaazat karne par be-tahasha azr va sawab milegaa. Aur agar biwi tisra rasta chunt hai, shohar ki begerati ko khud ke lie challenge tasawwur ki himmat aur gaur fikar se kaam leti hai jaisa ki upar likhaa hai to esi biwiya ALLAH ta'alaa ke hukm se apne makasad me kamyab hokar ek khushgavar aazad zindagi guzarti hai. Apni duniya aur aakhirat dono me kamyab ho jati hai. Ham yahaa kehna chate hai ke shohar ke kharaab rawaiye par har biwi ko tisra rasta chunnna chahiye , INSHAALLAH ! ALLAH ta'alaa use mayus nahi karegaa. Yaha ek aur baat kehna chahege ke agar kisi bhi aurat ke aankh me shohar ki wajah se ek bhi aansoo aa jaye to jannat me us waqat tak naa jaa sakega jab tak biwi use maaf naa kar de. Aap kahenge ke ham aisaa fatwa lagaa rahe hai, to yaad rakhe ke ye fatwa nahi deen-e-islaam hai, Hadees kaa mafhoom hai ke jahaan kisi ek insaan ke dil dukhane par rozaa namaz sari ibaadaten us waqt tak kaam nahi aayegi jab tak samne wala maaf naa kar de. Yaani hukook al ibaad ki kotaahee se bache. Aur koshish karna chahiye ke shohar ki vajah se biwi ki aankho me aansoo naa aaye.

#Husband #wife #shohar #biwi #nikaah #divorce #ALLAH 

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare