Yun to talaaq koii acchi cheez nahi hai aur sabhi log isko naa pasnd karte hain islaam men bhee yeh ek buree baat samajhee jaatee hai lekin isakaa matalab yah haragiz naheen ki talaaq kaa haq hee insaanon se chheen liyaa jaye
Miya -Biwi me agar kisi tarah bhi nibaah naheen ho paa rahaa hai to apani zidagi jahannam banane se bahatar hai ki vo alag ho kar apani zindagi kaa safar apni marzi se pooraa kare jo ki insaan hone ke naate unkaa haq hai, isilye duniy bhar ke kanoon me talaaq ki gunjaish maujood hai. Aur islye paigambaron ke deen (dharm) me bhi talaaq kee gunjaish hamesha se rahi hai.
• Deen-e-Ibrahim ki rivaayaat ke mutaabik arab jahiliyat ke daur me bhi talaaq se anajaan nahi the, unka itihaas batata hai ki talaaq kaa kanoon unke yaha bhi lag-bhag vahi thaa jo ab islaam me hai lekin kuch bidatein unhonne isame bhee dakhil kar di thi. Kisi jode me talaq kee naubat aane se pahale har kisi ki yeh koshish hone chahiye ki jo rishte ki ḍorr ek baar bandh gai hai use mumakin had tak ṭooṭane se bachaya jaaye,
jab kisee Miya-Biwi kaa jhagdha baḍhata dikhai de to ALLAH ne Quran me unke kareibi rishtedaro aur unka bhala chahane valon ko yeh hidayat di hai ki vo aage badhe aur mamle ko sudhaarane kee koshish kare iska tarikaa Quran ne ye batalaya hai ki “ek faisala karane vala shohar ke khanadan me se mukarrar kare aur ek faisala karane vala biwi ke khanadan me se chune aur vo dono judge mil kar unme sulah karane kee koshish kare, isse ummed hai ki jis jhagade ko Miya-Biwi nahi sulajhaa sake vo khaanadaan ke buzurg aur dusre hamadard logo ke beech me aane se sulajh jaye.”
Quran ne ise kuch yu bayaan kiya hai –
“aur agar tumhe shohar biwi me futh pad jaane kaa andesha ho to ek hakam (judge) mard ke logo me se aur ek aurat ke logo me se muqarrar kar do, agar shohar biwi dono sulah chahenge to allaah unke bich sulah kara dega, beshak ALLAH sab kuch janane vala aur sab ki khabar rakhane vala hai” (surah nisaa-35)
iske bawajood bhi agar shohar aur biwi dono yaa dono me se kisi ek ne talaq kaa faisala kar hi liyaa hai to shohar biwi ke khas dino (menstruation) ke aane kaa intizaar kare, aur khaas dino ke guzar jaane ke baad jab biwi pak ho jaye to binaa humbistar hue kam se kam do zimmedar logo ko gawah bana kar unke samane biwi ko ek talaak de, yaani shohar biwi se sirf itana kahe ki ”main tumhe talaak detaa hoon”.
Talaq har haal me ek hi di jayge do yaa teen yaa so nahi, jo log jihalat ki hade par krte hue do teen yaa hazaar talaq bol dete hain yah islam ke bilkul khilaaf amal hai aur bahut badaa gunaah hai ALLAH ke RASOOL (SALLALAHU ALAYHI WASALLAM vasallam) ke farman ke mutabik jo aisa bolata hai vo islami shariyat aur Quran kaa mazak udaa raha hotaa hai. Is ek talaq ke baad biwi 3 mahine yani 3 teen haiz (jinhe idat kahaa jata hai aur agar vo pregnant hai to bachcaa hone) tak shohar hi ke ghar rahegi aur uska kharch bhi shohar hi ke zimme rahega lekin unke bistar alag rahenge, Quran ne Surahh talaq me hukm farmaya hai ki iddat puri hone se phle naa to biwi ko sasural se nikala jaye aur naa hi vo khud nikale, iski wajah Quran ne yeh batali hai ki isse ummeed hai ki iddat ke dauran shohar biwi me sulah ho jaye aur vo talaq ka faisala wapas lene ko taiyaar ho jaye.
Aql ki roshni se agar is hukm par gor kiya jaye to malum hoga ki isme badi acchi hikamat hai, har mashre (samaaj) me bich me aaj bhadhkane vale log mojud hote hi he. agar biwi talaq milate hi apni maa ke ghar chali jaye to aise logo ko dono taraf kaan bharane kaa maukaa mil jayega, islye yah zaruri hai ki biwi iddat ka waqt shohar hi ke ghar guzare.
Fagar shohar biwi me iddat ke dauran sulah ho jaye to firse vo dono binaa kuch kiye shohar aur biwi ki hesyat se rah sakte he islye unhe sirf itana karna hoga ki jin gwaho ke samane talaq di thi unko khabar karade ki ham ne apna faisla badal liyaa hai, kanun me ise hi ”rujoo” krana khte hain aur yah zindagi me do baar kiyaa jaa sakataa hai isse jyaadaa nahi. (surah bakrah-229)
Shohar ruju naa kare to iddat ke pura hone par shohar biwi kaa rishta khatm ho jayega, lihaza Quran ne yah hidayat faramai hai ki iddat agar puri hone vale hai to shohar ko yah faisala kar lena chahiye ki use biwi ko rokana hai yaa rukhasat karna hai, dono hi surato me ALLAH kaa hukm hai ki mamla bhale tarike se kiyaa jaye, surah bakrah me hidayat farmai hai ki agar biwi ko rokne ka faisala kiya hai to yeh rokana biwi ko pareshan karne ke lye hargiz nahi hona chahiye balki sirf bhalai ke lye hi roka jaye.
ALLAH quran me farmata hai.
“aur jab tum aurato ko talaq do aur vo apani iddat ke khatme par pahunch jaye to yaa to unhe bhale tariqe se rok lo ya bhale tariqe se ruksat kar do, aur unhe nuksan pahuchane ke irade se naa roko ke unpar zulm karo, aur yaad rakho ke jo koi aisaa karega vo dar haqiqat apne hi upar zulm dhayega, aur ALLAH ki ayato ko mazak na banao aur apne upar ALLAH ki nemato ko yaad rakho aur us kanun aur hikamat ko yaad rakho jo ALLAH ne utari hai jiski vo tumhe nasihat karata hai, aur ALLAH se darte raho aur dhyan rahe ke ALLAH har cheez se vakif hai” (surah bakrah-231)
talaq lekin agar unhone iddat ke dauran rujoo nahi kiyaa or iddat kaa vaqt khatm ho gayala to ab unka rishta khatm ho jayega, ab unhe juda hona hai. Is mauke par quran ne kam se kam do jagah (surah bakrah aayat 229 aur surah nisaa aayat 20 me) is bat pr bahut zor diya hai ki mard ne jo kuch biwi ko phle gahne, kimti saman, rupy yaa koii jayedad tohafe ke tur pr de rakhi thi uska wapas lena shohar ke lie bilkul jayaz nahi hai vo sab mal jo biwi ko talaq se phle diya tha vo ab bhi biwi kaa hi rahega aur vo us mal ko apne sath lekar hi ghar se jayege, shohar ke liye vo mal wapas mangna yaa lena yaa biwi par maal wapas krne ke liye kisi tarah ka dabaav banana bilkul jayaz nahi hai.
(note -- agar biwi ne khud talaq mangti jabki shohar uske sare haq sahi se ada kar raha tha ya biwi khulei badkari par utar aaii thi jiske bad usko biwi banaye rakhana mumkin nahi raha thaa to mahar ke alawa usko di hue mal me se kuch ko wapas mangna yaa lena shohar ke liy jayaz hai.)
Ab farz kare ki dusri baar nikaah karne ke baad kuch waqt ke baad unme firse jhagdha ho jaye aur unme firse talaq ho jaye to fir se vahi pura proses dohrana hogaa jo hmne upar likhaa hai,
Ab farz kare ki dusri baar bhi talaq ke baad vo dono apas me Nikaah karna chahe to shariyat me tisari baar bhi unhen nikaah karne ki ijazat hai. Lekin ab agar unko talaq hui to yah tisri talaq hogi jis ke baad naa to ruju kar sakte hain aur naa hi apas men nikaah kiyaa jaa saktaa hai.
#Halala
ab chauthi bar unke apas me nikaah karne ki koi gunjaish nahi lekin sirf aise ki apni aazad marzi se vo aurat kisi dusre mard se nikaah kare aur ittifaaq se unka bhi nibha naa ho sake aur vo dusra shohar bhi use talaq dede yaa mar jaye to hi vo aurat pahle mard se nikaah kar sakati hai, isi ko shariyah kanun men”halala” kahte hain. Lekin yaad rahe yah ittefak se ho to jayaz hai jaan bhujh kar yaa plan bana kar kisi aur mard se nikaah karana aur fir usse sirf is liye talaq lena taki phle shohar se nikaah jayaz ho sake yah sajish sarasar najayaz hai aur ALLAH ke RASOOL (SALLALAHU ALAYHI WASALLAM ) ne aisi sajish karne valon par lanat farmai hai.
• Khulaah
agar sirf biwi talaq chahe to use shohar se talaq mangna hogi, agar shohar nek insan hogaa to zahir hai vo biwi ko samjhane ki koshish karega aur fir use ek talaq de degaa, lekin agar shohar mangne ke bawajud bhi talaq nahi deta to biwi ke lye islam me yeh aasani rakhi gayi hai ki vo shahar Qazi ke paas jaye aur usse shohar se talaq dilavane ke lye kahe, islam ne Qazi ko yeh haq de rakha hai ki vo unka rishta khatm karne ka ailan kar de, jisse unke talaq ho jayi, kanun me ise ”khulaa” kaha jata hai.
Yahi talaq ka sahi tarika hai lekin afsos ki baat hai ki hmaree yaha is tarike ki khilaaf varji bhi hoti hai aur kuch log binaa soche samajhe islam ke khilaf tarike se talaq dete hain jisse khud bhi pareshank uthate hain aur islam ki bhi badnami hotee hai.
– (musharraf ahamad)
#nikaah #divorce #halala #khulaah #quran #hadees #surahbaqara
Comments
Post a Comment