Surah Fatiha Ke Bina Namaz Nahi Hadees Number : Surah fatiha humari namaz ka bhut aham hissa haiin lekin aaj RASULULLAH ﷺ ki hadis ko nahi manne ki wajah se isme bhi bahut ikhtelaf aagya hain. Lekin aaj hm apko RASULULLAH ﷺ ki sahih hadis se Refrence dekar btayenge ke Surah fatiha namaz ke andar kitni zaruri hain pdhna. Surah Fatiha Ke Bina Namaz Nahi Hadees Number RASULULLAH ﷺ ne Fajar padhi, aap par qirat dushwaar ho gayi, namaz se farigh honay ke baad aap ne farmaya : ”mujhe lag raha hai ke tum log –apne imam ke peechay Qirat karte ho? “ hum ne arz kya : jee haan, ALLAH ki qasam hum qirat karte hain, aap ne farmaya : ”TUM AISA NAH KIYA KARO SIWAYE SURAH FATIHA KE IS LIYE KE JO USAY NAHI PARHTA IS KI NAMAZ NAHI HOTI HAI “ . Tirmazi 311 , Abu Dawood 824 RASULULLAH ﷺ ne farmaya, jis shakhs ne SURAH FATIHA NAH PADHI US KI NAMAZ NAHI HUI . Bukhari 756 , Sahih Muslim 874 More Hadis Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye Bukhar Ko Bura Na Kaho Farz Namaz Ki Lambi Qirat