Jitani Badhi Musibat Utna Zyada Sawab
Jitani Badhi Musibat Utna Zyada Sawab Hadis In Arabic
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ رُمْحٍ، أَنْبَأَنَا اللَّيْثُ بْنُ سَعْدٍ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ أَبِي حَبِيبٍ، عَنْ سَعْدِ بْنِ سِنَانٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، أَنَّهُ قَالَ: عِظَمُ الْجَزَاءِ مَعَ عِظَمِ الْبَلَاءِ، وَإِنَّ اللَّهَ إِذَا أَحَبَّ قَوْمًا ابْتَلَاهُمْ، فَمَنْ رَضِيَ فَلَهُ الرِّضَا، وَمَنْ سَخِطَ فَلَهُ السُّخْطُ .
Jitani Badhi Musibat Utna Zyada Sawab Hadis In Urdu
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جتنی بڑی مصیبت ہوتی ہے اتنا ہی بڑا ثواب ہوتا ہے، اور بیشک اللہ تعالیٰ جب کسی قوم سے محبت کرتا ہے تو اسے آزماتا ہے، پھر جو کوئی اس سے راضی و خوش رہے تو وہ اس سے راضی رہتا ہے، اور جو کوئی اس سے خفا ہو تو وہ بھی اس سے خفا ہو جاتا ہے ۔
Jitani Badhi Musibat Utna Zyada Sawab Hadis In Roman English
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jitni barri musibat hoti hai utna hi bara sawab hota hai, aur beshak Allah taala jab kisi qoum se mohabbat karta hai to usay aazmata hai, phir jo koi us se raazi aur khush rahe to woh us se raazi rehta hai, aur jo koi us se khafa ho to woh bhi us se khafa ho jata hai.
Jitani Badhi Musibat Utna Zyada Sawab Hadis In Hindi
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जितनी बड़ी मुसीबत होती है उतना ही बड़ा सवाब होता है, और बेशक अल्लाह ताला जब किसी क़ौम से मुहब्बत करता है तो उसे आज़माता है, फिर जो कोई उस से राज़ी और ख़ुश रहे तो वो उस से राज़ी रहता है, और जो कोई उस से ख़फ़ा हो तो वो भी उस से ख़फ़ा हो जाता है।
Jitani Badhi Musibat Utna Zyada Sawab Hadis In English
The Prophet ﷺ said: “The greatest reward comes with the greatest trial. When Allah loves a people He tests them. Whoever accepts that wins His pleasure but whoever is discontent with that earns His wrath.”
Wazahat: woh insaan morad hai jise Allah taala mukhtalif masaib aur azmaish mein mubtela kare lekin woh _innalillahi wa inna ilaihi rajioon_ parhta hai aur sabr se kaam leta hai aur azmaish ke bawajood Allah taala ke mutaliq gumaan acha hi rakhta hai chunancha khushnudi aur musibat ke mutabiq sawab ka mustahiq thaharta hai.
ALLAH TA'ALA apne bandon par azmaish narazgi ki wajah se nahi dalta balkay ya to makrooh cheez ko door karne ke liye ya gunaho ke kaffare ke liye aur ya martaba buland karne ke liye aazmata hai aur bandah jab khushi khushi usay qubool kar leta hai to yeh maqsad haasil ho jata hai. Allah taala farmata hai kya logon ne ye samajh rakha hai ke inhen/unhen yunhi chorr diya jayega ke bus woh yeh keh de ke: hum imaan ley aaye aur inn/unn ko aazmaya naa jaye halankay hum ne inn/unn sab ki aazmaish ki hai jo inn/unn se pehle guzar chukay hain. lehaza Allah zaroor maloom kar ke rahega ke kaun log hain jinhon ne sachai se kaam liya hai, aur woh yeh bhi maloom kar ke rahega ke kaun log jhoote hain [ Al Quran 29: 2-3].
Sunan ibne majah: jild 5, kitab sifat Al fitan 36, hadith no. 4031
Comments
Post a Comment