Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi

 Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi

Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi


Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi Hadis In Arabic

 قَالَ الاِمَام ابْنِ عَبْدِ الْبَرِّ رَحِمَهُ اللَّه:  قَرَأْتُ عَلَى أحْمَدَ بْنِ فَتْحٍ أنَّ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ زَكَرِيّاءَ النَّيْسابُورِيَّ حَدَّثَهُمْ قالَ حَدَّثَنا إسْحاقُ بْنُ إبْراهِيمَ بْنِ يُونُسَ حَدَّثَنا يُوسُفُ بْنُ سَعِيدِ بْنِ مُسْلِمٍ حَدَّثَنا *الحجاج عن ابن جريج قال أخبرني زايد عن ابن عجلان قال حدثين بُكَيْرُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الأشَجِّ قالَ حَدَّثَنِي مَعْمَرُ بْنُ أبِي حَبِيبَةَ عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ عَدِيِّ بْنِ الخِيارِ عَنْ عُمَرَ بْنِ الخَطّابِ أنَّهُ قالَ أيُّها النّاسُ لا تُبَغِّضُوا اللَّهَ إلى عِبادِهِ فَقالَ قائِلٌ مِنهُمْ وكَيْفَ ذَلِكَ قالَ يَكُونُ الرَّجُلُ إمامًا لِلنّاسِ يُصَلِّي بِهِمْ فَلا يَزالُ يُطَوِّلُ عَلَيْهِمْ حَتّى يُبَغِّضَ إلَيْهِمْ ما هُمْ فِيهِ أوْ يَجْلِسُ قاصًّا فَلا يَزالُ يُطَوِّلُ عَلَيْهِمْ حَتّى يُبَغِّضَ إلَيْهِمْ ما هُمْ فِيهِ.

Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi Hadis In Urdu

 سیدنا عمر بن الخطاب رضی اللہ عنہ نے فرمایا: اے لوگو ! اللہ کے بندوں کے دلوں میں اللہ کی نفرت پیدا نہ کرو ۔ پوچھا گیا : یہ کیسے ہے ؟ فرمایا : ایک آدمی لوگوں کا امام بن کر اتنی لمبی نماز پڑھائے کہ لوگ بغض کرنے لگیں اور لوگوں کی نصیحت کے لئے تقریر کرنے بیٹھے تو اتنی لمبی تقریرکرے کہ لوگ بغض کرنے لگیں ۔


Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi Hadis In Roman English

Saiyyadna Umar bin al khattab razi allahu anho ne farmaya: Ae logo! ALLAH ke bandon ke dilon mein Allah ki nafrat paida na karo. Poocha gaya: yeh kaise hai? farmaya: ek aadmi logon ka imam ban kar itni lambi namaz padhaye ke log bughz ( nafrat) karne lagen aur logon ki naseehat ke liye taqreer karne baithe to itni lambi taqreer karey ke log bughz ( nafrat) karne lagen.

Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi Hadis In English

Sayyadna Umar ibn al-Khattab (may Allah be pleased with him) said: O people! Do not incite hatred of Allah in the hearts of His servants. It was Asked: How is it? He said: If a man becomes the Imam of the people and offers such a long prayer that the people start hating him and he sits down to give a speech for the advice to the people, then he should give such a long speech that the people start hating him.


Farz Namaz Ki Lambi Qirat Karne Se Manahi Hadis In Hindi 

सय्यदना उमर बिन अल खत्ताब रज़ि अल्लाह अन्हू ने फ़रमाया: ए लोगो! अल्लाह के बंदों के दिलों में अल्लाह की नफ़रत पैदा ना करो। पूछा गया ये कैसे है? फ़रमाया: एक आदमी लोगों का इमाम बन कर इतनी लंबी नमाज़ पढ़ाए कि लोग बुग़्ज़ ( नफरत ) करने लगे और लोगों की नसीहत के लिए तक़रीर करने बैठे तो इतनी लंबी तक़रीर करे कि लोग बुग़्ज़ ( नफरत ) लगे।

Wazahat: Namaz agar che lambi wa halki dono tarha jayez hai, magar logo ki quwwat e bardasht ke mutabiq hai, na ki imam ki apni khwahish par, Nabi kareem ﷺ nafil namaz zyada tar lambi padha karte the magar farz namaz mukhtasar hoti thi , Aap ﷺ farz namaz me muqtadiyo ka khayal rakhne ki ahemiyat par zyada zor dete thay, namaz me aksar budhe aur kamzor log bhi hote hain isliye imam ko chahiye ke namaz halki padhaye akele me jitni chahe lambi namaz padhe [📚 Sahih Bukhari: 703]. Rasool Allah ﷺ uss shaks pe itna gussa hue jisne namaz zyada lambi padhai aur Aap ﷺ ne farmaya: ke tum ( namaz lambi padha kar) logo ko nafrat dilane wale jab tum namaz padhao to halki padhao kyun ki muqtadiyo me kamzoor, budhe aur zaroorat mand hote hain [📚 Sahih Bukhari: 702]. Halki namaz ka ye matlab nahi ki ruku, sujood, qaume aur jalse me jaldi kiya jaye, yaad rahe ke arkan namaz ke tadeel aur itmenan ke baghair namaz batil hoti hai [📚 Sahih Bukhari: 757] balke namaz halki ka matlb ye h ki namaz me sukoon wa itmenan ke sath namaz ke arkaan ada karey qeyam zada mukhtasar bhi na ho, Rasool Allah ﷺ ne farmaya: afzal namaz wo hai jiska qeyam lamba ho [📚 Sahih Muslim: 1768]. Maslan: Agar chaar rakat wali jahri namaz ho to zada se zada 15 min ki ho aur agar sirri hoto 10 min ki ho.

AT-Tamheed li ibne abdul barr , jild 19 page no. 11 ( new edition, jild 4 page no. 264 ), Grade : Hasan

Yeh Hadis Padhe:


Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab