Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Agar Miya Biwi Me Ladai Ho To Kya Kare

Miyaan Biwi Mein Naa Ittifaaqi Ho, To Aapas Mein Sulah Kar Lena Chahiye

Agar Miya Biwi Me Ladai Ho To Kya Kare


✺ Miyaan biwi ki zindagi hamesha ek haalat par qaaim nahein rehti, balke us mein mukhtalif mod aur utaar chadhaao aate rehte hain, lihaaza aise mauqon par jahaan tak ho sake, donon ko ek doosre ka lihaaz karte huwe aapas hi mein samjhauta kar lena chaahiye aur donon ko khuda se darte huwe ek doosre ke huqooq ikhlaas aur aapasi khair khawaahi ke saath ada karte rehna chaahiye.

✺ *Qur'aan mein ALLAH Ta'ala farmaate hain: Aur agar kisi aurat ko apne shohar ki taraf se ziyaadti ya bezaari ka andesha ho, to un miyaan biwi ke liye is mein koi muzaaiqa nahein ke woh aapas ke ittifaaq se kisi qism ki sulah kar lein aur sulah kar lena behtar hai. (Sura-e-Nisa: 128)

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare