Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Surah Fatiha Ke Bina Namaz Nahi Hadees Number

Surah Fatiha Ke Bina Namaz Nahi Hadees Number: Surah fatiha humari namaz ka bhut aham hissa haiin lekin aaj RASULULLAH ‌ﷺ ki hadis ko nahi manne ki wajah se isme bhi bahut ikhtelaf aagya hain. Lekin aaj hm apko RASULULLAH ‌ﷺ ki sahih hadis se Refrence dekar btayenge ke Surah fatiha namaz ke andar kitni zaruri hain pdhna.
Surah Fatiha Ke Bina Namaz Nahi Hadees Number
Surah Fatiha Ke Bina Namaz Nahi Hadees Number

RASULULLAH ﷺ ne Fajar padhi, aap par qirat dushwaar ho gayi, namaz se farigh honay ke baad aap ne farmaya : ”mujhe lag raha hai ke tum log –apne imam ke peechay Qirat karte ho? “ hum ne arz kya : jee haan, ALLAH ki qasam hum qirat karte hain, aap ne farmaya : ”TUM AISA NAH KIYA KARO SIWAYE SURAH FATIHA KE IS LIYE KE JO USAY NAHI PARHTA IS KI NAMAZ NAHI HOTI HAI “ .

Tirmazi 311 , Abu Dawood 824

RASULULLAH ﷺ ne farmaya, jis shakhs ne SURAH FATIHA NAH PADHI US KI NAMAZ NAHI HUI .

Bukhari 756 , Sahih Muslim 874

More Hadis

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab