Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

RASULULLAH Ko Mukammal Ilm E Gaib : Kya RASULULLAH Ne ALLAH Ko Dekha

ALLAH Ke Siwa Koi Gaib Nahi Janta - Aaj fitno ke daur me har maslak ne apna apna nazriya ikhtyar kar liya hain or bahut se maslka ke logo ne to bina kisi daleel ke apne dimag or apni awaam ko kahaniyo me khush rakhne ke liye lekin islam kisi awaam ko khush rakhne ke liye nahi hain woh haq baat bolne ka huqm deta hain or kya sahi hain kya galat hain iska mizan (scale) is baat se lagana hain ke Woh baat quran or hadis ke mutabik hain yaa nahi, agar koi baat quran or hadis ke mutabik nahi to woh baat bilkul qabil e qubul nahi.

RASULULLAH Ko Mukammal Ilm E Gaib : Kya RASULULLAH Ne ALLAH Ko Dekha

Islye aaj hum apke samne quran or hadis se yeh wajeh karenge ke RASULULLAH ﷺ ko gaib ka mukammal ilm tha ya nahi ya RASULULLAH ne ALLAH ko dekha ya nahi.

Koi Aankh Use Dekh nahi Sakti 

Nigahen usko pa nahin sakti aur vah nigahon Ko pa leta hai Woh nihaayat bhin aur bakhabar hai. Surah Anaam {6:103}

Jese uppar gayi hui quran ki ayat me ALLAH khud farma raha hain ke koi bhi ALLAH ko dekh nahi sakta to ab koi bhi me sab aagye Haa agar ALLAH esa kehta ke Koi ALLAH ko dekh nahi sakta magar jise ALLAH Dikhana Chahe Jese Gaib Ke ilm ke baare me ALLAH ne farmaya hain woh apne bando me se chun leta hain jise woh gaib ka ilm batana chahe. Jaise Khizer A.S ko woh sab bata diya tha jo Musa A.S ko nahi pata tha ese kai waqaiyat hume mil jayenge or RASULULLAH ko bhi Mukammal ka geb ka ilm nahi tha bs utna tha jitna ALLAH ne diya.

Iske Saboot me humare paas Bait Rizwan hain jab Usaman R.A ko mecca ke mushriko ne rok liya tha jab woh sulah ke liye gaye the fatah mecca se pehle to musalmano me yeh khabar fel gyi thi ke Usaman R.A ko shahid kar diya gaya to RASULULLAH ne sabhi sahabao ke sath mil kar bait li thi ke hum Usaman ke Qatl ka badla lenge agar RASULULLAH ko gaib ka ilm hota to Rasulullah woh bait lete hi kyu.

Hume ek or waqiya milta hain jab munafiko e Rasulullah ke paas aakar kaha tha ke hm dur se aate hain humare liye aap koi aalim dediye jo hume isalm sikhaye to Rasulullah ne apne kayi sahabao ko bheja tha lekin Un sahabao ko qatl kar diya tha tab unme se ek sahabi ne ALLAH se dua kri ke Aye ALLAH! Humare Nabi ﷺ ko ye pegam pahucha de ki humne aap se mulaqat karli hain, hum aap se razi hogaye aur tu humse Razi ho gaya (Sahih Muslim 4917) Is Hadis se yeh baat bhi saaf ho jati hain sahaba bhi madad ke liye ALLAH ko Pukarte the.

Kya RASULULLAH Ne ALLAH Ko Dekha

Ab sabse Aham baat yeh aati hain ke kya RASULULLAH ne ALLAH ko dekha to iske baare me bhi hume hadise milti hain to aaiye dekhte hain woh hadise hume kya kehti hain 

Abu zar R.A Ki se riwayat hain ki maine Rasulullah ﷺ Se Pucha Ki aapane Apne Rab Ko dekha To aapane jawab Diya woh Nur hai main use kaha se dekhu. (Sahih Muslim 443)

Is Hadis me wajeh taur par aaya hain ke RASULULLAH ﷺ khud keh rahe hain ki Main use Kaise Dekhu woh to Nur Hai, Isi Tarah iski ek or detal hadis hain usse hum jaan sakenge ke kya RASULULLAH ne ALLAH ko dekha hain.

Hisham aur hammam Ne do Alag- Alag sanadon ke sath qatada se hadis byan ki unhone Abdulla Bin Shakik se unhone kaha Maine abuzar Se kaha Agar Shakik Rasulullah Ko dekhta to aapse sawal Karta abuzar Ne poochha Aap unse kis chij ke bare mein sawal Karte Abdulla Bin Shakik Ne kaha main aapse sawal Karta Ki kya aapane apne Rab Ko dekha Hai abuzar ne kaha Maine aapse yahi sawal kiya tha to aapane farmaya tha maine Nur dekha (Sahih Muslim 444)

RASULULLAH ghuma fira kar jawab dene wale nahi the woh to woh baat karte the jo haq ho chahe kisi ko bura lage humesha woh haq kehte the or asan or kam lafzo me badhi baate kaha karte the, Jab RASULULLAH se Sawal kara gaya kya apne apne Rab ko dekha to apko chota sa jawab dena tha Ha lekin RASULULLAH ne farmaya Unhone Ek Nur Dekha or us se pehle wali hadis (Sahih Muslim 443) me aya ke RASULULLAH ALLAH ko kaise dekh sakte hain. To Is baat se yeh baat sabit hogyi ke RASULULLAH ne ek Nur Dekha tha.

Natija: Humne aapko kuch Ayat or Hadiso ke zariye se yeh bata diya ke RASULULLAH ko gaib ka ilm tha yaa nahi ya Rasulullah ne ALLAH ko dekha hain ya nahi, ab iske baad kisi insan ko shaq nahi bachta or agar koi in Ayat or hadiso par bhi yaqin nahi karta or apni man mani karta hain to woh ALLAH or uske RASUL ka gunahgar banega.

Lekin Aaj hume yeh bat smjhna hogi ke yeh ese masle hain jinke baare me humse akhirat me puch nahi hogi humse nahi pucha jayega ke Rasulullah ne kya kara unke sahabao ne ek dusre ke sath kya kara woh unka amal hain or uska jawab bhi unhe hi dena hain, humse pucha jayega ke humne kya kara humare pas jo ayat aayi kya humne uspr amal kara RASULULLAH ki hadiso ko humne kitna maana, humne Namaze kitni padhi humne zakat to adaa kari, Kahi humne kisi ka haq to nahi mara humne zina kara, humne kisi ki dil azari to nahi kari. Humse in sawalo ke bare me pucha jayega humari Tawheed humari jadh hain agar aaj yeh mazboot nahi hui to humare sab amal bekar to sabse pehle hum apni tawheed par kaam kare or apni akhirat ke baare me soche. 

Gaib Ka Ilm Ki sabhi Hadise Ayat Jannae ke Liye Yah click Kare

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab