Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye
Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye Hadis In Arabic
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عِيسَى، وَمُسَدَّدٌ، وَهَذَا حَدِيثُهُ، قَالَا: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ حَلَفَ فَاسْتَثْنَى، فَإِنْ شَاءَ رَجَعَ، وَإِنْ شَاءَ تَرَكَ غَيْرَ حِنْثٍ .
Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye Hadis In Urdu
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم تم نے فرما یا: جس نے قسم کھائی اور ان شاءاللہ کہا تو وہ چاہے قسم کو پورا کرے چاہے نہ پورا کرے وہ حانث ( قسم توڑنے والا ) نہ ہو گا ۔
Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye Hadis In Roman English
RASULULLAH ﷺ ne farmaya: jis ne qasam khayi aur Insh'a Allah kaha to woh chahe qasam ko poora kare chahe naa poora kare woh Haanis ( qasam torne wala ) naa hoga.
Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye Hadis In English
The Messenger of ALLAH(ﷺ) If anyone swears an oath and makes an exception, he may fulfil it if he wishes and break it if he wishes without any accountability for breaking.
Qasam Khate Waqt INSHA'ALLAH Kehna Chahiye Hadis In Hindi
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: जिसने क़सम खाई और इन्शाअल्लाह कहा तो वो चाहे क़सम को पूरा करे चाहे ना पूरा करे वो हानिस ( क़सम तोड़ने ) वाला ना होगा।
Wazahat: Is hadees ka matlab yeh hai ke jab koi shakhs qasam uthate waqt Insh'a Allah keh de phir woh qasam ko poora naa kar sake to us par qasam torne ka kaffara nahi hoga, maslan woh yun kehta hai: "Allah ki qasam! main Insh'a Allah ye kaam zaroor karunga." phir woh kaam naa kare ya yun kahe: "Allah ki qasam! main Insh'a Allah ye kaam nahi karunga" phir woh kaam kar guzre to aisi haalat mein is par kaffara qasam wajib nahi hoga, lehaza qasam uthate waqt insaan ko Insh'a Allah keh lena chahiye taake agar kisi wajah se qasam poori naa kar sake to usay kaffara ada naa karna pade, iske elawa qasam uthate waqt Insh'a Allah kehne ka ek faida yeh bhi hoga ke usay qasam ko poora karne mein sahoolat mayassar ayegi jaisa ke irshad baari taala hai:
_*...aur jo koi Allah par bharosa kare, to Allah iss/uss ( ka kaam banane ) ke liye kafi hai. yaqeen rakho ke Allah apna kaam poora kar ke rehta hai . ( albatta ) Allah ne har cheez ka ek andaza muqarrar kar rakha hai [📖Quran 65:3].*_
Sunan Abi Dawud: jild-3, Kitab Al-Aiman Wa Al-Nudhur 22, hadith no. 3262
Also Read:
Comments
Post a Comment