SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me Introduction: 15th Shabaan ki raat jis ko aam taur se public me Shab-e-Barat kaha jata hai, jis ki meaning Mubarak wali raat yah bakhshish wali raat se famous hai, jab ke Shab-e-Barat ka Islam me koi bhi concept hi nahi hai. Halanke Jumle Shab-e-Barat me lafz Barat (بَرآءت) ki meaning bhi public ko misconcept hai, iski actual meaning hai “chutkara/ la-ta'taluq (disassociation)/bezaari” jaise Eid-ul-Fitr yani Fitra dene wali Eid, jaise Eid-ul-A'dha yani Zibha karne wali Eid theek waise hi Shab-e-Barat yani Bezaari yah La-Ta'luqi yah Chutkara paane wali raat. Meanings ke hawale se daleel, بَرَآءَۃٌ مِّنَ اللّٰہِ وَ رَسُوۡلِہٖۤ Allah aur uske Rasool ki taraf se Bezaari ka ailaan hai. (Surah Tawba# 01) Behar-haal, public me Shab-e-Barat se related 5 ahadees aur kuch misconceptions famous hain, jo sanad ke aitibar se ZAEEF aur MANGHARAT ahadees hain. HADEES# 01: ALLAH Duniya Par Nazil Hota hai Hazrat Ayesha (r.a) bayan karti...