Kya Ladhki Talim Ke Liye Bahar Ja Sakti Hai
- Get link
- X
- Other Apps
Kya Ladhki Talim Ke Liye Bahar Ja Sakti Hai
Zaroorat ke tahat naujawaan ladki ko ghar se bahar jaane ki Shari’at mein ijazat hai. Rishtedaaron se milne, mareez ki iyaadat karne, khair ka kaam karne, wa’z-o-naseehat sunne aur ta’leem haasil karne ya doosron ko ta’leem dene ki gharz se naujawaan ladki ghar se bahar jaa sakti hai aur yeh umoor zaroorat ke daaire mein aate hain jabki ta’leem ka husool ladki ke liye badi ahem zaroorat hai. Nabi ﷺ ka farmaan hai:
قد أَذنَ اللهُ لكنَّ أن تخرجْنَ لحوائجِكنَّ
Tarjumah: ALLAH ﷻ ne tumhein ijazat di hai ke tum apni zarooriyyat ke liye bahar jaa sakti ho. (Sahih Bukhari: 5237)
Yeh Hadees is baat ki daleel hai ke aurat zaroorat ki takmeel ke liye ghar se bahar jaa sakti hai taaham ghar se bahar jaate huwe zeb-o-zeenat se bachna hai aur kaamil taur par shar’ee hijaab ko apnaana hai.
Ek baap ko ya ladki ke wali ko zaroorat ke tahat bahar jaane se mana nahi karna chahiye balke neki ke kaamon par ladkiyon ka ta’awun karna chahiye.
Nabi ﷺ ka farmaan hai: إذا استأذَنَكم نساؤُكم بالليلِ إلى المسجدِ فأذَنوا لهن
Tarjumah: Agar tum se tumhaari aurtein raat mein Masjid aane ki ijazat talab karen to tum log unhein us ki ijazat de diya karo. (Sahih Bukhari: 865)
Is Hadees se ek baat yeh ma’loom hui ke aurat ko ijazat le kar ghar se bahar jaana chahiye aur doosri baat yeh hai ke jis kaam mein aurat ke liye khair-o-bhalaayi ho us kaam ke liye aurat ko ghar se bahar jaane ki ijazat deni chahiye. Choonki yeh zamaana fitne ka hai is wajah se aaj kal naujawaan ladki ka ghar se nikalna pur-khatar hai, raasta mamoon ho to ta’leem haasil karne ki gharz se naujawaan ladki hijaab ke saath akele ghar se bahar jaa sakti hai lekin fitne ka andeesha (khatra) ho to baap ko Qat’ee haq nahi hai ke woh apni beti ko akele ghar se bahar aisi jagah jaane de jahaan us ki ’izzat-o-aabru ke liye khatra ho chaahe bahar jaane ka maqsad ta’leem ho ya kuch aur. Raasta mein fitne ki soorat mein aisa mumkin hai ke koi mahram ladki ko ta’leem gaah (jahan ta’leem ho rahi hai wahan) tak chhod aaye aur lootte waqt bhi ghar tak apne saath laaye aur agar aisi sahulat na ho to phir apne ghar hi ta’leem ka bandobast kare ya aurton ke liye makhsoos ta’leem gaah mein mustaqil taur par rihaaish ikhtiyaar kar ke ta’leem haasil kare.
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment