Udhar Lene Wale Ko Meohlat Dene Ka Sawab
- Get link
- X
- Other Apps
Udhar Lene Wale Ko Meohlat Dene Ka Sawab
Udhar Lene Wale Ko Mohlat Dene Ka Sawab Hadis In Arabic
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ نُمَيْرٍ، حَدَّثَنَا أَبِي، حَدَّثَنَا الْأَعْمَشُ، عَنْ نُفَيْعٍ أَبِي دَاوُدَ، عَنْ بُرَيْدَةَ الْأَسْلَمِيِّ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَنْ أَنْظَرَ مُعْسِرًا كَانَ لَهُ بِكُلِّ يَوْمٍ صَدَقَةٌ وَمَنْ أَنْظَرَهُ بَعْدَ حِلِّهِ كَانَ لَهُ مِثْلُهُ فِي كُلِّ يَوْمٍ صَدَقَةٌ .
Udhar Lene Wale Ko Mohlat Dene Ka Sawab Hadis In Urdu
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو کسی تنگ دست کو مہلت دے گا تو اس کو ہر دن کے حساب سے ایک صدقہ کا ثواب ملے گا، اور جو کسی تنگ دست کو میعاد گزر جانے کے بعد مہلت دے گا تو اس کو ہر دن کے حساب سے اس کے قرض کے صدقہ کا ثواب ملے گا ۔
Udhar Lene Wale Ko Mohlat Dene Ka Sawab Hadis In Hindi
रसूल अल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: जो किसी तंग-दस्त को मोहलत देगा तो उसको हर दिन के हिसाब से एक सदक़े का सवाब मिलेगा, और जो किसी तंग-दस्त को मियाद (वक्त) गुज़र जाने के बाद मोहलत देगा तो उसको हर दिन के हिसाब से उसके क़र्ज़ के सदक़े का सवाब मिलेगा।
Udhar Lene Wale Ko Mohlat Dene Ka Sawab Hadis In Roman English
RASULULLAH ﷺ ne farmaya: jo kisi tang dast ko mohlat dega to usko har din ke hisaab se ek sadqe ka sawab milega, aur jo kisi tang dast ko meyaad (waqt) guzar jane ke baad mohlat dega to usko har din ke hisaab se uske karz ke sadqe ka sawab milega.
Udhar Lene Wale Ko Mohlat Dene Ka Sawab Hadis In English
Prophet Mohammed ﷺ said: “Whoever gives respite to one in difficulty, he will have (the reward of) an act of charity for each day. Whoever gives him respite after payment becomes due, will have (the reward of) an act of charity equal to (the amount of the loan) for each day.”
Wazahat: Ek dusri rewayat mein aap ﷺ ne farmaya: jo kisi tangdast ko qarza de to waapsi ki muddat tak uss qarza dene wale ko har din itna hi karz ke barabar sadqa karne ka ajro sawab milega, agar jis ne karz liya hai aur woh batayi hui muddat tak apna karz ada nahi kar pa raha aur abhi bhi tangdast hai to qarza dene wala, agar usko mazeed mohlat deta hai aasani se adayegi tak ke liye, to jitne din ki mohlat dega, utne hi dino ke liye karz dene wale ko karz ke barabar ka doguna ( double ) sadqa karne ke barabar ajar o sawab milega [sahih Al Targheeb: 907].
Ek aur rewayat mein aap ﷺ ne farmaya: jo shakhs yeh pasand karta ho ke Allah usko qayamat ki sakhtiyon se nejaat de kar apne arsh ka saya ata farmaye to usko chahiye ke maqrooz ( tangdast ) ko ( asaani se adayegi tak ki ) mohlat de [Sahih Al Targheeb: 903].
Sunan ibne majah: jild-3, kitab Al sadqa 15, hadith no. 2418 - Grade Sahih
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment