Acche Logo Ki Sohbat Me Raho
- Get link
- X
- Other Apps
Acche Logo Ki Sohbat Me Raho
Acche Logo Ki Sohbat Me Raho Hadis In Arabic
حَدَّثَنَا سُوَيْدُ بْنُ نَصْرٍ، أَخْبَرَنَا ابْنُ الْمُبَارَكِ، عَنْ حَيْوَةَ بْنِ شُرَيْحٍ، حَدَّثَنِي سَالِمُ بْنُ غَيْلَانَ، أَنَّ الْوَلِيدَ بْنَ قَيْسٍ التُّجِيبِيَّ أَخْبَرَهُ، أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا سَعِيدٍ الْخُدْرِيَّ، قَالَ سَالِمٌ، أَوْ عَنْ أَبِي الْهَيْثَمِ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، أَنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: لَا تُصَاحِبْ إِلَّا مُؤْمِنًا، وَلَا يَأْكُلْ طَعَامَكَ إِلَّا تَقِيٌّ.
Acche Logo Ki Sohbat Me Raho Hadis In Urdu
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرما یا: ”مومن کے سوا کسی کی صحبت اختیار نہ کرو، اور تمہارا کھانا صرف متقی ہی کھائے“
Acche Logo Ki Sohbat Me Raho Hadis In Hindi
Acche Logo Ki Sohbat Me Raho Hadis In Roman English
Acche Logo Ki Sohbat Me Raho Hadis In English
Wazahat: Iss hadees mein ishara is taraf hai ke ek musalman duniya mein rehte hue achhe aur nek logon ki sohbat ikhteyar kare, yahan tak ke khane ki dawat dete waqt aise logon ka intekhab kare jo muttaqi aur parhezgaar ho, kyun ke dawat se aapsi ulfat aur mohabbat mein izafah hota hai isliye koshish yeh ho ke alf aur mohabbat kisi parhezgaar shakhs se ho.
be shak insani zindagi par achhi sohbat ke achhe asraat muratab hote hain kyun ke achha dost aap ko khair aur bhalai ki jaanib rehnumayi karega aur aap ko deen aur duniya ki behtari ka mahswara dega. Allah ki itaa
t aur farmabardari par Raghib karega jab ke aap ke aeb ki bhi nishandahi karta rahega, buray ikhlaq chhor kar achhe ikhlaaq apnane ki dawat dega ya kam az kam aap uski neki ko dekh kar khud neki karne ki koshish karenge, aap ki mojudgi ya gair mojudgi mein aap ki khair khwahi karega aur aap ki zindagi ya mout ke daad aap ke liye dua e mughfirat karega.
Jam e Tirmidhi: jild-4, kitab Az Zuhd 36, hadith no 2395, Grade Sahih
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment