Maahe rajab ki fazeelat mein koi hadees Nabi Kareem ﷺ se sabit nahi
- Get link
- X
- Other Apps
Maahe rajab ki fazeelat mein koi hadees Nabi Kareem ﷺ se sabit nahi
Ibne Uthaymeen (rahimaullah) kahte hain: “Mahe rajab ki fazeelat mein koi sahih hadees nahi hai aur mahe rajab ki jumad-is-saniyah se infiradiat sirf itni hai ke ye maah hurmat wale mahino me sab se pahla mahina hai, warna is mein koi khusoosi roze rakhna, Makhsoos namaz ki adaygi karna ya kisi khususiat ke saath umrah waghaira karna sahih nahi hai, balke is mahine ka darja degar mahino jaisa hi hai”
Abdullah bin imam ahmed ne “zawaid ul musnad” (2346) me, tabrani ne “al awsat” (3939) me, Baihaqi ne “sho’ab ul emaan” (3534) me aur abu Nuyaim ne “hilyatul awliya”(6/269) me za'idah bin abi ruqaad ki sanad se naqal kiya ke hamein ziyad Numayri ne Anas razi Allahu anhu se bayan kiya ke RASULULLAH ﷺ jab rajab shuru hota to farmate:
اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَافِي رَجَب، وَشَعْبَانَ، وَبَلِّغْنا رَمَضَانَ
(yani: Aye Allah! hamare liye rajab aur shaban mein barkat daal aur hamein Ramadan naseeb farma)
Lekin ye sanad za'eef hai, is me "ziyad numeyri" raawi za'eef hai. Imam ibne ma'een ne is rawi ko za'eef qarar diya hai.
Imam Abu hatim kahte hain ke ((لا يحتج به))yaani is ki hadees ko hujjat Nahi banaya jaa sakta.
Ibne hibban ne ise apni kitaab “az zu’afa” Mein naqal karte hue kaha (( لا يجوز الاحتجاج به)) ke is raawi ko hujjat banana jaiz Nahi hai.
Jabke zai'dah bin abi ruqaad mazkura bala rawi se bhi sakht za'eef hai, chunanche: Imam Abu Hatim kahte hain: “ye rawi ziyad numeyri ke zariye anas (razi allahu anhu) se munkar riwayaat naqal karta tha, ab hamein maloom nahi ke munkar riwayaat iss ki apni taraf se hain ya iss ke ustaad ziyad ki taraf se”.
*Imam bukhari kahte hain ye rawi “munkar ul hadees” hai.
(Al-Tareekh-ul-Kabeer: 3/ 433, Raqm: 1445)*
Imam Nasai kahte hain: Ye rawi “munkar ul hadees” hai, Jabke apni kitab “al-kuna” mein kaha hai ke “ye siqa nahi hai”. Imam Ibne hibban kahte hain: “ye mashur rawiyoun se munkar riwayaat bayan karta hai aur iski hadees ko hujjat Nahi banaya jaa sakta.
Imam Ibne Adi kahte hain: “za'idah ke shagirdon mein muqaddami aur deegar afrad anokhi ahadees bayan karte hain aur iski kuch ahadees mein munkar ahadees bhi maujud hain.
(Dekhein: Tahzeeb al Tahzeeb (3/305-306)
Jabke sawal mein mazkoor hadees ko: Imam nawawi ne "Al-zkaar (page: 189)" mein, Imam ibne rajab ne “lataif ul maarif” (page 121) mein, Imam Albani ne “zaeef ul jame” (4395) mein Za'eef Kaha hai.
Imam Haysami kahte hain: “is riwayat ko bazzaar ne naql kiya aur iski sanad mein za'idah bin abi ruqaad hai, iske bare mein imam bukhari "Munkar ul hadees" hone ka hukm lagate hain aur bohat se logon ne ise majhool qarar diya hai.
Ye hadees to sabit nahi hai lekin agar koi musalmaan ALLAH taala se ye dua kare ke, use ramazaan naseeb hojaye aur ramazaan me qiyaam o siyaam ki taufeeq mile, lailatul qadr talash karne ki taufeeq de ya koi bhi is ma'ne par mushtamil dua kare to in sha Allah is me koi harj nahi hai."...
Comments
Post a Comment